Step 2 – Arkan e Islam (Day 17)

ROZAY KA KUFFARA

Ramzan ul mubarik k farz roza torrny ka kuffara youn hy…

1. koe ghulaam azaad kray mard ho ya ourat, kafir ho ya musalman

2. saath (60) rozy rakhy.
Kuffary k rozy lagataar rakhny zaroori hein.
Thory thory waqfy sy rakhny sy kuffara darust nai hota. agar kisi wajah sy darmiyan mein aik roza nai rakha tou tou phir sy dobara dou maheeny k rozy rakhny parrain gy.
Kisi takleef ya bimari ki wajah sy ya safar ki wajah sy kuffary k rozon mein nagha ho jaye tab bhe tandrust hony k baad dobara sy rakhny hon gy.
Agar koe aourat nafaas ki wajah sy kuffary k rozy darmiyan mein chorr daiti hy tou bhe pak hony py doubara rozy rakhy gi.
Agar kuffary k rozon k darmiyan mein ramzan, baqar eid ya ayam e tashreeq aa gy tab bhe kuffara sahi nai.
Haiz ki wajah sy jo rozy chout jaein wo maaf hein paak hoty he jahan sy chory thy wahan sy dobara shuru kr k saath (60) poury kr ly.
Msg 2

3. agar kuffary k rozy rakhny ki taqat nai tou saath ( 60 ) miskeeno ko khana khilaye.
60 miskeeno ko subah sham itna khilaye k oun ka pait bhar jaye.
Aik he muskeen ko subah shaam 60 din khila dy tou bhe theek hy.
agar 60 din lagataar khana nai khilaya beech mein nagha ho gya tou bhe kuffara ada ho jaye ga.
Agar khana na khilaye bal’k kacha anaaj 60 miskeeno ko dy tou bhe jaaiz hy.
Har miskeen ko agar anaaj ki qeemat dy tou bhe jaaiz hy. Har aik ko pony do sair gandum ya ous ki qeemat dy.
Aik din mein aik miskeen ko saath (60) din ka anaaj daina darust nai hy.


 

JIN HALTON MEIN ROZA TORNA JAAIZ HY

Achanak koe aisi bimari aaei k roza na torry tou barrh jaye gi ya mout bhe waqa ho sakti hy tou rozy ka torr daina jaiz hy.
pait mein shadeed dard outha ho ya saanp ny kaat liya tou ous k leay dwa peena jaaiz hy.
Agar piyas sy halakat ka khouf ho tou bhe roza torrna jaiz hy.
Haamla ourat ko aisi baat paish aa jaye k jis sy apni ya bachy ki jan jany ka dar ho tou roza torrna jaiz hy.


ROZY KA TOUT JANA OR QAZA OR KUFFARY KA WAJIB HONA

Jab aaqil or baligh shakhs ramzan sharif ka roza rakhy or jism k qudrati raaston sy koe cheeze jism mein dakhil kry agarchy wo ghiza ho, dawa ho ya kuch or ho chahy wo till k brabar he kion na ho roza tout jaye ga lakin agar kaan naak k zariye koe cheeze andar jaye tou roza nai touty ga.
Ramzan k maheeny mein roza torrny ka kuffara lazim hota hy. Ramzan k ilawa baqi dinno mein roza torrny ka kuffara na ho ga khaw wo roza man’nat ka ho, nafal ho ya ramzan k rozy he ki qaza ho.
Huqa, cigrate peeny sy kuffara or qaza dono lazim hoty hein.
Pait mein zakhm ho ya maida or aant ka zakhm khula ho or ous mein dwa daal di jaye tou roza tout jata hy or qaza or kuffara dono lazim aaty hein lakin intehaai majbouri k aalam mein kiya jaye tou qaza ho gi kuffara nai.
Jan bouj kar kuch kha pee ly, jamaa kry ya kraye jab k ous ny ramzan k rozy ki niyyat kr rakhi thee tou bhe roza tout gya or kuffara lazim ho gya.


 


EXERCISE QUESTIONS

 

MCQ’s /5

1. Aik rozae ky kafarae mae kitnae rozae rakhnae hotae hain?
a) 60
b) 30
c) 90

2. Agar kafarae ky rozae rakhnae ke taqat nhe tau kitnae maskeenon ko khana khilana zaroori hy?
a) 30
b) 45
c) 60

3. Rozae ky doran agar paet mae shadeed dard uthae tau dawa peena _____ hy.
a) Jaiz
b) Na jaiz
c) Makrooh

4. Kaan ya naak ky zariye agar rozae ky doran jisam mae kuch dakhil ho jae tau rozae ko kya hota hy ?
a) Toot jata hy
b) Nhe tootata
c) Makrooh ho jata hy

5. Ramzan ky ilawa baqi maheenon mae roza tornae ka kafara _____ hy.
a) Nahe hy
b) Farz hy
c) Wajib hy

Fill in the blanks /5

1. Kafarae ky rozae _____ rakhnae zaroori hain.
2. Haez ke wajah sy jo rozae choot jaein woh _____ hain.
3. Aik he maskeen ko subah shaam _____ din khana khila daein tau bhi rozae ka kuffara ada ho jata hy.
4. Agar khana na khilaein balkae _____ 60 maskeenon ko dae daein tau bhi jaiz hy.
5. Hukka ya cigarette peenae sy Kaffara aur _____ donon lazim hain.

True/False /5

1. Agar pyaas sy halakat ka khauf ho tau bhi roza torna jaiz nhe hy.
2. Kisi taqleef, beemari ya safar ke wajah sy kafarae ky rozon mae nagha ho jae tau shuru sy 2 maah ky rozae rakhnae paraein gae.
3. Agar kafarae ky rozon ky darmeyan Ramzan, Bakra Eid ya Ayaam e Tashreek aa jae tau bhi kafara saheeh nhe.
4. Aik din mae aik miskeen ko bhi 60 din ka anaaj dene sy kafara ada ho jata hy.
5. Hamla aurat ko aise baat paish aa jae keh jis sy apne ya bachae ke jaan janae ka dar ho tau bhi roza torna jaiz nhe.

Short Answer Questions /15

1. Ramzan ul Mubarik ky farz rozae tornae ka kafara kya hy?

2. Do aise situations btaein jab roza torna jaiz hota hy.

3. Do aise situations btaein jab kafara aur kaza donon dena lazim ho jata hy.

4. Agar kaffarae ky rozae rakhnae ke taqat na ho tau kya karna jaiz hy? koi sa 1 point share karaein.

5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (c)
3. (a)
4. (a)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Lagatar
2. Muaf
3. 60
4. Kacha anaaj
5. Kazaa

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✖

Short Answer Questions

1. Is ka kuffara younh hy:
▪Koi ghulaam azaad karna chae aurat ho ya mard ya kafir ho ya musalman
▪Saath(60) rozae rakhna

2. In mae sy koi sy do likhaein ho:
?Aise beemari achanak aa jae keh agar roza na tora tau barh jae ge ya mout bhi waqeya ho sakte hy
?Pyaas sy halakat ka khouf ho
?Hamla aurat ko aise baat paish aa jae keh jis sy apne ya bachae ke jaan janae ka dar ho.

3. Aisa tab hota hy jab:
?Paet mae zakham ho ya maedae or aant ka zakhm ka khula ho or ous mein dawa dal di jae
?Cigarette ya hukka pee liya

4. In mae sy koi 1 point:
?60 miskeenon ko khana khilana
?Aik he miskeen ko 60 din subah shaam khila daein tau bhi jaiz hy
?60 miskeenon ko kacha anaaj dae daein
?60 miskeenon ko anaaj ke qeemat dae daein

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *