Sajda E Tilawat ka Biyan

*~*Sajda E Tilawat ka Biyan*~*

Tilawat k maani parhny k hein.
Quran e pak mein chouda (14) maqamaat aisy hein k jin k parhny ya parhyty huy soun’ny sy sajda e tilawat krna wajib ho jata hy.

Is sajda k ada krny k leay bhe wohi sharaait hein jo namaz ki hein yani….
1. Badan ka paak hona
2. Kapron ka paak hona
3. Jagah ka paak hona
4. Qibla rukh hona
5. Sat’tar ka chupa hona
6. Sajda e tilawat ki niyyat krna

Hadees e mubarika hy k, “Jab koe sajda ki aayt parh kr sajda krta hy tou shaitaan kony mein baith kr rota hy or kehta hy k afsoos ibn e Aadam ko sajda ka hukm hua tha ous ny sajda kiya ous k leay jannat hy, myjhy sajdy ka hukm hua tou main na mana mery leay jahanam hy”

*~*Sajda e Tilawat k Masaail*~*

1. Sajda e tilawat agar namaz mein wajib hua hy tou namaz he mein ada krna wajib hy.
Agar koe shakhs namaz mein sajda ki aayt parhy or sajda na kry tou gunahgaar ho ga or is k siwa koe tadbeer nai k toba kry or Allah apny karam sy moaf kr dy.

2. Namaz mein sajda ki aayt parhi or ous k foran baad ya do teen aaytein parhny k baad rakoou kiya or rakoou mein jhukty waqt sajda e tilawat ki bhe niyat kr li tou sajda ada ho jaye ga.

3. Sajda e tilawat ki aayt k baad namaz ka sajda ada kiya jaye (yani rakoou or qouma k baad sajda kry) tou ous namaz k sajdy mein he sajda e tilawat bhe ada ho jaye ga.

4. Juma or eidain ki namazon mein sajda ki aayt nai parhni chahiye.

5. Koe aourat haiz o nafas ki halat mein sajda ki aayt souny tou ous par sajda wajib na ho ga lakin agar aisi halat mein sajda ki aayt souni k haiz o nafas band ho chuka tou ous ki nahay k baad sajda krna zaroori hy.

6. Sajda ki aayt likhny ya hijy krny sy sajda wajib nai hota.

7. Agar koe sajda ki aari aayt mein sy sirf sajda ka kalma parhy ya sajda ki aksay aayt parhy lakin sajda ka kalma chour dy tou sajda wajib na ho ga.

8. Agar sajda ki aayt tilawat krty waqt koe majbouri aisi ho k sajda na kiya ja saky tou ous waqt yeh kalmaat parh lain….
SAMENA WA ATA’NA GHUFRANAKA RABANA WA ALIKAL MASEER
or phir majbouri khatam hony k baad sajda e tilawat kr lain.

9. Aik he jagah baithy baithy sajda ki aayt ko baar baar parhain tou aik he sajda wajib hy or aik jagah baithy baithy sajda ki aayt parhi or phir outh kr kisi kaam sy chaly gy or dobara aa kr pehli jagah pr baith kr wohi aayt parhi tou dousra sajda krain.
aisy he aik martaba sajda ki aayt parhi or ous k baad khany peeny ya kisi or kaam mein masroof ho gy or phir farigh hony k baad wohi aayt parhi tou do sajdy krny hon gy.

10. Agar parhny waly ny jagah nai badli or aik he jagah baithy baithy sajda ki aayt parhi or soun’ny waly ny jagah badli tou soun’ny wala jitni martaba jagah badly ga outny he sajdy ous par wajib hon gy.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *