Step 3 *Surat Rehman Soun’nay or Dua k Moutaliq Sawal Jawab* (Sawal 1 to 5)

“~*Workers*~”
3rd Step 
*Surat Rehman Soun’nay or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Is step mein ap ko Surat or Dua k mouatliq kuch Sawal or unk Jawab bejhay jayen gay.
In sawalon ka samna as Worker hamein aksar karna parta hy. Is information ko Workers baghor parhnay or samjhnay ke koshish karen ta k ba waqt e zaroorat kisi bhe case k aisay sawalon ka tassali bakhsh jawab dena ap k leay asan ho jaye or case agar kisi ikhtilafi point par phanss raha ho tou wo bakhoobi samjh sakay or os ke raah asan ho jaye. Kion k hamara maqsad har ummati ko kisi bhe sawal k baray mein piar sy samjha k os k leay raah asan karna hy. Umeed hy ye Saaal Jawab is hawalay sy apk leay madadgaar sabit hon gay.

Spirit of Work Salamat.


 

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 1 :

Surat Rehman sountay waqt pani pas rakhna or dua krnay k baad peena kion zaroori hy?

Jawaab :

Allah k kalam ke lehren hamaray jism or mahol ke tara hamaray pass rakhay paani par bhe asar andaaz hoti hein.
Japani research k moutabiq ye dekha geya hy k pani par Allah k kalam k asraat issay shifa mei badal daitay hein.
or Allah ka kalam sountay hoay ya dua mei jab dil aik khas ihsas ya yakeen ke kafiat mei Allah ke tarf
matwajou hota hy tou Allah ka noor hamaray dillon mei outarta hy jis k hamaray dil or jism par honay walay
asraat ko matwazan karnay k leay paani peena ziada acha hota hy.

Spirit of Work Salamat.


 

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question2

Dua k shuru ya akhir mei darood pak parhnay ko lazmi qarar kion nahi deya geya?

Jawaab :

Allah k samnay kisi bhe waqt ya kisi bhe halaat ya halat mei paish ho jana, gunahon ke moafi mangna or taoba
karna,apni hajaat talab karna, apany masail pasih kar k asanian mangna, ajizi sy jhukna, or shukar ada karna
waghera dua kehlata hy.
Is dua mei Allah sy kisi bhe halaat mei kisi bhe waqt,har khushi or gham mei rabta rakhna bhe sikhaya ja raha
hota hy.Agar darood pak ko is dua ka laazmi hissa bana diya jaye tou Allah sy har waqt or har halaat mei dua
karna mumkin nahi hoga. kion k darood pak k kuch khaas fazail o adaab hein , maslan ba wazu ho k paak saaf
halat mei or paak saaf jagha par parhna or is waja sy Allah k samnay dil sy pasih hona, kisi bhe khaas waqt
ka paband ho jaey ga or hamaray leay, kisi bhe waqt or kahin par bhe or kisi bhe halat mei dua krna mumkin nahi rahay ga.
jesa k ba wazu na hona, na paki ke halat, safar k daoran, hospital mei, koi mareez, koi shor sharabay wali
jagha, kisi ghami ya khushi k maoqa par, larai jhagray ya na gahani aafaat k waqt…agar darood pak ko parhnay
k adaab o izzat or tehreem ko poora na kar saken tou dua bhe nahi kar saken gay, is leay isay dua ka
hissa nahi banaya geya.
wesay agar kisi bhe waqt mumkin ho k darood pak in sharait k sath dua k shuru or akhir mei parhein tou bohat
ziada achee baat hoge.

Spirit of Work Salamat.


 

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 3

Kia head fone laga kar Surat Rehman soun saktay hein or agar soun saktay hein tou kia aisay
soun’nay mei is k achay asarat mei koi kami reh jati hy?

Jawaab :

Agar kahin aisa masla ho k hamaray pass head fone k ilawa surat soun’nay ka, or koi zariya na ho tou is tara
sy beh souni ja sakti hy or hamara dil is k asraat bhe qabool karta hy. Agar ham kuch awaaz k sath sounein tou
behtareen yehi hota hy k Allah k kalam ka noor awaz ke lehron ke shakal mei hamaray saray jism k aar paar ho or
har cheez par asar andaaz ho werna sirf head fonE istamal karnay sy Allah k kalaM ke barkaat or noorani lehron
sy hamara mahol ziada faida nahi ley sakta.
Jesa k mospel lotion ham jism par lagayen tou wo sirf jism ko machron
k sharr sy mehfooz rakhay ga lekin agar ham mospel ka mat apnay room mei lagayen gay tou sara mahol machron
k sharr sy mehfooz rahay ga. Is tara mahol mei Allah k kalam ke awazen noorani lehron ke surat mahol ko har
qism k sahrr sy mehfooz rakhnay mei madad deti hein.

Spirit of Work Salamat.


 

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 4

Surat Rehman tarjumay k beghair he kion souni jaye, jab k Quran e Pak agar matlab k sath souna
jaye tou ziada acha hy k hamein matlab bhe samjh ata hy?

Jawaab :

Beshakk k Quran E Pak ka tarjuma hemein samjhna chahiye. Wesay Quran e Pak saray ka sara faiday or hikmaton
sy bharpoor bana kar Allah Tala ny insano k har tara sy faiday k leay ata keya hy. Ab ye ham par munhasir hy k ham is k
tarjumay k ilawa bhe kisi tara faida hasil karna chahtay hein ya nahi. Allah ny Quran KO khud Quran e Pak
mei he Noor e Mubeen bhe kaha hy.Or yahan hamara Surat Rehman ko tarjumay k bina ,sirf tawajou sy soun’nay
ka maqsad, alfaz mei chuppay noor ke taqat sy, lehron k zarriye apnay jism o rooh k leay faida hasil karna hy.
Tarjuma sountay hoay, hamara zehan tarjumay k alfaaz mei oulajh kar mukhtalif sochon mei idhar oudhar
bhatak sakta hy. Jab k is tara sy ham har taraf sy tawajou hatta kar sirf is kalaam ko dil laga kar sounen tou
isk noor ke lehro sy faida hasil kar saktay hein. Jesa k aaj kal laser k zarriye ham apni jismani beemarion
k leay bohat sy faiday hasil kar rahay hein tou aisay he direct Quran k noor sy kion na faida hasil keya jaye.
Allah hamein Quran ko parh k, samjh k, har tara sy faida hasil karnay ke himmat or taqat ata karay.ameen

Spirit of Work Salamat.


 

“~*Workers*~”
“3rd Step”
*Surat Rehman Soun’nay
or
Dua k Moutaliq Sawal Jawab*

Question 5

Surat Rehman tilawat karnay ke bajaye soun’nay k leay kion kaha jata hy?

Jawaab :

Beshakk ham sab ko Quran e Pak ke tilawat rozana kam az kam aik baar zaroor karni chahiye kion k Quran e Pak
ke tilawat hamaray leay baais e ajar o sawab hy. Lekin Quran e Pak soun’nay k bhe fazaail or barkaat hein.
Hazrat Abdullah Bin Masood R.A sy riwayat hy:-
Hazoor S.A.WW ny farmaya,” Mujay Quran parh kar sunao, mei ny arz keya, Hazoor S.A.WW kia mei parhon jab k
Quran Majeed tou AAP S.A.WW par nazil keya geya hy? AAP S.A.WW ny irshad farmaya, Beshakk mujay ye pasand
hy k doosron ke zubani issay sunon.”

Isi tara sy Quran e Pak mei Surat Al Araaf (Ayat 204)mei hy:-
“Or jab Quran parha jaya karay tou is ke taraf kaan laga diya karo or khamosh raha karo, umeed hy tum
par rehmat ho.”
Is k ilawa bhe sabit hota hy K jahan Quran parha or souna ja raha hota hy. Un k dilon par itmenan or sakeenat
outarti hy. Quran k ilfaaz noor ke lehron ke shakal mei hamaray andar outartay hein jiska asar hamaray dilon
par jaldi hota hy. Or ham apnay jin masaeil ya beemarion ke waja sy Surat Rehman soun’na shuru kartay hein,
tou bohat jald ham beemari ya pareshani sy nikal atay hein or dil sakoon, itmenan or Allah par yakeen ke
halat mei aa jata hy. Allah ko apnay banday k dil ke aisi halat bohat pasand hy jis ke waja sy Allah ke
nazr e rehmat or karam barhta ja raha hota hy or ham apnay maslay ya beemari mei sy jaldi nikal aatay hein.
Allah hamein Quran e Pak soun’nay k fazail or barkaat hasil karnay ke toafeeq ata karay.ameen

Spirit of Work Salamat.

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *