Step 2 – Arkan e Islam (Day 21)

Mutehqeen E Zakat

Musarif e zakat sy muraad wo mustehqeen hein jinhein sharan zakat ada ke ja sakti hy.
Quran e pak mein
sorat Touba,
aayt 60,
mein zakat k aath (8) masarif bataye gay hein. Tarjuma:-
“Yeh sadqaat (zakat) sirf faqeeron, miskeenon, ous k wasool krny walon k leay or oun k leay jin ke taleef e qalb matloob ho, gardan churany mein, qarzdaron k leay, Allah ke raah mein or musafiron ko daina Allah ke taraf sy farz hy or Allah ilm o hikmat wala hy”

1* FUQRA…
Fuqra faqeer ke jama hy jis k ma’ani hein mohtaj yani wo shakhs jis k pass maal ho lakin nasab sy kam ho k wo apni bunyadi zarooriyat apni aamdani sy pouri na kr sakta ho.

2* MASAKEEN…
Miskeen ke jama masakeen hy, yani wo shakhs jis k pass khany k leay ghala ya pehnan’ny k kapry na hon.
Masakeen ke tareef Piary Aaqa S.A.WW ny is tarah sy farmaei hy,
“Miskeen wo hy jo apni hajat bhar maal nai pata or na pehchana jata hy k ouske madad ke jaye or na khara ho kar logon sy maangta hy goya wo aik shareef aadmi hy jo ghareeb hy”

3* QARZ DAAR…
yani wo shakhs k jis k zimy qarz ho or ous k pass qarz sy fazil koe maal bqadr e nasab na ho.

4* MUSAFIR…
jis k pass safar ki halat mein maal na raha ho tou ous ko bhe zakat ka maal daina jaaiz hy.

5* AAMLEEN E ZAKAT…
Wo shakhs jisy islami riyasat ki taraf sy zakat aor ushar wasool krny k leay muqarar keya ho. Aisy log khaw miskeen hon ya na hon oun ki tankhaein zakat sy ada ke jaein gi.

6* GHULAMON KE AZAADI...
Ghulamon ko zakat daina ta’k wo maal dy k azaad ho jaye.

7* GHAREEB MUJAHID…
Yeh bari wasee istelah hy or is ke roo sy har naiki k kaam par zakat ada ke ja sakti hy lakin baaz fuqha ka khiyal hy k raah e khuda sy uraad jehad hy ta’ k ghareeb mujahid jihad ka saman kry.

8* MOALIFA TUL QALOOB…
Yanibjin k dilon ko islam ke taraf maail krna ho jo nay nay musalman hon or maali toar par kamzor hon ya jin ke muhalifat ka zoor maali madad sy tora ja sakta ho.
Msg 2

*Maal daar k marny k baad ous k na baligh bachon, bivi, or baligh oulaad ko jab tak k oun k baap ka maal oun k hwaly na ho jaey zakat di ja sakti hy.

* Tandrust or taqatwar aadmi agar sahib e nasab nai hy tou zakat di ja sakti hy lakin ousy swal krna ya bheek mangna jaaiz nai hy.

*Bahoo, damaad aor soutaily maan baap ya bivi ki oulaad jo dousry shohar sy ho ya shohar ki oulaad jo dousri bivi sy ho aor dousry rishty daron ko zakat ada ki ja sakti hy.

* Zakat aor sadqaat mein afzal hy k pehly apny maan baap k khouni rishton ko phir dousry rishty daron ko phir parosiyon ko phir apny sath kaam krny walon ko phir apny gaoun aor shehar k rehny walon ko.

* Faqeer zakat k maal ka malik ho jany k baad khud apni taraf sy agar masjid ya madrisy ki imarat mein maal lagaye ya maiyat k kafan dafan mein lagaye tou jaaiz hy.


 

Bani Hashim zakat Nai Ly Sakty

zakat k silsily mein yeh baat qabil e zikr hy k Aap S.A.WW ny apni zaat or apny khandaan par zakat ka maal haram qarar deya tha.
Aap S.A.WW ny khud bhe zakat ke taqseem ka kaam hamesha bila moawza sar injaam deya or Banu Hashim par bhe yeh qaaida muqarar farma deya k agar wo yeh khidmat bila moawza injam dain tou jaaiz hy lakin moawza ly kar khidmat krna jaaiz nai hy.
Nabi Kareem is moamly mein is qadar ikhtiyat farmaty thy k agar ghar mein koe cheeze hadiyatan aati tou daryaft farma laity thy k yeh kaheein sadqy ke cheeze tou nai hy.


 

Jin Logon Ko Zakat Or Ushar Daina Jaaiz Nai

* Maal dar sahib e nasab jis pr khud zakat daina farz hy.

* Bani Hashim yani Hazrat Ali a.s, Hazrat Jaffar r.a, Hazrat Aqeel r.a, Hazrat Abbas r.a, Hazrat Haris bin Mutlib r.a ko zakat daina jaaiz nai hy.

* Apny asal yani maan baap, behn bhai, dada dadi, nana nani, nwasa nwasi, pouta pouti, baita beiti ko zakat daina jaaiz nai.

* Shohar apni bivi ko aor bivi apny shohar ko zakat nai dy sakti is tarah sadqa fitar ya kufara bhe oun ko nai deya ja sakta hy.

* kisi kafir, murtid ya ghair mazhab ko zakat daina yani zakat ka maal daina jaaiz nai.



 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Quran e Paak ke kis surat mae Zakaat ky musarif beyaan kiye gae hain?
a) Surah Touba
b) Surah Mariyam
c) Surah Fateha

2. Zakaat ky kitnae musarif hain?
a) 8
b) 10
c) 12

3. Kin logon ko zakaat dena jaiz nhe?
a) Shohar aur biwi
b) Bani Hashim
c) Donon

4. Kin ko zakaat dena jaiz hy?
a) Karzdaar
b) Mussafir
c) Donon

5. Kisi kafir ya ghaer mazhab ko zakaat dena kya hy?
a) Farz
b) Na jaiz
c) Jaiz

Fill in the blanks /5

1. Fuqara ky ma’ani _____ hain.
2. _____ woh shakhs hy jisae Islami reyasat ke taraf sy zakaat aur Ushar wasool karnae ky liye muqarar kiya gaya hy.
3. Zakaat aur _____ mae afzal hy keh pehlae apnae waldaein ky khooni rishton ko de jae.
4. Ap S.A.WW ny Apne zaat aur Apnae khandaan par zakat ka maal _____ karar diya.
5. Apnae _____ ko zakaat dena jaiz nhe.

True/False /5

1. Moalifa Tul Qaloob ko zakaat dena jaiz nhe.
2. Tandrust aur taqatwar aadmee agar Sahib e Nasb nhe hy tau zakaat de ja sakte hy.
3. Faqeer agar zakat ka maal laene ky baad khud apne taraf sy maeyat ky kafan mae lagana chahae tau jaiz hy.
4. Maal dar ky marnae ky baad us ky na baligh bachon ko jab tak keh baap ka maal unky havalae na ho jae jaiz hy.
5. Zakaat ky 8 musarif ka zikar Surah Touba ke ayat number 70 mae hua hy.

Short Answer Questions /15

1. Musarif e zakat sy kya murad hy?
2. Zakaat ky 8 musarif wazeyah karaein.
3. Masakeen ky muttalik Pyaraay Aaqa S.A.WW ke Hadees e Mubarika likhaein.
4. Moalifa tul Qaloob sy kya murad hy?
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (a)
3. (c)
4. (c)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Muhtaaj
2. Aamleen e Zakat
3. Sadqaat
4. Haraam
5. Asal

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✔
5. ✖

Short Answer Questions

1. Musarif e Zakaat sy muraad woh mustegqeen hain jinhaein sharan zakaat ada ke ja sakti hy.

2. Zakaat ky yeh musarif hain:
?Fuqra
?Masakeen
?Qarz daar
?Musafir
?Aamleen e Zakat
?Ghulamon ke azaadi
?Ghareeb Mujahid
?Moalifa Tul Qaloob

3. Yeh har aik ka apna jawab ho ga laikan upar diye gae msgs mae bhi Hadees e Mubarika moujood hy.

4. Is sy murad woh log hain jinky dilon ko islaam ke taraf mail karna ho jo nay nay musalmaan hon aur mali toar par kamzoor hon ya jin ke mukhakifat ka zoor mali madad sy tora ja sakta ho.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *