Sajda E Sehv ka Biyan or Masaail

*~*Namaz k Zaroori Masaail*~*

*~Sajda E Sehv ka Biyan or Masaail~*

Baaz ouqaat insan sy namaz mein ghalti ho jati hy shariyat ny is mein bhe aasani kr di hy k agar namaz mein kpe wajib chout jaye ya kisi wajib or farz k ada krny mein takheer ho jaye ya koe farz do martaba ada ho jaye tou is qism ki ghaltion ki wajah sy sajda sehv krna wajib or zaroori hy. Sajda e sehv sy namaz darust ho jaye gi warna namaz ada na ho gi or dobara parhni parhy gi.

1. Sajda e sehv ka tareeqa yeh hy k aakhri qa’ada mein at’ta hayat parh kr salam phair kr do sajdy kr k donon sajdon k baad dobara at’ta hayaat or darood sharif parh or dua parh kr salam phair dy is ko sajda e sehv kehty hein.

2. Namaz mein agar koe farz chout jaye…. maslan rakoou chout jaye tou sajda e sehv sy namaz na ho gi bal’k wo namaz dobara parhni parhy gi or agar dou rakoo ya teen sajdy kr liye tou sajda e sehv sy namaz ada ho jaye gi.

3. Namaz e vitar, sunnat or nafal ki sub rak’aton mein sorat milana wajib hy or agar kisi ny sorat nai milaai tou sajda e sehv kry warna namaz nai ho gi.

4. Farz namaz ki pehli do rak’aton mein sorat milani bhoul jaye tou aakhri do rak’aton mein mila lain or sajda e sehv kr lain…. or agar pehli dou mein sy aik mein milaai or aik mein yaad nai rahe tou baad ki aik rak’at mein mila ly or sajda e sehv kr ly.

5. Farz namaz ya vitar mein kisi bhe rak’at mein sorat milana yaad na raha na pehli mein na aakhri mein or tash’had parhny mein yaad aaya tou sajda e sehv krny sy namaz ho jaye gi.

6. Namaz mein sorat fateha parhna bhoul gy, faqat sorat parhi ya sorat fateha sy pehly sorat parh li tou sajda e sehv wajib hy warna namaz na ho gi.

7. Teen ya chaar rak’at wali farz ya vitar namaz mein do rak’at k baad at’ta hayat aik ki bjaye do martaba parh liya tou bhe sajda e sehv lazim hy.

8. Farz namaz mein ya virar namaz mein qa’ada oulaa mein tash’had parh kr darood sharif ka ALLAHUMA SAL’LY ALA MUHAMMADIN
tak bhe parh liya tou sajda e sehv krna wajib hy.

9. Qa’da mein tash’had ki bjaye kuch or parh liya tou bhe sajda e sehv zaroori hy.

10. Aik he namaz mein kai batein aisi ho gaeein jin mein har auk k chor dainy sy sajda e sehv wajib hota hy…..
maslan sorat fateh parhna bhool gy, qa’ada oulaa bhool jaye ya koe or wajib tark ho gya tou sub ghaltion k badly mein sirf aik martaba he sajda e sehv krna kafi hy alag alag krny ki zaroora nai.

11. Farz namaz ya vitar namaz ya sunnat e moak’kida mein do rak’at k baad qa’ada oulaa mein baithna bhool jaye or seedhy khary ho jaein tou phir lout kr baithny ki zaroorat nai aakhir mein sajda e sehv kr lainy sy namaz darust ho jaye gi.

12. Farz namaz ki chaar rak’atein parhny k baad aakhri qa’ada mein baithny ki bjaye bhool kr thora sa khary ho gy tou chahiye k foran baith kr tash’had parh kr salam phair lain sajda e sehv ki zaroorat nai.
or agar chaar rak’atein parhny k baad seedhy khary ho gy or khary hony k baad khiyal aaya tou foran baith kr qa’ada ki duaein parh kr sajda e sehv kr k salam phair dain.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *