Shukar – DAY 3

DAY 3

Shukar :

Shukar k maani yeh hein k yeh naimat jis ny di hy ous ko ous ke marzi or ita’at k mutabiq istamal kry.
Muhammad Bin Ka’ab Karzi r.a ny farmaya,
Shukar taqwa or amal e saleha ka naam hy.

Shukar ka khulasa yeh hy k Allah ke di hoe naimat, jan o maal ko ous k hukm k mutabiq lagana shukr hy or jismani aaza ko ita’at e khudawandi k ilawa gunnah mein lagana nashukri hy.
yeh bhe khiyal rahy k Allah ka shukr tou koe banda mukamal kisi haal mein bhe nai kar sakta.

Allah ny jin anmol naimton sy apny bandon ko nwaz rakha hy oun mein sy kisi aik par bhe kisi ka koe haq nai hy yeh tou Oss ka ain fazal o karam, rehmat or ehsan e azeem hy.. lehaza oun ka be dil o jaan, zaban sy or amal sy shukar ada krna Allah ta’ala ka haq hy or jab tak Allah ka haq ada na keya jaye tou insan gunahgaar hota hy.

Shukar sy mutaliq Allah ka farman hy,
“Agar tum shukar kro tou ziada doun ga”
Shukar sy Allah ke naimton par rang o roup aa jata hy or wo wajad mein aa jati hein or Allah ke inayat mein josh aa jati hy.

Baqoul bazurgaan e deen naimat or shukar mein choli daman ka saath hy.
Hazrat Molana Jalalu deen Roomi r.a farmaty hein,
“Shukar or naimat mein wohi nisbat hy jo badan or rooh mein hy”

Hazrat Imam Ghazali r.a farmaty hein,
“Shukar naimaton k leay zanjeer hy”
Har wo naimat jo Allah ny ata ke hy wo taqaza krti hy k Allah k saamny ous ka shukar ada keya jaye.

Allah farmaty hein,
Al-Quran
Sorat Al-Baqra
Aayt 172
Tarjuma:-
“Apny rab ka shukr ada kro agar tum ous ke ibadat krty ho”

Naimaton k shukar ka aik yeh bhe andaz hy k insan ke zaat sy ous ka izhar bhe ho.
Hazrat Abu al-Amous r.a apny walid sy riwayat karty hein k main baargaah e shenshah e koun o makan S.A.WW ke khidmat mein hazir hoa ous waqt main ghatiya or mamooli libbas zaib e tan keay hoay tha.

Aap S.A.WW ny mujh sy poucha,
Kia tumhary pass maal hy?
main ny arz keya,
jee haan
Aap S.A.WW ny farmaya, kis qisam ka maal??
Arz keya,
Ya Rasool Allah…!!!
Allah ny mujhy ount, gaye, bakriyan, ghory, or ghulaam, or har tarah ka maal ata kr rakha hy.

Aap S.A.WW ny souna tou irshad farmaya,
jab Allah ny tumy maal deya hy tou tum par ous ke naimton ka asar bhe dikhai daina chahiye.

Hazrat Fazal shah qutab aalam r.a farmaty hein,
“Shukar ada krny waly ibrar hein yeh Allah k yaar ko yaar bana laity hein or sabr o shukar dono maqamaat par poury outarty hein”

End.


 

EXERCISE

Q1:-

Fill in the blanks:

(i): Muhammad Bin Ka’ab Karzi r.a nay farmaya shukar _____ aur amal e saleh ka naam hai.
(ii): Naimaton kay shukar ka ek ye bhi andaz hai kay insan ki zaat sy uska ____ bhi ho.

Q2 :- MCQ’s

(i): Molana Jalaluddin Rumi r.a farmatay hain, “shukar aue naimat mein wohi nisbat hai jo badan aur ____ mein hai”

(a). Zaat
(b). Dil
(c). Rooh

(ii): Hazrat Imam Ghazali r.a farmatay hain, “Shukar naimaton k liye _____ hai”

(a) . eham
(b) . Zanjeer
(c) . gherzaruri

Q3: short Question

Sawal:
Hum par Allah ki atta ki gyi naimaton kay shukar ka behtreen andaz kia hai? Kisi qol, Hadees ya waqiya sy bhi bataiye…


 

ANSWER KEYS

Blanks :

1: Taqwa
2: Izhaar

Mcqs :

1: (c)
2: (b)

Question 2:

Ye sabka apna
jawab hoga.
(Ahadees aur waqiyat
material mein diye gaye
hain)

……..


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *