Step 2 – Arkan e Islam (Day 12)

 Namaz e Witar

● Namaz witar wajob hy aur yeh teen raka’at hy aur pehla qa’ada wajib hy. Witar ke teenon rakat mae qiraat farz hy aur surah Fateha ky baad surah parhnaa wajib hy.Teesre rakat mae qiraat sy farigh honae ky baad rakooh sy pehlae kanon tak haath utha kar Allah O Akbar kahaein. Is ky baad dua e qanout parhaein. Yeh parhnaa wajib hy.

● Hazrat Abdullah bin Umar (r.a) sy marve hy keh Rasool Allah (S.A.WW) raat ke namazon ky aakhir mae witar parhnae ka hukam farmatae aur farmatae ky subh sy paishtar witar parho.

● Hazrat Ali Karam Ullah Wajho (r.a) sy riwayat hy keh Rasool Allah (S.A.WW) ny farmaya Allah vitar hy, vitar ko mehboob rakhta hy lehaza Ae Quran walon! Vitar parho.(Abu-Da’oud)

● Witar ke namaz qaza ho gae tau qazaa bhi is tarhan parhna wajib hy agar chae kitna he zamana ho gaya ho.

● agar logon ky samnae parhta ho tau taqbeer kanout ky liye haath na uthae kyun ky is tarhan log us ky gunnah par matlah hon gae.

● Agar dua e kanoot parhna bhool gaya aur rakooh mae chala gaya tau na kiyaam ke taraf loutae aur na rakooh mae parhae aur agar kiyaam ke taraf lout aaya aur qanout parhe aur rakooh na kiya tau namaz tau ho jae ge magar saath gunehgaar bhi ho ga.

● Agar Alhamd ya surat bhool gaya tau loatae aur Al Hamd aur surat qanout parh kar rakooh karae aur aakhir mae sajda e sehaf karae

● Agar bhool kar pehle ya doodre raka’at mae dua e qanout parh le tau teesre rakat mae bhi parhae

● Agar shak hua kaa ya rakat paihle haai yaa dousre yaa ya tesre tou es mein bhe qanout parhay aur qada karay phir aur dou rakatay parhay aur har rakat mein qanout parhay aur qada karay.younhe dousre aur tesre rakatt honay mein shak wakea ho tu dono min qanout parhay.

● bhoul kar paihle yaa dousre rakat mein douay qanout parh li tou tesre mein pihr parhay.yahi raiej haai…

● Masbouk emam ka sath parhay.baad ko na parahy aur agar imam ka sath tesre rakatt kaa rakouh mein milaa hai tou baad ko jo parhay gaa es mein qanout naa parhay.

● Qanout witaar mein maqtade emam ki matabat karay agar maqtadi qanout sy fariq na hua thaa ka emam rakouh mein chala gea tou maqtadi bhe imam ka sath dy aur agar imam nay by qanout parhay rakouh kar diaa aur maqtadi nay abhi kuch na parhaa tou muqtadi ko agar rakooh foat honae ka andaisha ho tau rakooh kar dae warna qanout parh kar rakooh mae jae aur is khaas dua ke hajit nhe jo dua e qanout ky naam sy mashoor hy. Balkeh mutalqan koi dua jisae qanout keh sakaein parh ly.

● Ramzan shareef ky ilawa aur dinon mae witar jamat sy na parhaein


 

Todays Memorization

● Dua e Qanoot bama tarjuma yaad kar k kisi ko souna k tashe karni hy.

Dua e Qanoot
☆ Tarjuma:
Elahi hum Tujh sy madad mangtae hain aur Tujh sy maufi mangtae hain aur Tujh par eman latae hain aur Tujh par bharosa rakhtae hain aur Tere bohat ache tareef kartae hain aur Tera shukar kartae hain aur Tere nashukri nhe kartae aur alag kartae hain aur chortae hain us shakhs ko jo Tere nafarmani karae Ellahi hum Tere he ibadat kartae hain aur Tere he liye namaz parhtae aur sajdah kartae hain aur Tere he taraf dortae aur khidmat ky liye hazir hotae hain aur Tere rehmat ky umeed vaar hain aur Tere azaab sy dartae hain, Beshak Tera azaab kafiron ko milnae wala hy.



EXERCISE QUESTIONS /30

MCQ’s /5

1. Namaz e Witar _____ hy.
a) Farz
b) Sunnat
c) Wajib

2. Namaz e witar kitne rakaat hain?
a) 3
b) 5
c) 7

3. Dua e kanoot kab parhe jate hy?
a) Sajdah mae
b) Rakooh sy pehlae
c) Rakooh ky baad

4. Masbook namaz e witar kab parhae ?
a) Imam ky saath
b) Imam ky baad
c) Imam sy pehlae

5. Kis mah mae witar jamaat ky saath parhna jaiz hy?
a) Muharram Ul Haraam
b) Ramzan Ul Mubarak
c) Rabi Ul Awal

Fill in the blanks /5

1. Witar mae pehla qada _____ hy.
2. Witar ke namaz qaza honae par us ke qaza _____ hy.
3. Teesre rakat mae kiraat sy farigh honae ky baad rakooh sy pehlae _____ tak haath utha kar Allah o Akbar kahaein.
4. Hazrat Abdullah Bin Umar r.a sy marve hy keh Rasool Allah S.A.WW raat ke namaz ky aakhir mae _____ parhnae ka hukam farmatae.
5. Logon ky samnae witar ke qaza parhtae hue _____ ky liye haath na uthaein.

True/False /5

1. Witar mae Dua e qanoot parhna wajib hy.
2. Agar bhool kar pehli ya doosre rakat mae Dua e qanoot parh le tau teesre mae parhna zaroori hy.
3. Agar namaz mae Allhamd ya surat bhool jaein tau lout ka Allhamd aur surat parhna zaroori hy.
4. Kanoot e Witar mae muqtadi Imam ke muttabat karae.
5. Muqtadi lo agar rakooh foat honae ka andaisha ho tau rakooh kar dy.

Short Answer Questions /15

1. Namaz e Witar ky havalae sy Pyaraay Aaqa S.A.WW ka koi farman e Mubarika beyan karaein.

2. Agar shak ho keh yeh rakat pehle hy ya doosre ya teesre tau kya karna chahiye?

3. Namaz e witar mae konse dua parhna zaroori hy? Yaad kar ky bina daikhae tarjuma likhaein.

4. In maloomat mae sy ap ny kya kuch neeya seekha?

5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (a)
3. (b)
4. (a)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Wajib
2. Wajib
3. Kanon
4. Vitar
5. Taqbeer e Qanoot

True/False

1. ✖
2. ✖
3. ✔
4. ✔
5. ✔

Short Answer Questions

1. Jawab:

▪Hazrat Abdullah bin Umar (r.a) sy marve hy keh Rasool Allah (S.A.WW) raat ke namazon ky aakhir mae witar parhnae ka hukam farmatae aur farmatae ky subh sy paishtar witar parho.

▪Hazrat Ali Karam Ullah Wajho (r.a) sy riwayat hy keh Rasool Allah (S.A.WW) ny farmaya Allah vitar hy, vitar ko mehboob rakhta hy lehaza Ae Quran walon! Vitar parho.(Abu-Da’oud)

2. Agar aisa ho tau is rakat mae bhi qanout parhaein aur qada karaein. Phir aur do rakataein parhae aur har rakat mae qanout parhae aur qada karae.

3. Dua e Kanoot
Tarjuma: Elahi hum Tujh sy madad mangtae hain aur Tujh sy maufi mangtae hain aur Tujh par eman latae hain aur Tujh par bharosa rakhtae hain aur Tere bohat ache tareef kartae hain aur Tera shukar kartae hain aur Tere nashukri nhe kartae aur alag kartae hain aur chortae hain us shakhs ko jo Tere nafarmani karae Ellahi hum Tere he ibadat kartae hain aur Tere he liye namaz parhtae aur sajdah kartae hain aur Tere he taraf dortae aur khidmat ky liye hazir hotae hain aur Tere rehmat ky umeed vaar hain aur Tere azaab sy dartae hain, Beshak Tera azaab kafiron ko milnae wala hy.

4. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *