Step 4 – Kesay hua mera paisa Khotta

*~*Step 4 Krwany K Maqasid*~*

1.  Is step ka naam hy,
“Kaisay Hoa Mera Paisa Khotta.”
Is step ka maqsad roz mar’ra zindgi mein anjam panay walay mamoolat or moamlat k daoran khud par ghehri nazar rakh kar na sirf apni danista o na danista ghaltion ko pakarna hy balkay oun ghaltion ke wajah sy Allah ke aashnai or qurbat k safar mein honay walay nuqsan ka bhe ihsas baidar karna hy.

2. Is step ka maqsad bazahir choti or ghair eham mehsoos honay wali oun ghaltion k nuqsanat ka ihsas baidar karna hy jo ham Allah ke qurbat k safar mein Apnay or Allah k darmian barhnay walay fasly ya rukawaton ke soorat mein outhatay hein.

3. Apnay ihsas, soch or amal par garift na rakhnay ke wajah sy jo danista o na danista ghaltian ham sy sar zadd hoti hein, oun ghaltion ke wajah sy Allah ke aashnai hasil karnay mein nakami or Allah ke qurbat sy mehroomi k nuqsan ka ihsas is step mein baidar karnay ke koshish ke jati hy.

4. Is step ko karnay sy andar k badaltay ihsas ke buniyad par amal mein jo tabdeeli aati hy tou in badaltay ihsasat or amal ke tabdeeli ke wajah sy ham har dam alert rehnay lagtay hein. Andar outhtay kisi bhe manfi pehloo ka alarm bajnay lagta hy or hamein foran apnay nuqsan ka ihsas hota hy jo hamein ghalti ko duhranay sy ruknay par majboor karta hy.

5. Is step mein ham khud par nazar rakh kr apni ghaltion or oun k nuqsanat ko parakhna seekh jatay hein k ham sy sar zad honay wali ghalti or ous ke nou’iyat or shiddat kia hy or sath he ham yeh qabool kar laity hein k ham sy bhe ba hessiat insan ghalti sar zadd ho sakti hy jis ka hamein nuqsan bhe outhana parrta hy.
Yeh ihsas pa kar jab ham khud ko nuqsan sy bachanay k leay… ghalti sy roktay hein tou ham ghalti par qaboo panay k tareeqay bhe seekhnay ke koshish karnay lagtay hein.

6. Nuqsanat ka ihsas baidar hona hamein ghalti sy rokta hy jis ke wajah sy hamaray Allah ke qurbat or aashnai k safar mein taizi aanay lagti hy.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *