Shukar – DAY 1

DAY 1

Shukar:

Allah ke attat ka naam shukar hy…
Bulky is tara kaha jaey k zaahir o baatin k tamaam aazzaa sy attat ka naam shukar hy Kisi ny Allah ke nafarmani sy bachnay ke koshish ke tou wo bhe shukar hy.
Jis ko shukar ke taofeeq mil jaey bohat bara karam hy Allah ka apnay is banday par Quran pak ke Surat Nissa mein hy k…
“Beshuk kam hein mere banday jo mere shukar guzar hein.
Hazrat Abu Huraira sy riwayat hy k, Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k,”Jis k sath Allah bhalaai ka irada karta hy tou umar mein ziyaadti or shukar ke taofeeq sy osay naawazta hy”.
Sabar or shukar islam k azeem tareen aamal mein sy hein k jis mein ye wasf nai wo islaam sy aari hy.

Hazrat Ans r.a sy riwayat hy k…

Emaan k do hissay hein.
1. Sabar
2. Shukar
Jis dil mein jitna ye ihsas ho ga os ka emaan outna he mazboot ho ga.
Piaray Aaqa S.A.WW ka farman hy k,”Beshuk Allah os sy muhabat karta hy k Os ke naimat ka asar banday par dikhaai dy.
Naimaton k shukar ka aik andaz ye bhe hy k insan ke zaat sy in ka izhaar ho Yani naimaton ko hasbay haisiyat istamal mein laya jaey par fazool kharchi sy bacha jaey.
Shukar ke taofeeq kaisy paida ho ge…??
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny farmaya,”Jab tum mein koe khuda ke naimat ke qadar (shukar) ada karna chahay tou apnay sy kamzor ko daikhay… apnay sy oupar walay ko na daikhay”

Apny sy kamzor par nigaah rahay he toushukar ke taofeeq to ge jab k Apny sy uopar nigaah rahay ge tou nashukri ka ihsas paida ho ga”.

“Shukar zawaal e naimat sy hifazat hy”
Hazrat Umar r.a sy riwayat hy k,”Naimat par Khuda ke tareef is k zawaal sy amaan hy”

Koe naimat haasil ho tou osay apna kamaal na samjhein bulky Allah ke taraf sy Os ka khaas fazal samjhein k ye Allah k fazal sy mila warna main ya mera amal is laaiq hargiz nahi yehi shukar hy naimat ka jo zawaal sy bacha laita hy.
End.


 

EXERCISE

Q1:-
Fill in the blanks:

(i): Hazrat And (r.a)sy rawaiyet hy k Imaan ky 2 hissy hain,Aik saber or dosra————–.

(ii): ALLAH ki aata, at ka naam————- hy .

Q2 :- MCQ’s

(i): jis ko shukr ki Toufeeq mil jay buhat ______ hay ALLAH ka apny bandy per.

(a) .Karam
(b) .Bhala
(c) .Ehsaan

(ii): Naimtoun ko has be haseiyat istamal men laiya jay or ______sy bacha jay.

(a) .gunah
(b) .fazool kharchi
(c) .kanjosi.

Q3: short Question
Sawal:
Aap ko kisi bhi surate hall mn ALLAH ka Shukar aada krny main kon sa ehsas madad karta hai? Apni routine mn sy misaal dy kr wazeha karyn….


 

ANSWER KEY

Blanks :
1: Shukr
2: Shukr

Mcqs :
1: ( a )
2: ( b )

Question:

Ye sabka apna
jawab hoga.

…….


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *