Step 2 – Arkan e Islam (Day 18)

Zakat K Ma’ani O Mafhoom

Zakat ka lughvi ma’ani barhna, paak saaf krna, nasho numa pana, or pakeeza krna hy.
Islami istelah mein zakat sy muraad wo maali ibadat hy jo har sahib e nisab musalman par islam ke muqarar karda sharah k sath farz hy.
Jo insan zakat ada krta hy wo na sirf Allah k hukm k mutabiq apny maal ko paak saaf kr laita hy balky ous k zariye apny dil ko bhe maal ke hawas sy paak krta hy or doulat k muqably mein ous Allah ke mohabat ko apny dil mein jagah daita hy jis k hukm par wo doulat qurban kr raha hy.
Adaaigi e zakat insan ko yeh bhe yaad dilati hy k jo maal wo kama raha hy wo haqeeqat mein ous ki malkiyat nai hy balky Allah ke di hoe amanat hy yeh ehsas ousy moashi be rahrawi sy bachata or ehkaam e elahi k tabeh krta hy.
Arbi mein zakat k ma’ani paak saaf krna or phalna phoulna hy.
Jab hum koe pouda lagaty hein tou ous ke nasho numa k leay pani daity hein ous ko saaf krty hein. Jab thora bara ho jata hy tou ous ke kaant chaant krty hein ous ke zaaid pat’tiyan or tehniyan kaat daity hein ta’k ous ke behtr nasho numa ho is sary amal ko Tazkiya kehty hein.
Msg 2….

Sharee istelah mein zakat ous maal ko kehty hein jo hum apni doulat sy aik khas sharah k mutabiq ghareebon ko dy dain.
Is ko zakat is leay kaha jata hy k is k nikalny sy maal paak saaf ho jata hy or ous mein barkat paida ho jati hy.
Agarchy bazahir yehi mehsoos hota hy k zakat nikalny sy maal kam ho jata hy jab k soud lainy sy maal mein izafa hota hy lain yeh hamari zahir bini hy haqeeqat wohi hy jo Allah ny biyan farmai hy k,
Tarjama….
“Allah soud ko mitata hy or sadqaat ko barhata hy”


ZAKAT KI FARZIYAT AOR EHMIYAT

Yeh rukn islam mein namaz k baad dousra eham treen rukn hy.
Quran e pak mein biyasi (82) maqamaat pr nama aor zakat ki farziyat aor ehmiyat ka hukm aik sath aaya hy.
zakat farz hy aor is ka inkar krny wala kafir aor na ada krny wala faasiq aor jahanmi aor ada krny mein bila uzar dair krny wala gunah gaar o mardood shakhs hy.
Allah k leay maal ka aik hissa jo shariyat ny muqarar kia hy kisi faqeer ko malik bana daina shariyat mein zakat kehlata hy.
yeh rukn musalmano mein Allah ki khatir qurbani aor isaar ka jazba paida krta hy aor khud gharzi aor tang diki ki siffat ko dour krta hy kion k harees aor bakheel yani kanjous aadmi islaam mein kisi kaam k nai… Jo shakhs Allah ki rah mein apni mehnat sy kamaya hua maal apni zati gharz k bghair qurban kr sakta hy wo he islam k seedhy rasty pr chal sakta hy.
Msg 2
bohat c aayat aor ahadees mein zakat ada krny ki sakht takeed aaei hy aor ada na krny walon pr tarah tarah k duniya aor aakhrat k azabon ka btaya gya hy.
Hadees e mubarika mein hy k jin logon k pass sona chandi ho aor wo zakat ada na krain tou oun mein sy hr aik k seeny ko dagha jaye ga hat’ta k wo pait k paar nikal jaye ga aor jab pait ko dagha jaye ga tou wo seeny sy paar ho jaye ga.
aor jis shakhs k pass chopaye (janwar) hon aor wo zakat ada na kry tou qiyamat k din ous pr musalat kr diya jaye ga ta’k seenghon sy apny malik ko marain aor paoun sy rondain aor jab tamam guzar jaein tou phir pehly waly palat kr ousy rondna shuru kr dain jab tak k hissab na ho jaye yeh amal jari rahy ga.
Hadees mein yeh bhe manqool hy k ehl e sarwat o doulat pr zajat ka ilm seekhna farz hy.


 

 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Zakaat ka laghvi ma’ani kya hy?
a) Paak saaf karna
b) Nashu numa karna
c) Donon

2. Zakaat har sahib e nisaab musalman par _____ hy.
a) Farz
b) Wajib
c) Makrooh

3. Zakaat dene sy maal paak ho jata hy aur is mae _____ paida hote hy.
a) Muhabbat
b) Barkat
c) Hidayat

4. Zakaat islam ka _____ iham tareen rukan hy.
a) Doosra
b) Pehla
c) Teesra

5. Quran e Paak mae _____ maqamaat par namaz aur zakaat ka hukam aik saath aaya hy.
a) 72
b) 82
c) 92

Fill in the blanks /5

1. Zakaat farz hy aur is ka inkaar karnae wala _____ aur na ada karnae wala fasiq aur jahanumi hy.
2. Zakaat musalmanon mae Allah ke khatir _____ ka jazba paida karte hy.
3. Hadees mae yeh bhi aata hy keh ihl e sarwat o dolat par zakaat ka _____ seekhna farz hy.
4. Islam mae zakaat sy muraad maale _____ hy.
5. Zakaat ky zariye maal aur _____ bhi paak saaf ho jata hy.

True/False /5

1. Bila uzar zakaat ke adaigi mae daer karnae walae par koi gunah nhe.
2. Zakaat khud gharzi aur tang dili ke sifaat ko door karte hy.
3. Harees aur bakheel yaani kanjoos aadmi Islaam mae kisi kaam ka nhe.
4. Zakaat dena maal mae kami aanae ka sabab banta hy.
5. Zakaat Islaam ke muqarar karda Sharah ky saath farz hy.

Short Answer Questions /15

1. Islaam mae Zakaat sy kya muraad hy ?

2. Zakaat ky kya faidae hain?

3. Zakaat ke adaigi insaan ko kya dilate hy?

4. Soud ky havalae sy Allah ka koi farmaan beyaan karaein.

5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 

ANSWER SHEET

 

MCQ’s

1. (c)
2. (a)
3. (b)
4. (a)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Kafir
2. Qurbani
3. Ilm
4. Ibadat
5. Dil

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. Islami istelah mae zakaat sy muraad woh maali ibadat hy jo har sahib e nisab musalman par islaam ke muqarar karda sharah k sath farz hy.

2. Is sy insaan ka maal aur dil pak saaf ho jata hy. Dil dolat ke hawas aur muhabbat sy pak ho jata hy aur Allah ke muhabbat dil mae utar jate hy.

3. Yeh insaan ko yeh yaad dilata hy keh jo maal wo kama rha hy woh haqeeqat mae us ke malkeyat nai hy balky Allah ke de hoi amanat hy.

4. Allah soud ko mitata hy aur sadqaat ko barhata hy.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *