Step 2 – Arkan e Islam (Day 6)

Waajibaat E Namaz

Waajibaat E Namaz wo amaal hein jin ka namaz mein adda krna zarori hy. Agar in mein sy koi amal reh jaey tou Sajda E Sehav kr lainay sy namaz darust ho jaey ge.
Agar Sajda E Sehav na keya ya qasdan koi wajib chora tou namaz ka laotana wajib hy wajib ka tarak kr daina acha nahi. Qasdan wajib chornay sy gunah hota hy.
Waajibaat e Namaz hasb e zail hein.

1.Takbeer e tehreemah mein lafz Allah O Akbar hona.

2.Allhamd parhna.

3.Farz ke 2 pehli rak’atton mein or sunnat o nafal or watar ki har rak’att mein Allhamd k sath koi surat ya 3 choti aayatoun ko milana.

4.Farz namazon mein 2 pehli rak’atton mein Qir’at krna.

5.Allhamd ka surat sy pehlay hona.

6.Har rak’att mein surat sy pehlay aik he baar Allhamd parhna.

7.Allhamd or surat k darmiyaan “Ameen or Bismillah” k siwa kuch or na parhna.

8.Qir’at k baad faoran he rakou krna.

9.Sajda mein dono paaoun ke 3,3 ungliyoun ka pait zameen per lagna.

10.Dono sajdon k darmiyaan kisi rukan ka fazil na hona.

11.Tadeel e Arkaan…
Yani rakou o sajoud or qouma o jalsah mein kam az kam aik baar SubhanAllah kehnay k barabar theharna.

12.Jalsah yani dono sajdon k darmiyaan seedha baithna.

13. Qouma yani rakou sy seedha khara ho jana.

14.Qa’adah Oulaa agarcha nafal namaz ho.

15.Faraz or wattar or maoqadah sunaton k qa’adah oulaa mein Attahiyaat sy ziada kuch na parhna.

16.Har qa’adaah mein pura tash’hud parhna.

17.Lafz As’salaam do baar kehna.

18.Wattar mein Dua e Qanout parhna.

19.Wattar mein Qanout ke Taqbeer.

20.Eidain ke 6 zaa’id taqbeerain.

21.Eidain mein dosri raq’at k raqou ki taqbeer.

22.Or us Taqbeer k leay lafz Allah O Akbar hona.

23.Har Jehri namaz mein Imaam ka buland aawaz sy qir’at karna.

24.Or gair jehri namazon mein aahista qir’at krna.

25.Har Farz o Wajib ka us ki jagha per adda krna.

26.Har raq’at mein aik he raqou hona.

27.Or har raq’at mein do he sajday hona.

28.Dosri raq’at puri honay sy pehlay qaa’dah na hona.

29.Or 4 Raq’at wali namazon mein teesri raq’at per qaa’dah na krna.

30.Aayat e sajdah parhi tou sajda e tilawat krna.

31.Sahev hoa tou sajda e sahev krna.

32.Do Farz ya do wajib ya wajib o farz k darmiyaan 3 martabah “SubhanAllah” kehnay k barabar waqfah na hona.

33.Imaam jab qir’at buland awaaz sy kray ya aahista kray us waqt mein muqtadi ka chup rehna.

34.Qir’at k siwa tamam waajibaat mein muqtadi ko imaam ke pairvi krna.


 


Exercise Questions /30

MCQ’s /5

1. Wajibaat e namaz mae sy koi amal reh jae tau _____ karnae sy namaz darust ho jate hy.
a) Sajda e Sehav
b) Kafara
c) Wazu

2. Wajibaat e namaz _____ hain.
a) 36
b) 34
c) 35

3. Farz namazon mae do pehle raka’aton mae _____ karna wajibat e namaaz ka hissa hy.
a) Kiraat
b) Dua
c) Touba

4. Har qa’adah mae _____ parhnaa chahiye.
a) Tashad
b) Surat
c) Neeyat

5. Eidaein ke _____ takbeeraein hote hain.
a) 6
b) 7
c) 3

Fill in the blanks /5

1. Kirat ky baad foran he _____ karna hota hy.
2. Sajdah mae donon paon ke _____ ungleyon ka pait zameen par lagna chahiye.
3. Witar mae _____ dua parhne hote hy.
4. Imam jab kiraat buland awaaz mae karae us waqt mae muqtadi ka _____ rehna zaroori hy.
5. Doosre rakat poore honae sy pehlae _____ nhe hona chahiye.

True/False /5

1. Ayaat e Sajda parhe tau Sajda e Tilawat karna zaroori nhe
2. Doosre rakat poore honae sy pehlae qa’ada na hona wajibaat e namaz ka hissa hy.
3. Farz ya do wajib ya wajib al farz ky darmeyan 3 martaba SubhanAllah kehnae ky barabar waqfa nhe hona chahiye.
4. Qoama ya raku sy seedha khara ho jana zaroori hy.
5. Ghaer Jehri namazon mae buland awaaz mae qiraat karne chahiye.

Short Answer Questions /15

1. Koi sy panch wajbaat e namaz wazeyah karaein.
2. In mae sy kin ka apko pehlae ilm nhe tha ?
3. Wajibaat e namaz kya hotae hain ? Wazeyah karaein.
4. Tadeel e Arkaan ko wazeyah karaein.
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de.

 


 Answer Sheet

MCQ’s

1. (a)
2. (b)
3. (a)
4. (a)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Rakuu
2. 3
3. Dua e kanoot
4. Chup
5. Qa’ada

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✔
5. ✖

Short Answer Questions

1. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.
2. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.
3. Woh amal jinka namaz mae ada karna zaroori hy.
4. Rakou o Sajood or qouma o jalsah mae 1 bar SubhanAllah kehnay ky barabar theharna.
5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *