Step 3 – Bol Ainay Bol

*~*Step 3 Maqasid*~*
1. Is step ka naam hy,
“Bol Aainay Bol.”
Is step mein ham apni ghaltion ko talash kartay or talash karnay k baad tasleem kartay hein jis sy doosron par tanqeed ka amal kam ho jata hy kion k hamein apni ghaltiyan nazar anay lagti hein or youn ham doosron par nazar rakhnay ke bajaye khud par nazar rakhnay k aadi honay lagtay hein.

2. Apna aap aainay mein jab dekhtay hein tou na sirf zahiri amal ke ghaltiyan samnay aanay lagti hein balkay hamaray andar ke soch ke ghaltiyan bhe ham par khulnay lagti hein.

3. Jab ham apni ghaltian maan laity hein tou Allah k samnay bhe ihsas e nadamat sy dil jhukta hy.
Allah k karam ke ehmiyat dil mein jagah banati hy k ham roz kitni khataein kartay hein or WO Malik ham sy kitna piar karta hy or phir bhe hamari khataoun sy chashm poshi or aibon ke parda poshi farmata rehta hy.
Isi ihsas mein ham moaafi k leay Allah k saamnay paish hony lagtay hein or taoba ke tarf dil raghib hota hy.

4. Is step k zariye ham apnay andar jhank kar apny nafs or zaat k ghalat iqdaam ko janchty hein or yaheein sy muhasba e nafs ka aghaz hota hy.

5. Har waqt khud par nazar rakh k apni ghalti ko pakarnay ke koshish karnay ke wajah sy hamari apni ouqat khul kar samnay aati hy k dousron ke ghalti pakar kar oun k baray mein ham ghalat raaye qaaim kar laity hein jab k ham khud bhe oun ghaltion ka shikar hotay hein.

6. Jab khud par ghehri nazar rakh k muhasba e nafs karnay ke koshish karnay lagtay hein tou ihsas or soch ke ghalti par bhe aahista aahista garifft mazboot honay lagti hy or youn amal ke ghalti sy bachao mumkin hota jata hy.
Ghalti sy bachao ke tagg o dou mein lagg jana Allah ke tarf jatay rasta par hamaray leay asani paida karta hy or Allah ke qurbat k safar mein taizi aana shuru ho jati hy.

Dil sy dua :)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *