Step 2 : Zaat per Kaam- (Sawal 17 to 22)

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 17…
*Khud Pasandi*

Naumeed aadmi sust hota hy or khud pasand aadmi ka khiyal hota hy k main talab sy beniyaaz hon.
Hazrat Ayisha r.a sy kisi ny pocha k aadmi badkaar kab hota hy?
Ounhon ny farmaya k jab apnay aap ko naikokaar samajhnay lagay or aisa samajhna khud pasandi hy.

Jab apne kisi bhe choti ya barri khoobi ko zaati kamaal samjhein or isay Allah ke atta ke hoe naimat na samjhein tou aisa shakhs khud pasand ho ga.

Point 1 :
Khud pasandi k nuqsanaat bataaein??

Point 2 :
Aap k khiyal mein khud pasandi ka illaj kia hy??
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :

Khud pasandi k nuqsanaat bataaein??
Reply
1.Insaan apnay apko qabil samjhnay lagta hy , apnay aitmad ke bina par
2. Doosray ke achaian nazar nahi ati khud ko he acha samjhta hy
3. Apni zaat ke taskeen k chakkar mei parr jatay hein, ana , takabour or fakhar paida honay lagta hy or ye sab Allah ko pasand nahi hy
4. Apnay aap ko bartar or doosron ko kam tarr samjhtay hein
5. Andar mei “kuj v nai” ka ihsas kam hota hy or Allah k rastay par aagar safar nai kar saktay

Point 2 :

Aap k khiyal mein khud pasandi ka illaj kia hy??
Reply
1. Apnay aap ko qabil samjhna chor den
2. Ihsas e tafaakhur sy nikal ayen
3. Doosron ke achaion ko dhoodhein or khulay dil sy qabool karen
4. Doosron ko kam tarr samjhna chor den
5. Apni kisi salahiyat ko Allah ka ihsan khud par samjhein
6. Allah k ihsas mei , or ajizi mei rehtay hoay, Allah ke marzi k tabay apni salahiaton ko use karen

Spirit of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 18…
*Riyakaari (Dikhawa)*

Ye aisay he hy k aadmi apnay aap ko logon k saamnay muttaqe zaahir karay or is muqsad ko paanay k leay khud ko bazaahir aisay paish keay rakhay k log isay naik samajh kar is ke tazeem karein or jo cheez deen mein naiki or taqwaa ke daleel hoti hy osay logon par zaahir keya jaey.

Point 1 :
Riyakaari sy khud ko bachanay k leay kia keya jaaey??

Point 2 :
Koe aisa waaqia share karein jab aap ny kiei soch ya amal mein apne riyakaari pakrri ho or osay faoran khaalis keya ho??
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :

Riyakaari sy khud ko bachanay k leay kia keya jaaey??

1. Apnay andar, har ihsas soch or amal ko khalis karen , Allah k ihsas mei reh ker
2. Apni jhooti izat or tazeem ko barhanay ke chahat chor den
3. Apni haqqeat qabool karen, jo hein khud ko wohi samjhen,
4. Apnay amal ko logon k leay nahi, Allah k leay karen , or OS ke raza panay ka ihsas rakhein jis ke jaza bhe Allah sy milni hy
5. Ha waqt Allah k waqif e haal honay ka ihsas , Allah ke nazar mei
Mehsoos karen

Point 2 :
Koe aisa waaqia share karein jab aap ny kiei soch ya amal mein apne riyakaari pakrri ho or osay faoran khaalis keya ho??

Is ka jawab bhe sab apnay apnay hisaab sy dain gy…
Jazba-e-Kaam Salamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 19…
*Takabur Ya Main*

Jo koe logon k moaamlay mein takabur karay or inhein haqaarat ke nazar sy daikhay, haq baat qabool na karay or apnay aap ko in sy behtar khiyal karay or dosron ke sahi or sachi baat bhe qabool karnay sy inkaar karta hy.

Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k
“Haq baat ka inkar takabur hy”
Azmat o kibriyaai or barraai tou Allah ko zaib daiti hy. Banda aajiz or zaeef hy koe kaam is k ikhiyar mein nahi is leay barrai k daaway is ko zaib nahi daitay k apnay aap ko kuch samjhay.
Hadees e Qudsi hy k
“Azmat mere azaar or kibriyaai mere ridaa hy jo in mein jhagrray ga Main isay marorr k rakh doun ga”

Point 1 ‘
Takabur karnay ke waja kia hoti hy k is k baray mein itna kuch intahaai sakht jaantay hoay bhe takabur kartay hein?

Point 2 :
Takabur ya Main ko apnay andar sy pakarrnay ka gur kia hy??

Point 3 :
Takabur sy bachnay k leay tips dain??
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :

Takabur karnay ke waja kia hoti hy k is k baray mein itna kuch intahaai sakht jaantay hoay bhe takabur kartay hein??

1. Ham ye bhool jatay hein k takabour sirf Allah k leay hey
2. Jab zaat ke daldal mei phanss jatay hein tou takabour ko apnay leay jaiz samjhtay hein
3. Apni jhooti izat or shan bachaney k leay , maintain rakhnay k leay
takabour mei moutibla hotay hein
4. Apni haqeeqat bhool jaatay hein
5. Allah ko Allah o Akbar nai samjhtay

Point 2 :

Takabur ya Main ko apnay andar sy pakarrnay ka gur kia hy??
Reply
Jab bhe
Mei, Mera , Mujay….
Jab bhe kabhi ye ilfaaz ap k ihsas , soch or amal mei ayen tou ye mei ya takabour ko pakarnay ka gurr hy.
Kion k ye sabb zaat ka izhaar kartay hein. Apni pasand, chahat ,marzi in mei chupi hoti hy.

Point 3 :

Takabur sy bachnay k leay tips dain??
Reply
1. Apnay apko “mei kuj v nai samjhein
2. Doosron ko khud sy behtar samjhein, na doosron ko kamtarr
3. Allah ke shan or kibriyai ka ihsas apnay andar haq lamha rakhein
4. Apnay andar ajizi rakhein, apnay andar ihsas e bartai na aanay den
5. Apnay andar ke achaion ko Allah ka khud par karam samjhein, os mei apna kamaal na samjhein
6. Har khoobi, har bhalai, har behtari, har qabliat k leay shukar k ihsas mei rahein

Jazba e Kaam Salaamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 20…
*Niyat*

Piarqy Aaqa S.A.WW ka farmaan hy k
“Aamaal ka daromadaar niyat par hy”
Yani har shakhs ko apnay amal ka wohi badla milay ga jaisi k os ke niyat hy.

Point 1 :
Apne zindagi ka koe aisa waaqiya bataain jis mein aao bazaahir jo behtareen amal kar rahay thay, os mein niyat waisi nahi the… or aaj aonay oun amaal ko yaad kar k sharmindagi ho rahe ho??

Point 2 :
Niyat dar niyat kia hoti hy??

Point 3 :
Zaat par kaam k daoran aap par apne niyat dar niyat bhe khouli ho ge… kisi waaqiya sy waazeh karein..??
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :
Apne zindagi ka koe aisa waaqiya bataain jis mein aao bazaahir jo behtareen amal kar rahay thay, os mein niyat waisi nahi the… or aaj aonay oun amaal ko yaad kar k sharmindagi ho rahe ho??

Working jab start ke , tou tabb lagta tha k jis k sath bhe , working kar rahi hon, is leay k wo ummati hy, or osko bachaana hy.
Is daoraan
Mere sath jo aik case attach hoa, os k sath behtareen reslut bhe milla or wo maslay sy nikla, parr aagay na chala.
abb ihsaas hota hy k niyat darr niyat sirf ossay bachana na thee balkay ye bhe hoti thee k mere pass cases nai hein or meri working kam hy is leay wo zaroor sath attach rahay. or is par mujay abb sharmindgi bhe hoti hy k niyat bazahir kuch or or darr niyat kuch or thee.

Point 2 :

Niyat dar niyat kia hoti hy??

Kisi bhe amal ka inhisaar , niyat par hota, jis ke buniad par ham wo amal krtay hein , or wo niyat or amal dono he bazahir best hotay hein, par os niyat k peechay aik posheeda niyat bhe hoti hy, jis mei usuallay khalis pann nahi hota , milaawat hoti hy.
Oss posheeda , bazahir ke niyat k peechay ke niyat ko niyar dar niyat kehtay hein , jo asli hoti hy.

Point 3 :
Zaat par kaam k daoran aap par apne niyat dar niyat bhe khouli ho ge… kisi waaqiya sy waazeh karein..??
Reply

Zaat par kaam kartay hoay, ham ny apni koi chahat or marzi poori nahi karni hoti. balkay, doosron ke asaani ko tarjeeeh detay hein apni marzi maar kar, Allah ke raza k leay.
Aik baar sabb k sath ikhtay beth kr khaana kha rahay thay.
Or aik hkr bhe mere sath the.. mei ny ossay kaha k wo apni alug plate mei khaana daal kar khana aram sy khaaa ley.
Bazhir niyat oske asaani ke thee,
Par niyat darr niyat ye khouli k mera apna dil nai tha os k sath khanay k leay yani mere aone marzi nai the asal mein par bazahir os k leay acha kar rahe the jab k andar apne marzi pori kar rahe the.

Jazba-e-Kaam Salamat.

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 21…
*Tawakul*

Allah ke taraf mutawaju rehtay hoay apnay moaamlay ko Allah k sapurd kar daina, kisi bhe maqsad k hasool k leay nihayat aajzi or inkasaari k tamaam munkina asbaab ko baruaykaar laatay hoay be asbaab par bharosa karny ke bajaaey, musabib ul asbaab yani Allah pr bhatosa rakhna tawakul kehlata hy.

Point 1 :
Tawakul par koe Qurani aayat,Hadees oak ya buzurgon k aqwaal bataaein
Any 3..
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :
Tawakul par koe Qurani aayat,Hadees oak ya buzurgon k aqwaal bataaein
Any 3..

1. ” Hamaray Kamzor eman ke alaamat ye bhe k jab ham ,
Musabab ul Assbab, ke bajaye sabab par nazar rakhtay hein.”
Shah Jee

2. Hadees.
” Tum log agar Allah par thek sy tawaqul karo tou Wo tumhein rozi dey ga, jaisay k chirrion ko rozi deta hy.”
Tirmizi

3. Qurani Ayat.
“Or jo shkahs , Allah par tawaqul karay ga, Allah Os k leay kafi ho jaye ga.”

Point 2 :

Tawakul k 3 darjaat hein…
In mein sy har aik par aap alag alag sy koe bhe aik misaal dy kar wazeeh karen.

1. **Makhlooq par ya baki zaahiri asbaab par bharosay ke bajaey sirf Allah par bharisa karna**
Mera laptop kharaab hoa parra , husband ny new ley kar denay ka kaha hy, par mei ny bharosa oss zahiri sabab par nai keya k husband ny lay k daina balkay ,
Allah par he rakha hoa hy k Too day ga.

2. **Apne mehnat or salaahiyat par bharosa karnay ke bajaey sirf Allah par bharosa karna.**
Aaj jab subh Murshad Jaani ny bataya k 22 sawal pooray krnay hein, tou os waqt yehi ihsas rakha k khud nai kar sakon ge, Allah ny karwana hy tou ho sakay ga.

3. **Apnay zaati iraday or khwaahish ko bhe Allah ko khwahish or marzi k taabay kar k sirf Allah par bharosa karna.**
Kuch istamal ke cheezeh hein, jo Allah ke raah par kisi zarorat mand ko dena chahti hon, par apnay is iraday ko bhe Allah ke marzi k tabay keya hy k jab or jahan Allah ke marzi hoge tou waheen day sakon ge.

Jazba-e-Kaam Salaamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 22…
*Tasleem 0 Raza*

Musalman hota he wo hy jo bila choon charaan Allah k har hukam par saray tasleemay kham karnay wala ho.
Qazaey Elaahi par raazi rehna bohat buland maqaam hy.
Is sy barra koe maqaam nahi kion k muhabat bohat barra maqaam hy or Allah ke raza par razi rehna muhabat ke waja sy he mumkin hy par har muhabt ke waja sy bhe ye mumkin nahi hota, ye sirf os muhabat ke waja sy ho sakta uy jo darja e kamaal tak pahonchi hoe ho.

Piaray Aaqa S.A.WW ny aik qaom sy pocha k tumaray eeman ke nishaani kia hy?
Ounhon ny kaha k ham bala or museebat mein sabar kartay hein or atta o naimat par shukar baja laatay hein or raza e Elaahi par razi rehtay hein tou Aap S.A.WW ny farmaya k yehi wo log hein jinhein hukmaa or ulamaa kehna chahiye bulky kamaal e ilam k baais in ka martaba anbiyaa k nazdeek hy

Kafi log kehtay hein k aafat o bala or museebat o ranj mein mubtala ho kar in oar razi rehna mumkin he nahi, bus ziada sy ziada ye ho sakta hy k insan sabar karay laikin ye aqeeda in logon ke ghalti or khata hy kion k jab muhabat ghaalib ho tou khwahish k khilaaf razi rehna ain mumkin hy.
Point 1 :
Misaal dy kar wazeeh karein k kia waaqai aisa hona mumkin hy??

Point 2 :
Piaray Aaqa S.A.WW, Sahaba karaam r.a.a, Buzurgon ya kisi ke bh3 zindagi ka koe aisa waaqiya biataaein jis mein Oun ka tasleem o raza par kharray rehna aap ko hamaysha kharra rehnay mein madad daita ho??
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :
Misaal dy kar wazeeh karein k kia waaqai aisa hona mumkin hy??

Reply
Jee han aisa mumkin hy
jabb aaik baar aisa hoa, k
Kisi aisay shakhs k sath
“Murshad Jani” ka moamla hoa, k jab osk sath dazguzar, moafi, ihsaan k bawajood bhe oske side sy ihsaan faramoshi musalsal hoti rahi Or dard lagta raha os side sy AAP ko yani ranj mei moubtila hoen, par tabb bhe , ALLAH or Piaray AAQA S.AWW ke muhabat ny AAP ko os k sath rawaiye behtareen keye rakhnay par razi rakha or AAP ny is halat mei bhe shikwa na keya k AAP ny tou os k sath intehaani iihsaan ka moamla farmaya tha.
Balkay AAP tasleem o raza ke halat mei he rahein or isi ko behtareen jana apnay leay.

Point 2 :
Piaray Aaqa S.A.WW, Sahaba karaam r.a.a, Buzurgon ya kisi ke bh3 zindagi ka koe aisa waaqiya biataaein jis mein Oun ka tasleem o raza par kharray rehna aap ko hamaysha kharra rehnay mein madad daita ho??

Reply
Murshad Shah Sarkar,
Ke car ka accident hoa,
Or ehl e khaana ko bohat intehai takleef paohanchi, gaari bhe tabah hoi.
Os waqt, AAP ka pehlay he lamha sy aakhir tak tasleem o raza par kharra hona,
be misaaal tha.
AAP ny os mouseebat or azamaish k pehlay lamhay sy he jis tara, sabar , shukar or tawaqul ka behtareen muzahira farmaya osko mei ilfaaz mei haqeeqat mei nahi biyan kr sakti.
AAP ny aik lamha ko bhe kisi ko mourad e ilzaam na thehraya.
Isay apni azmaish jaani.
Ehl e khaana ke takleef, maali nuqsaan ko intehaai sabar sy bardasht keya.
Or os waqt AAP ka , pukhta eman or yakeen he Kalma e Haq bann ker osi road parr mojood har shakhs ke zaban sy aisay jari hoa tha k accident hota daikh k ird gird sy jo log madad k leay dorray aey wo kalam taiyaba buland awaz sy parrhtay hoay aey or fiza kalma haq sy goonj outhi thee.
Ye waqia mere leay behtareen namoona hy tasleem o raza ka.

Jazba-e-Kaam Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *