Step 1: Introduction- (Sawal 18 to 25)

 

“~* Workers *~”
*1st Step*
Sawal 18…

Silsilay sy attach honay k baad…
Aap ko ghar k rishtadaron ya doston k sath mahaol mein kia tabdeeli feel hoe….??

Is sawal ka jawab bhe har aik ka apnay hisaab sy he ho ga na…

Jazba-e-Kaam Salaamat.


 

“~* Workers *~”
1st Step
Sawaal 19…

Silsilay mein dua k leay ya zaat par kaam k leay sath chalnay walay logon sy koe member ship fee ya mahaana chanda type kuch leya jata hy??

Jawaab :

Jee nai ,
Silsilay mei aisi koi membership fee,
Ya mahaana chanda, yq bataor nazrana kisi qisam ka kuch bhe…
Kisi sy or kisi bhe kisi aisay maqsad k leay nahi leya jata…
Silsilay mei attach honay walon ko dua or zaat par kaam ke rehnumai,
Sabb kuch billa gharz, be loss ho kar keya jata hy.
Is k leay kisi bhe qism k koe charges nahi hein.

Spirit Of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
*1st Step*
Sawal 20…

Silsilay k kon kon sy points ya baatein aap ko pasand hein….??
….
Is sawal ka jawaab bhe sab ny apnay he hisaab sy daina ho ga na…

Jazba-e-Kaam Salaamat.


 

“~* Workers *~”
*1st Step*
Sawal 21…

Is Silsilay ke kia kia baatein aap ko doaray salaasil sy mukhtlif lagein….?

Jawaab :

Silsilay ke be shumar aisay points mein sy chand ye hein.

1. Yahan *Allah ka Ihsas*,
intehani piar sy ,
Oske sifaat ke ashnai dey kar dillon mei outara jata hy. Jiss sy Allah k bandon k dil mei Oske muhabat youn paida hoti hy k wo khud ko OS k qurb k rastay par aagay ley janay ke koshish mei lagg jatay hein or youn oun ke zindgi Allah k ihkaam k tabay honay lagti hy or mamoolaat or moamlaat or faraiz mei batadreej behtari aanay lagti hy.

2. Yahan *Zaat par kaam*
be missal taraeeqay sy karaya jata hy,
Allah k bandon ko noor e hidayat or Allah ke maar’far k zarriye , dil par parray ghafflat k parrday outha kar, khud aashnai or Haq shanasi ka safar tay karaya jata hy.

3. Silsilay mei *Murshad Jee*k zer e sayya , tarbiat yafta ustaad rehnumai k leay moajood hein.
Jo khud Allah k ashnai or ma’arfat k raastay par aagay ke manaazill par rawan dawan hein. Yahan anay walay logon ko un teachers k sath attach keya jata hy or wo teachers cases k sath mazximum rabtay rakh k un ko behtareen rehnumai deney ke koshish kartay hoay Allah k ihsas k tehat, dua k zarriye power detay or un k masael sy nikaaltay hein.

4. Silsilay mei aanay walay kisi bhe banday ko,khullay dil qabool kar k,
*Be Loss* ho k,
oske talab k moutabiq ossay har tara ke rehnumai de jati hy, jo osko Allah k rastay par aagay ley janay mei behtareen tara madadgaar hoti hy.

5. Silsilay mei aanay walon ko
*Bait* karnay par ya hamysha, yahin isi silsilay sy, munsalik rahney per majboor nai keya jata.
Yahan anay or janay walay,
or ja k phir sy aa janay walon k leay darwazay hamysha khullay rehtay hein.

6. Silsilay sy attach honay walon k dill mei,
Allah k karam or noor ke power sy,
Eman ke shama roshan ke jati hy. Or dillon mei
Allah, Piaray Aaqa S.A.WW, Panjtann Pakk or Aal e Nabi S.A.WW ke, Sahaba karaam r.a.a or Aoliyaa e Karaam sy muhabat ka ihsas ujjagar keya jata hy.

7. Ye piar ka silsila hy ,
*Murshad Sarkar*, khud
Allah k bandon sy piar karti hein, or
Ummat ka dard dil mei rakhti hein…. isi leay yahan anay walon k dillon mei bhe ummat k dard ka ihsas or ALLAH k bandon k sath muhabat ka ihsas baidaar hota jata hy.

8. Yahan Zaat par kaam k ilaawa, ALLAH ke rastay par mazeed aagaya janay walaon ya Aashiqpn ko….
Unke talab k moutabiq safar karaya jata hy.
Os k leay tarbiat, rehnumai or inhtehaai aala darjay ke trainings bhe karai jati hein.
Or jo bhe jis hadd takk bhe aalla maqamaat ya ISHQ k safar mei aagay kisi bhe manzil takk, nikalnay ke talab rakhta ho,
Ossay os ke talab par *Murshad Sarkar* k zarr e nigrani ye safar tay karaya jata hy.

9. Silsilay mei zaat par kaam kartay hoay, Allah ke raah par apna safar aagay jari rakhtay hoay,
Ummat ke bhalai, or Haq ke sarrbulandi k mission ka hissa,
as wokrer,kaam kr k ban saktay hein.

10. Yahan apnay duniyavi masaail k leay attach honay walay logon ko oun ke paryshanion or masaail sy nikalnay k leay Allah k aagay jhuknay or Osi sy maang k in sy nikalnay ke aisi raah dikhaai jany ke koshish ke jaati hy k
Wo apne duniyavi mushkilaat sy nikalnay k sath sath he Allah k ihsas sy bhe apnay dil munawer kartay jaaein.

Spirit Of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
1st Step
Swaal 22…

Silsilay mein logon k sakoon, bhalaai or hidayat k leay itna begharz or belaos kaam kis jazbay ke waja sy mumkin ho raha hy??

Jawaab :

*Muhammadi Hussaini Silsila*
ka maqsad
Piaray Aaqa e Dou Aalam S.A.WW,
ke umat ke bhalai ,ummat ke hidayat k kaam ko or
Imam e Aali Maqam a.a k,
Haq ke sar bulandi k mission ko aagay barhana hy.
*Murshad Jee*
Ashiq e Rasool S.A.WW hein,
Or
Apnay ishq mei *Qurab* k intehai aalla tareen maqam par hein.
AAP ny Piaray Aaqa S.A.WW k ishq mei UN S.A.WW ke ummat k dard ko apnay dard bana leya,
Piaray AAQA S.A.WW sy ishq mei he,
AAP,
IMAM E AALI MAQAM k Haq ke sarr bulandi k mission ka hissa bhe bani hein.
Ummat sy piar k jazbay nay, ummat k dard ko AAP k dil mei basaya hoa hy or ummat ke rushd o hidayat k leay AAP ke zindgi ka har lamha waqf hy.
*Murshad Jee* k ilawa, silsilay k workers k dillon mei bhe yehi,
Ummat ka dard , umat ko jahanum sy bachaney ke tarrap, ummat sy muhabat ka jazba mojood hy.
Dil mei ummat ka dard, tarrap or Ummat sy piar ka jazbay ke bina par he,
Silsilay mei ummat ke bhalai ka be loss or be gharz kaam mumkin ho raha hy.

Spirit Of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
*1st Step*
Sawal 23…

Kia aap jaantay hein k Piaray Aaqa E Doaalam S.A.WW ny ummat sy muhabat mein apne kon se muhabat or chahat ay hath outha kar….
Or apne dua ka haq bacha kar ummat ke shafa’at ka haq leya….???

Is ka jawaab har worker apnay andar k jazbay or ihsas sy dy…

Jazba-e-Kaam Salaamat.


 

“~* Workers *~”
Sawaal 24…

Imaam-e-Aalli Maqaam k mission mein as a worker shaamil rehnay k leay kin points par kaam karna zarori hota?
Any 5…??

Jawab :

Special point…
Allah ke aashnaai… Piaray Aaqa E Do Aalam S.A.WW or Oun k Sahaba Karaam r.a.a or Ehlay Bait E Athaar sy muhabat ka ihsasaat ka dil mein baidaar hona zarori hy.

1. *Gham e Hussain* ka dil mei outra hona zaroori hy.
Imam e Aali Maqam ke Haq ke sarr bulandi k leay Karbla mei de gayee qurbani ka dard andar hona, AAP a.a ke is qurbani ka maqsad samjhna zaroori hy jo k ummat ke bhalai or Deen islaam ko bachana tha,
or karbla mei millay hoay paigham or sabaq yani sabar o raza, har tara sy haq ke sarr bulandi k leay har tara ke qurbani denay sy bhe guraiz na krna, is sabaq ko behtareen tara samjhna zaroori hy.

2. Piaray AAQA S.A.WW or Panjtaan Paak or Aal E Nabi S.A.WW sy
billa bughz or dilli muhabat hona zaroori hy or In *Pak Hastion* ke muhabat,zindgi k har rishtay, or harr harr shay sy baala tarr ho jana zaroori hy

3. Imam e Aali Maqam a.a ke muhabat mei,
Haq ko sarr buland rakhnay k leay, har lamha ,apna ap paish or waqf kar k, kisi bhe tara ke azmaish sy jaan ke baazi laga ker guzar janay k jazba, tarrap, hona zaroori hy

4. Har tara sy apni zaat sy baaala tarr ho k,
Be loss or be-gharz kaam ka jazba hona zarori hy

5. Quwat e emaani kandar hona or osi k tehat Haq or batil ke pehchan kar k hamysha HAQ k leay datt janay ke power hona zaroori hy.

Spirit Of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
1st Step
Sawaal 25

Imaam-e-Aalli Maqaam ny Maarka-e-Karbala mein amle taor par jo kar dikhaya…
Os sy aap ko kia sabaq milta hy…???
Any 5…???

Jawaab :

1. Haq ke sarr bulandi k leay apni jaan sy guzar jaana parray tou guraiz na karen

2. Piaray Aaqa S.A.WW ke ummat ke falah,
Haq ka allam sarr buland rakhnay k leay,
apnay level par working kartay hoay, hamein apni jaan k ilawa agar, apnay aziz tareen rishton, maal ya kisi bhe shay ke qurbani deni parray tou guraiz na karen

3. Emaan ke power andar ho tou kam tadad mei ho k, ya even tan tanha bhe, batil k samnay Haq par khharra raha ja sakta hy,
or os *Haq* k samnay batil bazahir kitini he zaida taqat mei ho, or bazahir fatah yaab bhe ho jaye tou bhe haqeeqi shikast batil ke he hoti hy,
Or
Haq ka allam hamysha sarr buland he rehta hy. Batil sar nigon hota hy.

4. kis tara sy har tara k halaat mei, jo bhe ho raha ho,
Ossay
Allah ke taraf sy, Behtareen , samjhtay hoay,
Sabr o raza ka daman thaamay hoay,
Andar bahir sy,
Allah ke har marzi k samnay sar e tasleem hamm karna hota hy.

5. Namaz ke ehmiat ka sabaq bhe milla kion k karbala mei Imam e Aali Maqam a.a ny teeron or talwaron k sayee mei bhe namaz ada ke.

Spirit Of Work Salaamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *