Step 2 – Arkan e Islam (Day 9)

Namaz ki Sunatein

Namaz mein jo amoor Rasool Akram S.A.WW sy sabit hein.
Lakin un ki takeed farz or waajib sy kam hy unhein sunnat kaha jata hy.
In amoor mein agar koi kaam sehvan chout jaey tou us sy namaz fassid nai hoti or na he insaan gunahgaar hota hy or na he Sajda e Sahev wajib hota hy albatah in k chornay sy sawaab mein kami ho jati hy. Lehazah Ehl e Taqwa k leay zarori hy k wo namaz ki sunnaton per zaror amal krein kion k ye wo amour hein jin per Nabi Paak S.A.WW ny Bazaat e Khud amal keya hy.

Namaz ki Sunnatain darj e zail hein…

1. Taqbeer k waqt hathailiyon or hathon ki oungliyon ko apnay haal per chorna.yani na bilkul milaey na be’takaluf kushadah rakhay bal’k apnay haal per chor dy.

2. Ba’waqt e taqbeer sir na jhukana sunnat hy.

3. Taqbeer sy pehlay hath outhana yun he taqbeer e qanout or taqbeerat e eidain mein kano tak hath ly janay k baad taqbeer kahay or in k elawa kisi jagha namaz mein hath outhana sunnat nahi.

4.(Taqbeer e tehreema k baad) Namaz Shuru krna tou ye perhna…
“Subhana Kal’la Humma Waa bee’hamdiqaa Waa Tabara’qasmuka Waa Ta’alaa Jaduka Waa illaha Gairuk”
Imaam buland aawaz sy khahay lakin muqtadi o munfarid ko ounchi awaaz sy Allah O Akbar kehnay ki hajat nahi.

5. Namaz parhtay waqt Bismillah ounchi awaaz mein na parhna.

6. Namaz mein sunnat…
daaein hath ka baaein hath k ouper naaf k neechay rakhna.

7. Namaz mein “Gair il Maghdoub e Allehim Waa Lad’dalein” k baad aahista aawaz k sath ameen kehna.

8. Namaz shuru krtay waqt hath kandon tak utha kr angouthon ko kano k barabar krna. Is k baad Allah O Akbar kehna.

9. Rakou mein jatay waqt Allah O Akbar kehna sunnat hy.

10. Rakou mein ghutno ko hath sy pakarna or oungliyaan khoob khuli hoe rakhna sunnat hy.

11. Halat e rakou mein tangain seedhi rakhna sunnat hy.

12. Har taqbeer mein Allah O Akbar ki ray ko jazam parhna sunnat hy.

13. Rakou mein peeth khoob bichi rakhna yahan tak agar pani ka piyaala peeth per rakha. jaey tou thehar jaey.

14. Rakou sy uth kr hath na bandhna bal’k latka hoa chor daina.

15. Sajday k leay or sajday sy outhtay waqt Allah O Akbar kehna sunnat hy.

16. Sajda krtay waqt Apnay guthnoun ko zameen per hathon sy pehlay rakhna or jab sajda sy uthna tou apnay hathon ko guthnoun sy pehlay uthana. Or sajday sy farigh ho kr agli raq’at k leay panjon k bal ghutnon per hath rakh kr uthna sunnat hy.

17. Rakou krtay waqt 3 baar “Subhana Rabii Yal Azeem” parhna.
Or Sajda kray tou 3 baar “Subhana Rabii Yall Aallaa” parhna.

18. Namaz ko sakoon or itmeenan k sath parhna.

19. Rakou krtay waqt sir ko is halat mein rakhna k na ziada ouper ho or na neechay jhuka hoa bal’k is halat k darmiyaan mein rakhna k sir peeth k bararbar ho.

20. Imaam ka 4 cheezain aahista parhna…

  • Aaouzbillah
  • Bismilah
  • Ameen
  • Rabana Lakal’hamd…

Sunnat hy.

21. Sajda krtay waqt hathailiyaan zameen per rakhna or kohniyaan zameen sy outha rakhna.

22. Halat e tashud mein daaein paaoun ki oungliyaan Qibla roo krna sunnat hy.

23. Halat e tash’hud mein hath raano per honay chahiye or oungliyon k kinaray ghutnon k pas honay chahiye.

24. Imaam k sath taqbeer kehna. Imaam k sath rakou krna or jab Imaam rakou sy sir uthaey tou us k sath sir uthana.
Or jab Imaam “Sami Allah Holay man Hmeidah” kahay tou us waqt “Rabana Lakal Hamd” kehna.

25. Namaz mein har 2 raq’at k baad Attahiyaat parhna.
Or Qa’ada mein baayaan paaon bichana or daayaan paaon khara rakhna. Or daayaan hath daaein raan per or baayaan hath baaein raan per rakh kr shahadat ki ungli sy ishara krna.

26. Attahiyaat parhtay waqt daayaan paaon khara rakhna or us ki ungliyaan qibla rukh rakhna or baaein paaon per baithna.

27. Sajday sy sir uthanay k baad baayaan paaon bicha kr us per baithna (or daayaan paaon khara rakhna) or phir barabar ho kr baitna k haddiyaan apni apni jagha per barabar ho jaein.
Dosray sajday sy jab raq’at k leay uthna tou ghuthnon per uthna or dono hathon sy zaanoun per taik laga kr uthna.

28. Sajda krtay waqt pehlay guthnay phir naak or phir paishani ko zameen per lagana or dono baazoun ko pehlu sy juda rakhna or hathon ki ungliyoun ko apni halat mein rakhna or dono paaoun ki oungliyoun ko qibla rukh krna.

29. Qa’ada oulaa mein tash’hud k baad Darood Sharef parhna sunnat hy.

30. Namaz mein dosri ya teesri raq’at k leay aaram k leay baithay bagair apnay qadmon k kinaaray per seedhay kharay ho jana.

31. Darood k baad masnoon dua parhna sunnat hy.

32. Pehlay daaein or phir baaein traf munh phair kr “Asalam 0 alikoum Waa Rehmatullah ” ek, ek baar kehna or Imaam k leay sunnat ye hy k dono salaam buland awaaz sy kahay magar dosra ba’niabat pehlay k past awaaz sy kahay.

33. Imaam k leay salaam kehtay waqt tamam mutaqadiyon or sath rehnay walay farishton ki neyat krna sunnat hy.



Exercise Questions /30

MCQ’s /5

1. Namaz ke kitne suntaein hote hain ?
a)32
b)33
c)34

2. Bawaqt e Takbeer kya karna sunnat hy?
a) Sir jhukana
b) Seedha khara hona
c) Dua karna

3. Rakoo mae jatae hue kya kehna sunnat hy ?
a) Allah o Akbar
b) Subhan Allah
c) Allhamdulillah

4. Sajdah kartae waqt kis ka zameen par hona sunnat hy?
a) Hatheyliyaan
b) Kohneyaan
c) Paet

5. Sajdah kartae waqt jisam ky aazaa kis tarteeb mae zameen ko choonae chahiye?
a) Naak, ghutnaan, paeshani
b) Ghutnae, naak, paeshani
c) Paeshani, naak, ghuttnae

Fill in the blanks /5

1. Namaz shuru kartae waqt haath utha kar apnae _____ ko kanon ky barabar karna sunnat hy.
2. Namaz parhtae waqt _____ ounchee awaaz mae nhe parhna chahiye.
3. Namaz ko _____ aur itmenan ky saath parhna sunnat hy.
4. Imam ka _____ cheezaein ahista parhna sunnat hy.
5. _____ mae daein paon ke ungleyaan qibla rukh karna sunnat hy.

True/False /5

1. Halat e Tashud mae haath ranon par nhe honae chahiye.
2. Namaz mae har 4 rakat ky baad Aatahaeyat parhna sunnat hy.
3. Qada Oula mae Tahud ky baad Darood Shareef parhna sunnat hy.
4. Darood Shareef ky baad masnoon dua parhna sunnat hy.
5. Imam kae liye salaam kehtae waqt saath rehnae walae farishton ke neeyat na karna sunnat hy.

Short Answer Questions /15

1. Imam ka kon sy 4 cheezon ko ahista ahista parhna sunnat hy ? Wazeyah karaein.
2. Jab Imam rakooh sy sir uthae tau us ky saath kya kehna aur karna sunnat hy?
3. Rakooh kartae waqt kis halat mae sir rakhna sunnat hy ?
4. Sajdah ky sunnat ka tareeqa wazeyah karaein.
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


  Answer Sheet

MCQ’s

1. (b)
2. (a)
3. (a)
4. (a)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Angoothon
2. Bismillah
3. Sakoon
4. Chaar(4)
5. Halat e Tashud

True/False

1. ✖
2. ✖
3. ✔
4. ✔
5. ✖

Short Answer Questions

1. Aaouzbillah
Bismillah
Ameen
Rabana Lakal’hamd

2. Imam ky saath sir uthana aur Imam ky baad yeh kehna chahiye: Rabana Lakal Hamd

3. Rakou kartay waqt sir ko is halat mae rakhna k na ziada ouper ho or na neechay jhuka hoa bal’k is halat k darmiyaan mein rakhna k sir peeth k barabar ho.

4. Sajda kartae waqt pehlay ghutnay phir naak or phir paishani ko zameen per lagana or donon baazoun ko pehlu sy juda rakhna or haathon ki ungliyon ko apni halat mae rakhna or donon paaiun ki oungliyoun kobqibla rukh karna sunnat hy.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *