Step 2 – Arkan e Islam(Day 3)

Arkaan E Islaam

” 2nd Rukan e Islaam Namaz Sy Pehlay ”

Dosra Rukan e Islam namaz hy…
Par namaz sy pehlay ham Azaan or Wazu k baray mukhtasaran bataein gy… kion k namaz sy pehlay Azaan or Wazu dono intshaai zarori hein.


Arkaan E Islaam

“AZAAN”

Azaan k maani ailaan karny k hein… lakin shariyat e Islaam mein 5 waqt or juma ki namaz k leay khas alfaz sy namaz ke itlaah dainy ko azaan kehty hein.

Azaan sy islaam ki aik khass shan zahir hoti hy is leay is ki bohat takeed hy.
Azaan mein Allah ki toheed or Piary Aaqa S.A.WW ki rasalat ka ba awaaz e buland ailaan kiya jata hy…. isi leay kufar azaan sy jalty hein.
Har farz namaz k leay azaan kahi jaey…
Azaan k leay ous namaz ka waqt hona zaroori hy.
Agar waqt sy pehly azaan day di jaye tou waqt shuru hony k baad ous azaan ka lotana zaroori hy.


Azaan ke ibtada

Jab hijrat k baad Madeena Munawra mein masjid tameer ke gae tou zarorat mehsoos hoe k namaz k waqt honay k ailaan ka koe khaas tareeqa apnaya jaey.
Piaray Aaqa S.A.WW ny Sahaba Karaam r.a.a sy mashwara keya tou kisi ny kaha k aag roshan kar k, kisi ny Yahodion ke tara narsangha bajanay ka… kisi ny kia tou kisi ny kia mashwaray deay par Aap S.A.WW ko kisi par itminaan na hoa or mutafakir rahay jis sy Sahaba karaam r.a.a bhe paryshan rahay.
Raat ko aik Ansaari Hazrat Abdullah Bin Abdarba r.a ny khwab daikha, jis mein Ounhein azaan or aqaamat ke talqeen hoe, subh he khwab Aap S.A.WW ko sonaya tou Aap S.A.WW ny farmaya k,
InshaAllah ye roya (khwab) haq hy or farmaya k Bilal r.a ko ye kalmaat yaad kara do, oun ke awaz buland hy or wo har namaz k leay isi tara azaan deya karein.
Osi din sy azaan ka ye nizaam qaaim hoa.


Azaan k baray mein Zaroori masaail

1. Hadees e mubarika mein hy k
“Bina wazoo azaan na de jaye”
Albata majbouri ki halat mein bila karahat jaaiz hy jaisy namaz ka waqt tang hota ja raha ho ya kisi bemari ki wajah sy wazoo na kr sakein.

2. Jo shakhs azaan dy wohi takbeer parrhy… albata moaz’zan azaan dy kar kaheein chala jaye ya dousry shakhs ko takbeer ki ijazat dy dy tou wo takbeer parrh sakta hy.

3. Takbeer sirf farz namazon k leay masnoon hy.
Taraweeh, eidain, namaz e janaza k leat azaan nahi hoti.

4. Aurton ko azaan ya takbeer kehna makrooh hy khaw namaz jamaat sy parrhein ya alag.

5. Aurat azaan soun kar mard ki tarah jawab dy.

6. Azaan or takbeer k waqt salam karna makrooh hy.

7. Masjid k andar azaan daina makrooh hy albata jumma k khutba k waqt wali azaan minmbar k saamny makrooh nahi.

8. Aisi koe bhe napaak halat jis mein namaz adda karnay ke ijazat nai… os mein azaan ka jawab nhe na dainay ke ijazat hy

9. Ilam e deen parrhatay ya khutba sountay hoay…
Ya kisi bhe namaz k parrhtay hoay bhe azan ka jawab na dainay ke ijazat hy.

10. Qzaey hajat k waqt bhe azaan ka jawab na deya jaey.


Azaan Ka Jawab Daina

Hazrat Umar Farooq r.a sy riwayat hy k Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k…
Jab moazan Allah Hu Akbar Allah Hu Akbar kahay tou tum bhe yehi kaho…
Jab wo Ash’hadu An’Laa Illa’ha ill’Allah kahay tou tum bhe yehi kaho…
Jab wo Ash’hadu An’na Muhammad Ur Rasool Allah kahay tou tum bhe yehi kaho…
Phir wo kahay Haiyaa Al’ass’salaah tou tum Laa Haolaa Wala’quwata illa Billa kaho…
Phir wo Haiyaa Al’al Falaah kahay tou tum Laa Haolaa Wala’quwata illa Billa kaho…
Phir wo Allah Hu Akbar Allah Hu Akbar kahay tou tum bhe yehi kaho…
Phir jab wo Laa illa’ha illa’Allah kahay tou tum bhe yehi kaho…
Jis my dil mein ye kalmaat kahay jannat mein daakhil ho geya.


Azaan K Baad Dua Krna Baes e Qaboolitat Hy

Aik shakhs ny Aap S.A.WW sy arz ke k azaan dainy walay tou ham sy aagy barrh gaey… tou Aap S.A.WW ny frmaya k tum bhe wohi alfaz kaho jo wo kehty hein or jab azaan khatam ho tou dua maango…. azan k baad maangi jany wali dua qabool hoti hy.
Azaan k baad darood sharif parh kar yeh dua paerhein…
Tarjama….
Aey Allah..!!
Aey kamil pukar k Rab…!! or is qaaim hony wali namaz k Rab…!! Muhammad S.A.WW ko waseela or fazeelat attaa farma or Aap S.A.WW ko Maqam e Mahmood atta farma… Jis ka Aap ny Oun sy wada frmaya hy… beshak k Aap apny wady ko poura farmaty hein.
Ameen


Todsys Memorization

  • Panchwan kalma bama tarjuma yaad kar k kisi ko souna k tashee bhe karani hy…

Panchwan Kalma Astaghfar:
Tarjama…
Mae Allah sy maufi mangta hoon jo mera Parwardigaar hy, har gunah sy jo maine kiya jan bojh kar ya bhool kar dar parda ya khullam khula aur mae touba karta hoon Us ky hazoor mae us gunah sy jo mujhe maloom hy aur us gunah sy jo mujhe maloon nhe beshak TOU ghaebon ka jananae wala hy aur aebon ko chupanae wala hy aur gunahon ka bakshnaw wala hy aur gunahon sy bachnae ke taqat aur naek kam karnae ke quwat Allah he ke taraf sy hy jo Aale Shan aur azmat wala hy.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *