Step 4 – Moalmaat (Day 45)

 

 MASAWAAT O BHAI CHARA 

Islam mukamal toar par masawaat ka dars daita hy.
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny hajatul vidaa k mouqa par famaya,
“Aey logo…!!!
tumhara rab aik hy, tumhara baap aik hy, khabardaar kisi arbi ko ajmi par pr kisi ajmi ko arbi par koe fazeelat nai or kisi gory ko kaly par or kaly ko gory par magar taqwa k sabab”
Islam ny khol kar biyan kr deya hy k har koe brabar hy or kisi ko maal o doulat ya hasb o nasb ke wajah sy aik dousry par koe bartari hasil nai hy…
magar afsoos k ham isi buniyad par yeh farq rawa rakhty hein.
Piary Aaqa S.A.WW ny khud apny aap ko kabhe bartar na samjha balky farmaya k ,
“logo…!!
main tumhary jaisa he aik insan hon”
Quran e pak mein Allah ny farmaya k,
“Aey insano…!!
hum ny tum ko banaya aik mard or aik aourat sy or rakhein tumhari zatein or qabeely
ta’ k aapas mein pehchan sako, beshak Allah k nazdeek izat wala wo hy jo parhaizgaar hy”
Msg 2

Quran e pak mein hy k,
“Aey logo…!!!
apny parwardigaar sy daro jis ny tumy aik asal sy paida keya”
Allah ny sub ko brabar paida keya or zindagi k kisi moamly mein bhe kisi aik ko dousry par fazeelat o bartari nai hy.
Aap S.A.WW kafirin k saath bhe acha bartao krty, bimar pursi k leay apny mushrik chachaoun k ghar bhe tashreef ly jaty.
Allah hamein in ehkamaat ke roshni mein masawaat ka sabaq seekhny ke toufeeq dy Aameen.
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW aik baar apny asa mubarik par taik laga kar apny kashana e nabuwat sy bahir tashreef laaye tou sub sahaba tazeem leay khary ho gy.
Aap S.A.WW ny yeh daikh kar farmaya,
“Tum log is tarah khary na raha kro jis tarah ajmi aik dousry k leay khary hoty hein, main bhe aik banda hon bandon ke tarah khata hon or bandon ke tarah baithta hon”
Aap S.A.WW sub sy ziada mutaqi thy or sub sy barh kar izat ka mayar tha magar is k bawjood Aap S.A.WW ny kabhe khud ko bartar na samjha or hum wo hein k na hamary pass taqwa hy na amal magar is k bawjood hum khud ko dousron sy behtar samjhty hein or dousron k saath bhe moamlaat mein brabri ka mayaar nai rakhty balky farq rakhty hein.
Msg 3

Tamam musalman aapas mein bhai bhai hein.
Allah farmata hy,
Al-Quran,
sorat Al-Imran
Tarjuma:-
“Sub mil kar Allah ke rasi ko mazbooti sy thamy rakho or muntashir na ho or yaad rakho Allah k ehsan ko jo ous ny tum par keya tum aik dousry k dushman thy ous ny tumhary dil jorr deay or oss k fazal sy tum bhai bhai ban gy”
Aik hadees ka mafhoom hy k tum jamaat ko lazim pakro is leay k jamaat par Allah ka haath hy.
Tamam Musalmaan aik dousry k saath mil jul kar rahein is ko bhai chara kehty hein.
Musalmaan aik biradari ke tarah hein,
Allah ny hamein hukm deya k hum mil kar rahein.
Hadees e mubarika hy k,
“Koe shakhs ous waqt tak momin nai ho sakta jab tak wo apny bhai k leay wo pasand na kry jo apny leay krta hy”
Piary Aaqa S.A.WW ny irshaad farmaya,
“Tamam musalman aik imarat ke trah hein jis ka aik hissa dousry ko mazboot krta hy”
Hajatul vidaa k mouqa par farmaya,
“Aey logo…!!!
jaan lo k har musalman dousry musalman ka bhai hy sub ehl e islam ke aik biradri hy”.
Msg 4

Al-Quran
sorat Al-Hujraat
mein hy
“Sub momim aapas mein bhai bhai hein” Piary Aaqa S.A.WW ke aik hadees ka mafhoom hy,
“Sub musalman aik jism ke tarah hein ous k aik uzw mein takleef ho tou badan k sary aaza bukhar or bekhawabi mein mubtila ho jaty hein”
Hijrat e Madina k mouqa par insar or mohajireen ko Aap S.A.WW ny bhai bhai bana k kaha,
“Allah ke khatir bhai bhai ban jao”
Hazrat Abu Jeham Bin kuzaifa r.a biyan krty hein k jang e Yarmouk k mouqa par apny zakhmi bhai ke talash mein nikly pani lay kar ousk pass pohanchy tou ous pani pilany he waly thy k pass k aik or zakhmi ke aawaz aaei tou bhai ny kaha k pehly dousry ko pila do jab dousry ko pilany lagy tou teesry ke aawaz aaei dousry ny kaha pehly ous ko pila do jab ous ko pani pila kar wapis aaye tou pehly ke jan nikal chuki thee, sub aik aik kr k jaam e shahadat nosh farma chuky thy.
Is waqiya mein bhai chary ke azeem misal qaaim ke gi hy.
Hum aapas mein aam halaat mein rehty hoay bhe aik dousry k saath aisa bartao nai kr sakty k jo kuch apny leay pasand krain wo apny bhai k leay bhe krain.
Asal momin tou yeh log thy jo har haal mein akhuwat qaaim rakhty thy.
Allah hum sub ko mil jul kar renhy ke toufeeq ata farma dy.
Aameen

Msg 5

GHAIR MUSLIMON SY HUSN E SALOOK

Islaam tamam insano k leay bhalaai or aman ka paigham daita hy or ous mein ghair muslimon sy bhe husn e salook ka hukm deya geya hy.
Aik hadees mein aata hy k,
“Jab ehl e kitab tumy salam krain tou ousk jwab mein wa’alikoum kaho”
yani yahan tak is baat ka khiyal rakha geya hy k hum ghair muslim k salam ka jwab bhe dy sakty hein yani jo hamary mazhab mein tou nai hy lakin insan tou hy ous k saath bhe aadab nibhany ke ijazat di gi hy.
Allama Qartabi r.a ny Al-jamy Al-ehkaam Al-quran mein biyan keya hy k Hazrat Asma r.a k waqiya par aik aayt outri.
Tarjuma:-
“Allah pak ny in kafiron sy husn e salook ya bhalaai sy mana nai keya jinhon ny tum sy deen k bary mein qitaal nai keya or na tum ko apny gharon sy nikala”
Hazrat Asma Bint e Abu Bakar r.a farmati hein kbjis zamany mein quraish sy moaahida ho raha tha (sulah hudaybia) ous waqt meri walida jo mushrik or kafir theein mery pass aaein, main ny Aap S.A.WW sy maloom keya k meri walida ai’aanat k leay mery pass aaei hein k main oun ke madad kron.
Aap S.A.WW ny farmaya k haan oun ke ai’aanat kro.
Msg 6

Hazrat Abu Bakar r.a ke yeh bivi or Hazrat Asma r.a ke walida theein.

Baap beiti ny islaam qabool kr leya magar yeh kafir reh gaeein isi wajah sy Makkah sy Madeena hijrat kar k shohar or beiti k sath na aa sakein baad mein apni beiti k pass madad k leay aaein jis mein Hazrat Asma r.a ko pas o paish hoa k madad kron ya na kron tou yeh aayt e mubarika nazil hoe.
Yani hamein kisi qism ke takleef agar ghair mazhab walon sy nai pohanch rahe tou hum oun k sath bhe acha salook krain.
Aik baar Abu jehal ny Aap S.A.WW k sath bad salooki ke ous k bawjood Aap S A WW ny intehaai sabar sy kaam leya or jwab na deya.
Beshak k yehi hein wo husn e salookk ke aala tareen misalein jis ke hamein pairvi krni chahiye.
Aap S.A.WW ny deen e islaam ke sar bulandi k leay apni zaat par hony waly tamam zulm o sitam ko bardasht keya jo kuffar ny keay.
Allah kry k hum bhe deen e islaam ka behtreen namouna paish krny k leay ghair muslimon k sath husn e salook krain.
Khiyal rahy k islam jab janwaron k saath husn e salook ka hukm daita hy tou insan khaw kafir he sahe oun k sath husn e salook ka hukm kion nai dy ga, is qism k ikhlaqi bartaoo sy tou ghairon ny mutasir ho kar islaam qabool keya.
Aaj k dour mein agar hamein ghair muslimon k saath rehny ka ittefaq ho tou tamam misalein hamein oun k saath husn e salook krny k leay behtreen namouna hein.
Msg 7

Allah ny Aap S.A.WW ko quran e pak mein takeed ke k,
“Narmi or darguzar sy kaam lo, marouf ke talqeen keay jao or jahilon sy na ouljho”
Yani agar hum aisy logon k sath reh rahy hein jo ghair muslim hon tou hamein is aayt ke roshni mein chahiye k oun k saath darguzar ka salook krain or achi baat ke talqeen krain or bina ouljhy oun k saath husn e salook ikhtiyar krain.
Aap S.A.WW ny jab Madeena ke taraf hijrat farmaei tou ous waqt bohat sy log Aap S.A WW ka peecha karny lagy ta’k pakar sakein.. Oun mein sy aik shakhs jo ghair muslim tha Aap S.A.WW k qareeb pohancha tou ous k ghory ka paoun zameen mein dhans geya ous ny teen baar qismat aazmai ke lakin na kaam raha or Aap S.A.WW sy maafi maang kar amaan chahi or Aap S.A WW ny apni jaan k dushman k sath ous waqt bhe husn e salook farmaya.
is waqiya ko parh kar ehsas hoa k Aap S.A.WW ny ous waqt bhe ghair muslimon k sath apny moamlaat mein husn e salook ko qaaaim rakha jab wo Aap S.A.WW ke jaan k dushman ho gy.
Afsoos k aaj hum musalmano ka keya haal hy…???
Msg 8

Imam Ghazali r.a ny likha hy k aik majousi Hazrat Ibrahim a.s ke khidmat mein hazir hoa or aap ka mehman ban’nay ke darkhawast ke.

Aap ny farmaya k agar tum musalman ho jaty tou main teri mehmaani qabool kar laita.
wo majousi chala geya.
Allah ke taraf sy wahi nazil hoe k Ibrahim a.s tum aik raat ka khana tabdeeli e mazhab bina na khila saky hum satar bars sy ous k kufar k bawajood ous ko khana khila rahy hein tum aik waqt ka khana khila daity tou kia mazaaiqa ho jata.

Hazrat Ibrahim a.s ous ke talash mein doury wo mil geya ousi waqt ous ko apny saath laaye ous ko khana khilaya.
Ous majousi ny poucha kia baat paish aaei k mujhy khud talash krny nikly.
Hazrat Ibrahim a.s ny wahi ka qisaa sounaya wo majousi kehny laga Oss ka mery saath yeh moamla hy tou mujhy islam ke taleem dijiye or wo ousi waqt musalman ho geya.
Hazrat Ali r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya,
“Teen cheezain aisi hein jis mein kisi k leay koe gunjaish nai… waldain k saath ehsan krna khaw musalman hon ya kafir,
amanat ka khiyal krna yani ada krna khaw musalman ke ho ya kafir ke, wada poura krna khaw musalman k sath ho ya kafir k sath”
Msg 10

Hazrat Abdullah Bin zubair r.a ny apny walid sy riwayat ke k,
Quraish (Kufar e Makkah) ko sakht qehat ka saamna karna para tou Aap S.A.WW ny sony ke guthliyan Abu Sufiyan ko bheijein k wo apni qoum mein taqseem kar dain jab Abu sufiyan ko yeh pohancha tou ous ny kaha k Muhammad S..A.WW k pass husn e ikhlaaq he tou hy.
Mukhalifon, dushmanon or ghairon k saath Aap S.A.WW ke sakhawat ka yeh aalm tha k qareeb 5 lakh ke raqam Aap S A.WW ny qehat k mouqa par Aap ny oun ko bheiji.
Is sy maloom hoa k qehat o fasad k mouqa par bhe kafiron ke madad karny ka swab hy.
Yeh hy mazhab islam ke buland paya taleem or pakeeza ikhlaaq k dushmao or mukhlifeen e mazhab k sath bhe imdad o nusrat ka hukm hy.
End



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Tamam musalman hein,
a. aik jism ke tarah
b. aik jamaat
c. aik qabeely ke tarah

2. Kis jang k mouqa par masawaat ke behtreen misal qaaim ke gi,
a. jang e Ouhad
b. jang e Badar
c. jang e Yarmouk

3. islam ny ghair muslimon sy hukm deya hy,
a. mohabat ka
b. nafrat ka
c. hussan e salook ka

4. Qehat k mouqa par Aap S.A.WW ny Abu Sufiyan ko bheijy,
a. dirham
b. sony ke guthliyan
c. deenar

5. Hazrat Ibrahim r.a ka mehman tha,
a. kafir
b. musalman
c. majousi

 Fill in the Blanks  /5

1. Islam ___ or __ ka paigham daita hy.
2. Islam mein kisi ko maal o doulat or hasab nasab ke bina par ___ hasil nai.
3. Abu jehal ke bad salooki k ba wajood Aap S.A.WW ny ___ sy kaam leya.
4. Islam ___ ka dars daita hy.
5. Ghair muslimon k salam ka jwab daina bhe ___ hy.

True / False /5

1. Aap S.A.WW khud ko dousron sy bartar samjhty thy.
2. Piary Aaqa S.A.WW ny Hazrat Asma r.a ko Apni mushrik maan sy hy hussan e salook ka hukm deya.
3. Majousi Wahi ka waqiya soun kar musalman ho geya.
4. Allah ny tamam insano ko brabar qarar nai deya.
5. Aap S.A.WW ghair muslimon ke beemar pursi farmty.

Short Answer Questions /15

1. Bhai chara kisy kehty hen?

2. Hijrat e Madeena k mouqa par Aap S.A WW ny kaisy bhai chara qaaim keya?

3. Aap S.A.WW ghair muslimon sy kaisa salook farmaty thy?

4. Hazrat Asma r.a ke aa’aanat k leay konsi aayt nazil hoe?

5. Islam hamein ghair muslimon sy kaisa salook krny ka hukam daita hy?


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (c)
3. (c)
4. (b)
5. (c)

Fill in the Blanks

1. Am’man / Bhalaai
2. Bartari ya Fouqiyat
3. Sabar
4. Masawat
5. Hussan e salook

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. Tamam musalmano ka aapas mein aik dousry k sath mil jul kar rehna bhai chara kehlata hy.

2. Aap S.A.WW ny aik aik mohajir or aik aik insari ka bhai bana kr bhai chara qaaim keya.

3. yeh sub ka apna jwab ho ga.

4. “Allah pak ny in kafiron sy husn e salook ya bhalaai sy mana nai keya jinhon ny tum sy deen k bary mein qitaal nai keya or na he tumy apny gharon sy nikala”

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *