Namaz e Zohar Ka Waqt Or Aap SAWW ka Tareeqa…

*~Namaz e Zohar Ka Waqt Or Aap SAWW ka Tareeqa~*

Zohar ki nama ka waqt souraj dhalny k baad shuru ho jata hy. Is ke pehchan yeh hy k soraj nikal kr jitna ouncha hota jaye ga har cheeze ka saya ghat’ta jaye ga jab saya ghatna khatam ho jaye tou wo waqt theekvdopehar ka hota hy.
Is k baad jab saya barhny lagy tou ab din dhalna shuru ho gya isi waqt sy zohar ka waqt shuru ho jata hy.

Baaz aaima k nazdeek jab tak har cheeze ka saya ous sy dugna na ho jaye namaz e zohar ka waqt rehta hy.

zohar ki namaz k mutaliq Hazrat Ayesha r.a frmati hein k Aap S.A.WW mery ghar mein zohar ki namaz sy pehly char sunnatein parhty thy phir masjid tashreef ly jaty or farz parhaty phir ghar aa kr do sunnat parhty.
Jo shakhs zohar kibin sunnaton ki pabandi kry ous k mutaliq Aap S.A.WW ny frmaya k,
“Allah ous par dozakh ki aag haram kr daita hy or ous k leay aasman k darwazy khol diye jaty hein”

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *