Step 2 : Zaat per Kaam- (Sawal 8 to 16)

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 8…
*Chughle*

Point 1 :
Chughle ko apnay alfaaz mein waazeh karein k kia hy??

Point 2 :
Chughle karnay ya soun’nay k nuqsanaat bataaein… jo aap ny khud face keay hon ya dosron k sath paish aatay daikhay hon???
Any 3…
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :
Point 1 :
Chughle ko apnay alfaaz mein waazeh karein k kia hy??

Reply
Do logon ke aapas ke baat… jo kisi teesray k baray mein the…
Wo baat oun dono mein sy koe aik ja k… os teesray ko bata dy tou isay chughli karna kehtay hein.

Point 2 :
Chughle karnay ya soun’nay k nuqsanaat bataaein… jo aap ny khud face keay hon ya dosron k sath paish aatay daikhay hon???

1. Moamlaat mei bigaar aa jata hy.
2. Piar ka mahol ke bajaye nafrat, shakk, badgumaani ka mahol or fiza apas mei paida ho jati hy.
3. dil gandda hota hy
4. Bad-aitmaadi or nafaaq or sharr peda hota hy rishton mei.
5. Choughal khor ke asliat sy ahista ahista sab waqif ho jatay hein or phir koi os par aitmaad nai krta
6. Piaray AAQA S.A.WW k farmaan k moutabiq ,Chughal khor janat mei nahi jaye ga.

Jazba-e-Kaam Salamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 9…
*Hassad*

Point 1 :
Hassad kia hota hy… wazeeh karein???

Point 2 :
Hassad k nuqsanaat kia hein??
Any 5…

Point 3 :
Hassad sy bchnay k leay kia illaj karna chahiye, tips dain??
Any 5…

Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :
Hassad kia hota hy… wazeeh karein???

Hasad aik, negative jazba ya ihsas hy, jo dil mei kisi dooray k leay mei paida hota hy.
kisi bhe shakhs k leay napasandeeda jazbat, or nafrat sy aagay os sy intehai nafrat ke halat mei aa k ham os sy hasad krny lagtay hein.
Hasad ke waja sy ham os shakhs ke kisi behtari ya kamyabi ya khushi mei khushi mehsoos nai kartay balkay, k us ki khushi ya kisi tara ke behtari hamaray dil ko dukh deti hey.
Hasad k nateejy mein ham us shakhs ke bouraian doosron k samnay karnay ka gunah bhe kartay hein.

Point 2….
Hassad k nuqsanaat kia hein??
Any 5…1. Hasad ke aag mei jaltay hoay, hamari naikian barbaad ho jati hein, hasad naikion ko kha jata hy

2. Dil mei negativity aati hy tou Allah ka ihsas khonay lagta hy,

3. Apni bajaye doosray ko jo ata hoa ho os par nazar hoti hy tou apnay dil sy Shukar ka ihsas kam ho jaata hy.

4. Hasad Allah or Piaray Aaqa S.A.WW k muhabat k ihsas dil mei barhney nahi deta, kion k iske waja sy dil mei gandda ho jata hy
Or is leay Hasad ke waja sy ham Allah sy shikway ke halat mei rehtay hein kion k hamein Allah ke tarf sy doosron ko mili naimton ke taqseem par aitraaz hotay hein.

5. Iske waja sy moamlaat bhe apas mei kharaab ho jatay hein.

Point 3…
Hassad sy bchnay k leay kia illaj karna chahiye, tips dain??
Any 5…
Reply

1. Apnay dil mei Allah k har tara sy waqif e haal honay par yakeeen rakhein , k wo is ihsas sy bhe baa khaber hy, or ye ihsas Allah ko pasand nahi

2. Khud ko har halat mei razi ba raza rakhein or shukar ke halat mei rahein

3. Doosron par nazar na rakhein,
Balkay khud par nazar rakhein, is sy dil is negativity sy bacha rehta hy

4. Apnay dil mei wussat paida kr k ,
Doosron ko jo ata hoa ho, os par khushi ka izhaar karen

5. Allah k apnay sath behtareen piar par yakeen rakhein, k OS ny jo hamein dia ya nahi diya wohi behtareen hy hamaray leay, chahay doosray k pass jo bhe moajood hy.

Jazba-e-Kaam Salamat.


 

 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 10…
*Duniavi Hirs-o-Tamaa (laalach)*

Point 1 :
Duniavi hirs-o-tamaa k nuqsanaat kia hein??
Any 5…

Point 2 :

Duniavi hirs-o-tamaa sy bachnay ka kia illaj hy??
Any 5…
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :
Duniavi hirs-o-tamaa k nuqsanaat kia hein??
Any 5…

1.Dunia dil mei bassay tou wahan Allah ka ihsas nahi rehta or Allah or Piaray Aaqa S.A.WW ke raza or pasand k moutabiq amal krnay ka jazba khatam hota jata hy

2. Har waqt apni he plannings chalti hein Allah par tawaqul kam hota jata hy.

3. Insan khud gharz ho jata hy, ossay Achay boray, halal haraam ke tameez khatam honay lagti hy.

4. Dunia ke lalach or hirrs apnay nafs ke taskeen k leay , sharr, shetan or batil ka sath denay par majboor kr dety hy

5. Dunia k Lalch mei andha ho k , dil par ghaflat k parday girr jayen tou phir yehi , or boht sy bouraion or gunaahon ke buniyaad ban jata hy
or ham Allah k qurb k rastay par aagay safar nai kar saktay.

Point 2 :
Duniavi hirs-o-tamaa sy bachnay ka kia illaj hy??
Any 5…

1. Dil mei Allah ka ihsas rakhein, Allah ka khof ho insan dunia ke hirrs mei nahi moubtila hota

2. Apni aaqbat ko yaad rakhein,jabb apnay amaal ka badla milllay ga.

3. Apnay Allah k qurb k safar ke ehmiyat ka ihsas apnay andar zinda rakhein , tou dunia dil mei nahi basay ke na hirrs hoge iske.

4. Apnay dunia mei aanay ka maqsad apnay samnay hamysha rakhein

5. Dunia ko apnay leay aik azmaish ka ghar samjhen or Allah ny hamein jo ikhtiaraat diye hein, unka istamal, Allah ke marzi or hukam k tabay reh ker he karen

Jazba e Kaam Salaamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 11…
*Boukhal*

Boukhal ye hy k,
Jab insan maal ko bachana maqsad bana ly or kharch karnay ke zarorat k bawajoud aisa na karay.
Hazrat Imaam Hassan a.a ka farman is ko bohat waazeh karta hy k,
“Boukhal sy muraad ye hy k,
Insan ye daikhay k jo kharch keya wo zaya hoa or jo rok leya o barra kaam hy”

Point 1 :
Boukhal k nuqsanaat kia hein???
Any 5…

Point 2 :
Boukhal ka ilaaj aap k3 nazar mein kia hy??
Any 3…
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :
Boukhal k nuqsanaat kia hein???
Any 5…

1. Boukhal sy dil mei tangi aati hy.

2. Boukhal sy dil mei Allah k ihsas OS par yakeen kam hota hy or ye Allah ko na pasand hy

3. Boukhal karnay sy , jaiz naimton sy bhe faida outhanay k qabil nahi rehta insan or bill waja ke takleef mei moubtile hota hein, bukhal ke waja sy,

4. Boukhal sy shukar k ihsas dil mei paida nai hotay

5. Bakheel aadmi haal mei nahi jeeta , wo moustaqbil ke planing zaiada krta hy, Allah par oska tawaqul nahi rehta. Wo ainda k leay bacha bacha kr khush hota rehta hy buss.

Point 2 :
Boukhal ka ilaaj aap k3 nazar mein kia hy??
Any 3…

1. Allah ke diye hoay ko Allah ke raza k moutabiq istamal or kharch krnay ke koshish karna or lutf outhana,
na k anay walay waqton ke planing kertay hoay osay samnbhaal rakhna

2. Allah par tawaqul or yakeen rakhna , na k apni plannings par or jama keye hoay par

3. Dil sy tama or lalch or jama kartay rehnay ke hirrs ko khatam karna.

Jazba e Kaam Salaamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 12…
*Keena*

Kisi sy daanista ya na-danista sarzad hoa koe aisa amal ya baat, jis sy hamein takleef pahonchi ho… os par chahay ham ny bazaahir ghussa keya ho ya na keya ho par os dil aaazaari ko dil mein dabaaey rakhna or yaad aajanay par Dil he dil min os sy khaar khaatay rehna keena kehlata hy.
Point 1 :
Apne zaat par kaam k daoran keena par kaam keya tou kaisay khud ko is sy aazaad karaya???
Jazba-e-Kaam Salamat

JAWAAB :

Point 1 :
Apne zaat par kaam k daoran keena par kaam keya tou kaisay khud ko is sy aazaad karaya???

1.Dil mei Allah sy piar ka ihsas barhyen tou is negativity sy nijaat milti hy, kion k phir Allah ke pasand k ihsas he dil mei rakhnay ke koshish hoti hy

2. Allah k bandon sy piar krna dil sy keena khatam krta hy kion k oun ko
dar guzar or moaf karnay ka jazba barhta hy

3. Jis k leay keeena ho, os k husn e salook ke koshish Allah ke raza k leay karna, keena khatam kerta hy

4. Apnay dil mei wussat paida kren tou bhe dil mei sy keena khatamm hota hy, kion k choti choti baton par bhe dil ganda krnay sy bhe keena paida hota hy

5. Allah ke pasand k moutabiq apnay dil ke halat ko set rakhney ke koshish sy keena end hota hy
Kion k keena dil ke halat kharab krta hy.

6. Kisi bhe moamlay mei apni ghalti dhoondhnay ke koshish keena sy bachati hy.

Spirit of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 13…
*Israaf (Fazool kharchi)*

Kisi naimat ka shukar adda na keya jaey or sirf apne khwahish k leay makhsoos kar leya jaey or zarorat ya faaida ke bajaey lazzat ko paishay nazar rakha jaey.
Moaashray k dabaao ke waja sy jo kuch kharch keya jaey ya dosron ko maroob karnay k leay jo kharch keya jana bhe fazool kharchi kehlata hy.Quran pak mein hy k “Allah israaf karnay walon sy muhabat nahi rakhta.

Lakin is ka ye matlab nahi k Allah ny jisay maal o daolat ke naimat sy nawqza hy os ka izhar na ho.

Hazrat Umar Farooq r.a ny farmaya k
Jab Allah ny wusat de hy tou wo naimat nazar aani chahiye tawangari k bawajud fa1eron or tangdaston ke tara rehna islam mein matloob or pasandeeda nahi.

Point 1 :
Israaf k nuqsanaat aap ke nazar mein..??
Any 5…

Point 2 :
Israf sy bachnay k tips bataein..??
Any 5…

JAWAAB :

Point 1 :

Israaf k nuqsanaat aap ke nazar mein..??
Any 5…

1. Israaaf sy namood o numaish ka rujhaan barh jaata hy, or ye Allah ko pasand nahi hy, OSK k hukam k hilaaf hy.

2. Allah ke marzi k moutabiq diye gaye naimton ka istamal karnay ka ihsas ahista ahista khatam ho jata hy

3. Jitna Israaf barhey ga outna , hirrs or laalch bhe barhta jaye ga, kion k jitna paass ziada hoga tabhi Israaf bhe kar saken gay

4. Israaf krnay walay ko halal haram or achay bouray ke tameez khatam honay lagti hy.

5. Israaf karnay wala khud gharz ho jata hy, ossay kisi ke jaiz zaroorat par kharch karnay ke bajaye , apna he kheyal rehta hy or youn wo Allah ke raza k moutabiq na khud kharch karta hy na doorson par.

Point 2 :
Israf sy bachnay k tips bataein..??
Any 5…

1. Allah or Piaray Aaqa S.A.WW k hukam or pasand k moutabiq, de gaye naimaton ka istamaal karney ke koshish

2. Ihsas bartari mei moubtila ho kar duniyawi, namood o numaish ko tarjeeh denay ke bajaye , ajizi mei rahein, or jaiz istamal karen naimton or paisay ka

3. Apnay maal or naimaton ka shukar karen or oss mei sy doosron ko dainay ka jazba bhe hamein asraaf sy bachata hy.

4. Sirf dunia ka he na sochein, balkay ye bhe ihsas rakhein k yahan jo bhe Milla hy os sabb ka ham ny hissab bhe dena hy, ye soch bhe asraaf sy bachati hy.

5. Doosron k sath mouqabla na kren kion k isi waja sy bhe ham asraaf ke janib raghib hotay hein. Sirf apnay par nazar rakhein or chaadar dekh k paoun phelaayen

Spirit of Work Salaamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 14…
*Ghussa*

Jab ghussa insan par ghaalib aata hy tou ye bohat bura hy.Is ke asal aag hy k is ka dil par baraaay raast asar ho jata hy or aag ke nisbat shaitaan sy hy or aag ka kaam harkat or beqaraari hy jab k matti ka kaam sakoon or chain hy, ab jis par ghussa ghaalib hy os ke jitni nisbat Aadam a.a k sath hy os say kahein ziada shaitaan k sath hoti hy.

Point 1 :
Ghussay k nuqsanaat bataaein??

Point 2 :
Ghussa aanag ke wajuhaat kia hein??
Jo aap ny apne practically feel ke hon ya dosron k hawalay sy judge keya ho.

Point 3 :
Ghussa par control k leay aap ny kia kia tips apnaey or oun ka kia result mila??
Har tip k sath alag sy batana k is ka result kitna mila.
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :
Ghussay k nuqsanaat bataaein??

1.Ghussa kar k ham shetan ka sath dey rahay hotay hein osi ko raazi kar rahay hotay hein

2.Ghussa karna haram hy or youn ye Allah ke pasand k hilaaf hy

3.Gussa mei apna nuqsan bhe baaz
Oqaat kar laitay hein,

4. Ghussay mei ham doosray ke dil aazari kartay hein

5. Ghussay aag hy, dil k nazuk lateef ihsasaat ko jhulsaa deta hy,

6. Dil sy Allah ka ihsas os waqt khtam hoa hota hy jab ghusa karen tabi Allah ke marzi k hilaaf amal kartay hein

7. Allah k bandon ko dar guzar na kar sakna or un par ghusa karn Allah sy doori ka sabab ban jata hy

8. Allah k bandon sy , ghussa ke halat mei piar nai kar saktay,

9. Apni zaat, ana, nafs ke taskeen kartay hein ghussa kar k

10. Allah k hukam ko pas e pusht daal detay hein ghusay mein.
Point 2 :
Ghussa aanay ke wajuhaat kia hein??
Jo aap ny apne practically feel ke hon ya dosron k hawalay sy judge keya ho.

1. Doosron ko ghalat or khud ko theek samjhna
2. Hat dharrmi sy apni he raye par qaim rehna

3. Doosron ko ehmiat na dena, apni zaat ko he baal tarr samjhna
4. Apni ghalti na qabool karna
5. kam zarf, tang dil hona
6. Doosray ko apnay mouqablay mei kamzor samjhna or youn ghusay charhai krnay ko rite samjhna
7. Allah ke nazar mei honay k ihsas ko kho dena
8. Apnay par nazar na hona.

Point 3 :
Ghussa par control k leay aap ny kia kia tips apnaey or oun ka kia result mila??
Har tip k sath alag sy batana k is ka result kitna mila.

1. Har moamlay mei apni ghalti dhoondhna,
Result 100%

2. Apni zaban par control os waqt control
95%

3. Dil bachaney ke koshish karna
Result 100 %

3. Allah ka ihsas rakhna
Result 100%

4. Ghusa ke halat mei os shakhs ko piar sy dekhna , dua krna, apna tanka laga lena
Result 90%

Jazba-e-Kaam Salamat.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 15…
*Jhoot*

Point 1 :

Aap ny kabhe socha k hamaray jhoot bolnaybk peechay kia kia waja hoti hy??

Point 2 :
Aap ke nazar min jhoot k nuqsanaat kia kia hein??

Point 3 :
Jhoot k baray mein aisi kon se aayat, hadees, qaol ya waaqiya hy jis ny aap k dil par gehra asar chorra or aap ny jhoot sy bachnay ke koshish shuru ke…??
Jazba-e-Kaam Salamat.

JAWAAB :

Point 1 :
Aap ny kabhe socha k hamaray jhoot bolnaybk peechay kia kia waja hoti hy??
Reply

1.Waqti faida outhaana
2.Hansi mazaaq mei billa waja loutf k leay
3.Adatan , yani aadat ho jati hy baaz dafa, baat, be-baat jhoot bolnay ke
Ihsas he nai rehta k jhoot bol rahay hein
4.Jhoot ko gunaah e kabeera ke bajaye, aik choti se bourai samjhna
5. Apni izat bachaana
6. Choti choti baton mei boltay hoay kami beshi ko jhoot he na samjhna,
Maslan ksi cheez k rate bataye tou oper neechay or isay jhoot bhe na samjha
7. Allah ka Sami honay ka ihsas na sath hona
8. Apnay apko sacha or darust sabit
Karnay k leay or kisi ko jhoota sabit karnay k leay jhoot bola jata hy.

Point 2 :
Aap ke nazar min jhoot k nuqsanaat kia kia hein??
REP.

1. Jhoot dil ko siah kar deta hy
2. Jhoot adat ban jaye tou dil par ghaflat ka parrda ban jata hy, jiss sy Allah ka noor kam honay lagta hy or apni baki ghaltian bhe jhoot samait nai nazar ati hein
3. Jhoot apas k moamlaat bhe kharaab karta hy, apas mei jhaggray or ihtalaaf bahrtay hein
4. Jhoot sy admi ke izat or aitmaad mei bhe kami ho jati hy
5. Jhoot bol k Allah ko naraaz or shetan ko raazi kartay hein.

Point 3 :
Jhoot k baray mein aisi kon se aayat, hadees, qaol ya waaqiya hy jis ny aap k dil par gehra asar chorra or aap ny jhoot sy bachnay ke koshish shuru ke…??
Hadees.
“Jab banda jhoot bolta hy tou farishta osk jhoot je bad boo sy aik meel dour chala jata hyy.


 

“~* Workers *~”
“2nd Step”
Sawaal 16…
*Nashukri*

Piaray Aaqa S.A.WW ka farman hy k,
“Jo shakhs dunia k moaamlaat mein apnay sy kamtar logon k taraf daikhta hy or deeni moaamlaat mein apnay sy oupar walon ke taraf daikhta hy tou osay saabir o shaakir likh laita hy,
Laikin jo dunia k moaamlaat mein apnay sy oupar walon ke taraf or deeni moaamlaat mein apnay sy neechay walon ke taraf daikhta hy tou Baargah E Khuda Wandi mein osay saabir o shaakir nahi likha jata”

Point 1 :
Shukar k ihsas mein rehnay k faaiday bataaein??

Point 2 :
Nashukri k nuqsanaat bataaein??

Point 3 :
Kia ihsas hamein nashukri sy nikalnay mein madad daitay hein??
Jazba-e-Kaam Salamat

JAWAAB :

Point 1 :
Shukar k ihsas mein rehnay k faaiday bataaein??

Reply
1. Dil mei sakoon rehta hy, or dil mei positivity rehti hy.
2. Be cheni, hawas hirrs khatam ho jati hy or jo bhe millay insan osi par har hal mei Allah ke raza mei razi rehta hy
3. Shikwa dil nai aata , dil ganda nai hota
4. Shukar karnay sy Allah khush hota hy
5. Shukar karnay par ,Allah mazeed nawazta hy

Point 2 :
Nashukri k nuqsanaat bataaein??
Reoly
1. Har waqt, Allah sy gillay shikway rehtay hein.
2. Dil kabi itminaan ke halat mei nahi rehta
3. Dil mei tangi aati hy.
4. Na shukri mei banda doosron sy muqabla kartay hoay, dill or gannda honay lagta hy or na shukri or barhti hy
5. Na shukri ke waja sy, Allah ka ihsas kam hota hy,
Allah ke tarf sy jo milla ya hoa, os k apnay leay behtareen honay par yakeen nai rehta, har cheez, har faislay mei aib nazar atay hein.

Point 3 :

Kia ihsas hamein nashukri sy nikalnay mein madad daitay hein??

1. Allah ka ihsas or OS ke pasand k moutabiq ihsas, soch amal rakhnay ke koshish

2.Allah ke tarf apnay leay sab kuch, Behtareen, Best, honay par yakeen ka ihsas

3. Allah k piar par yakeen ka ihsas

4. Doosron ke bajaye sirf apnay par nazar rakhna, doosron sy mouqabla na karna

5. Apnay aap ko kisi qabil na samjhna, k mujay tou ye milna he chahiye tha,

Spirit of Work Salaamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *