Safar ki Namaz Ka Biyan or Masaail

*~*Namaz k Zaroori Masaail*~*

*~Safar ki Namaz Ka Biyan or Masaail~*

Shariyat mein musafir ous ko kehty hein jo apbi jaye sakoonat sy 48 meel ka safar ikhtiyar kr k bahir jaye is sy kam faasly ka safar krny wala sharan musafir nai kehlaaye ga.

Yeh safar khaw koe jahaz ya railbsy kry ya kisi taiz raftaz ya aaram deh swari sy wo musafir he kehlaye ga.

Quran e pak mein irshad hy k,
“Or jab tum zameen par safar kro tou tum ko is mein koe gunah nai k namaz kam kr do”

Hadees e mubarika mein irshad hota hy…
Hazrat Ibn e Abbas r.a frmaty hein k,
“Allah ta’ala ny Aap SAWW k zariye muqeem par char rak’atein or musafir par do farz keein”

Aap SAWW jab haja tul vidaa k mouqa par Makkah Moazma tashreef ly gy tou Aap S.A.WW ny do rak’at parha kr salam phair diya or irshad frmaya:
“Aey ehl e makkah tum apni namaz pouri kr lo (4 rak’at) hum tou musafir hein”

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *