Niyat Dar Niyat

Niyat Dar Niyat

Niyat kisi bhe kaam k iraday ko kehtay hein.
Har amal k peechay bazaahir aik wazeeh niyat hoti hy.

Is bazahir niyat k peechay aik posheeda irada bhe chupa hota hy jis sy baaz aoqat ham khud la ilm hotay hein…
Os chupay iraday ko niyat dar niyat kehtay hein.
Agar ghaor karen tou asal mein wohi hamare sachi niyat hoti hy.

Aj apnay kisi bhe amal k hawalay sy apne bazaahir niyat…. or or bazaahir niyat k peechy chupi niyat dar niyat ka jaiza len gay or share karen gay k bazahir niyat kia thee or jab gherai sy jaiza leya tou niyat dar niyat kia the.

Example :

Main ny apne maid ko kuch cheezein dein. Pehlay bhe aksar os ke help karti rehti hon.
Bazahir mere niyat ye thee k ghareeb ke madad kar rahe jis sy oske zaroorat poori ho jaye. Magar niyat dar niyat apna acha pann oss par sabit krnay ke the k is tara wo impress ho or ghar k doosray logon k mouqablay mein mujay zaida acha or sakhi samajh k sab mein ehmiyat deya karay

Aik point aaj ke routine sy share karna hy

Or aik point pehlay ka bhe aisa bhe share kar saktay hein jo aaj aap ko os waqt k amal ke niyat dar niyat ka ihsas dila jaey

Is topic k hawalay sy apna point of view bhe daina hy

Sanwartay Raho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *