Step 4 – Moamlaat (Day 46)

HUSAN E SALOOK SY PAISH AANA

Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya,
“Maizaan e amal mein husn e salook sy wazni koe amal nai”
Hazrat Abu Huraira r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya,
“Main behtreen ikhlaaq o aadaat k itmaam k leay bheija geya hon”
Husaan e salook yeh hy k apny ouper zulm krny walon ko moaf kry, jo ousy na dy tou wo ousy dy, jo ous sy laraai rakhy tou wo ous sy jory.
Aik or hadees e mubarika mein hy k,
“Qayamat k din mery sub sy ziada mehboob or meri majlis mein mein sub sy ziada qareeb wo log hein jo tum mein achy ikhlaaq waly or naram khoo hon gy”
Kufaar e Makkah ny har zulm Aap S.A.W W k saath rwa rakha magar jab Makkah fatah ho geya tou sub kuffar khof or dehshat sy kaanp rahy thy tou Aap S.A.WW ny oun ko yeh keh kar chor deya tha k,
“Tum sy aaj koe moaakhiza nai tum sub aazad ho”
Quran pak mein waldain k saath husn e salook krny k bary mein yeh hukm deya geya hy,
“Agar teri mojoudgi mein oun mein sy aik ya dono burhapy ko pohanch jaein tou oun k aagy uff tak na kaho, na oun ko daant dapat karna balky oun k saath baat cheet krna or oun k aagy aajizi sy jhuky rehna”
Msg 2

Allah ny waldain k saath husn e salook ka hukm deya hy k jab wo is haal mein hon k bourhy ho jaein tou oun k saath husn e salook sy paish aaein or burhapy mein bhe jab k sabr o bardasht kam ho jata hy hamein chahiye k oun ke har baat ko sabr o tahamul sy sounain.
Hazrat Abu Darda r.a Piary Aaqa S.A WW ka yeh farman naqal krty hein k,
“Jannat mein darmiyan ka darwaza waldain k khidmat garon k leay hy pas jo in dono ke khidmt kary ga ous k leay khol deya jaey ga or jo nafarman hy ous k leay band kr deya jaye ga”
Hazrat Ibn e Abbas r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya,
“Jo saleh oulaad mohabat ke nazar sy apny waldain ko daikhy tou ousy aik nigah par aik maqbool hajj ka swab mily ga.
logon ny poucha k agar din mein sou martaba daikhy tou?
farmaya haan tab bhe Allah bara hy or bara pakeeza hy (yani har martaba daikhny ka swab maqbool hajj ka mily ga) hat’ta k sou martaba daikhny par bhe”
Waldain k saath har haal mein ehsan o bhalaai k saath paish aany or oun k sath husn e salook ka hukm deya geya hy.
Msg 3

Awwam bin Khoushab r.a biyan krty hein k main aik maqaam par thehra tou ous mohaly mein aik qabristan tha jab asar k baad ka waqt hoa tou aik qabar phati ous mein sy aik aadmi nikla jis ka sar gadhy ke tarah or jism insan ke tarah tha, wo gadhy ke teen martaba cheeikha or phir qabar mein chala geya.
Wahan aik bourhi aourt baithi thee jo ooun ya baal kaat rahe thee, aik aourat ny kaha k is bourhi aourat ko daikhty ho?
main ny kaha, haan
kia baat hy?
ous ny kaha k yeh is ke maan hy.
Yeh shakhs sharaabi tha, shaam ko sharaab pee kar aata tou maan kehti,
Baita Allah sy dar kab tak sharaab peety raho gy?
Tou ous k jwab mein kehta tou gadhee,
or phir is tarah cheeikhta jaisy gadha cheeikhta hy.
ous aourat ny btaya k kisi din wo asar k waqt mar geya ous k baad sy har din ous ke qabar asar k waqt phat’ti hy or teen martaba gadhy ke tarah cheeikhta hy or phir qabar mein ghuss jata hy.
Waldain k saath husn e salook na krny ka kaisa ibratnaak injaam hy, Allah hum sub ko is sy apni panah mein rakhy.
Aameen
Msg 4

Jis tarah oulaad ko waldain k saath husn e salook ka hukm deya geya hy isi tarah waldain ko bhe oulaad sy husn e salook rwa rakhny ke talqeen ke gi hy.
Hazrat Ibn e Masood r.a Piary Aaqa S.A.WW ka yeh qoul naqal farmaty hein,
“Meri ummat sy qiyamat k din aik shakhs laaya jaye ga ous ke bzahir koe aisi naiki na ho gi jis sy jannat ke umeed ho saky pas Allah farmaye ga is ko jannat mein dakhil kr do k yeh apny ehl o ayaal par meharbaan tha”
Aik or hadees mein hy,
“Tum mein sy behtr wo hy jo apny ehl o ayal sy husn e salook kry ”
Piary Aaqa S A.WW ny frmaya k,
“Jo shakhs yeh chahta hy k ous k rizq mein farakhi ho or ous ke mout mein takheer ke jaye tou ous ko chahiye k apny rishta daron k saath husn e salook kry”
Rizq ke barkat or wusat ka is dour mein kon talib nai, jis ko barkat e rizq ke talab ho, wo rishty daron sy husn e salook kry or mout mein takheer ka matlab hy k ous ke umer mein barkat ho.Rishta daron ke riaa’yat oun k saath ehsan o bhalaai k bartao ke ahadees e mubarika mein bari takeed o targheeb biyan ke gi hy or ous k khilaaf par sakht tareen wa’eed aaei hy.
Allah k nazdeek yeh is qadar eham or maqbool tareen amal hy k is ke wajah sy umer mein izafa or barkat di jati hy.
Msg 5

Aap A.S.WW sy aik aadmi ny poucha mery rishtydaar hein, jin k haqooq ada krta hon or wo mery haqooq ada nai krty hein, main oun k saath husn e salook krta hon magar mujh sy wo badsalooki krty hein.
Aap S.A.WW ny frnaya, agar tou aisa he hy jaisa tou keh raha hy tou goya oun k chehron par siyahi phair raha hy or Allah oun k muqably mein hamesha madad gaar rahy ga jab tak tou ous par qaaim rahy ga.
Hum aksar dousron ka apny saath acha jwabi salook na hony par pryshan hoty hein magar Allah hamein ous k badly rizq ke wusat apni madad sy daita hy.
Jab Makkah fatah ho geya tou ous waqt Aap S.A.WW ny aik zaeef aourat ko sar par gathri outha kar bhagty daikha, Aap S.A.WW ko is par tars aa geya, ous ko poucha itna bojh outha kr kaha ja rahe ho?
ous ny kaha,
Aey Baity…!!!
Muhammad S.A.WW naami aik shakhs k khouf sy Makkah chor kar ja rahe hon kaheein wo mera mazhab na churwa dy.
Aap S.A.WW yeh soun kar muskara deay or kaha k laa yeh bojh mujhy dy dy…..
Msg 6

Aap S.A.WW ny bojh sar par rakha or burhiya k saath chal pary,
sary rasty wo Aap S.A.WW ko bura bhala kehti rahe lakin Aap S.A.WW nahayat tahamul sy sounty rehty.
Manzil par pohach kar burhiya ny kaha,
Baity Makkah mein Muhammad S.A.WW aa geya hy wo bohat bara jadugar hy ous sy bach kar rehna.
Aap S.A.WW ny burhiya ke baat soun kar mualaimat sy kaha k main he wo Muhammad S.A WW hon jis k khouf sy too Makkah chor aaei hy.
Wo bohat sharminda hoe or kaha beshak Muhammad S.A.WW Allah k nabi hein.
Jo dushmano sy husn e salook krty hein.
Ous ny Aap S.A.WW sy mutasir ho kar islam qabool kr leya.
Mazhab islam ke taleem hy k Allah ke har makhlooq k saath khaw wo kafir ho ya koe bhe haiwan ho ous k saath rehm o riaa’yat ka moamla keya jaye or ous ko pryshan na keya jaye.
ous par zulm o tashadad or sakhti na ke jaye na haq mara jaye.
Msg 7

Har makhlooq k sath bhalaai or achaai ka bartaao krny wala khuda k nazdeek mehboob or pasandeeda hy.
Choun k sub Allah ke ayaal hein, jis tarah aadmi ke aayal par koe shafqat o rehm ka moamla krta hy tou ousy khushi hoti hy isi tarah Allah ke makhlooq Allah ke ayaal hoti hy ous k saath shafqat o mohabat krny wala Allah ko mehboob ho ga.
Hazrat Anis r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya,
“Tamam makhlooq Allah ke ayaal hy pas Allah k nazdeek pasandeedawo hy jo ous k ayaal k saath behtreen batrao kry”.

Msg 8

PAROSION SY HUSN E SALOOK

Islam ny haqooq ul ibaad ko bohat ziada ehmiyat di hy or oun ko ada krny mein koe moaafi ous waqt tak nai jab tak k wo khud moaaf na kr dy.
Hamsaye sy husn e salook bhe hamsayon k haqooq mein shamil hy.
Sorat Al-Nisa mein Allah farmata hy,
Tarjuma:-
“Or tum Allah ke ibadat ikhtiyr kro or Oss k saath kisi cheeze ko shareek mat kro or waldain k saath acha moamla kro, or ehl e qarabat k sath bhe, yateemon k sath bhe, or ghreeb ghurba k sath or pass waly parosi k sath bhe, or hum majlis k sath bhe or raah geer k sath or ghulamon k sath bhe, yaqeenan Allah aisy shakhs sy mohabat nai rakhta jo apny aap ko bara samjhy or shaikhi ke batein kry”
Is aayt e kareema mein Allah ny awlan apna haq biyan keya yani toheed, Oss k sath kisi ko shareek na thehrana jo islam ke bunyad hy or phir darja ba darja insani haqooq ko biyan keya hy.
Msg 9

Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny farmaya,
“Jo Allah or youm e aakhirat par emaan rakhta hy wo apny parosi ko takleef na dy”
is hadees e mubarika sy pata chalta hy k agar sahoolat na pohancha sakein tou takleef or aziyat tou hargiz na pohanchaein.
yeh sirf musalmano k sath he khas nai balky aam insano ka bhe haq hy albata emaan ke bunyad par or phir parosi ho tou ous k haq mein or ziada takeed ke jati hy k ousy kisi tarah takleef or aziyat na di jaye.
magar afsoos k aaj kal ka mahool is k bar aks hy….
Aik or hadees e mubarika mein aata hy,
“Apny parosi k sath acha salook kro tum kamil insan ban jao gy”
Yani is had tak ehmiyat hy k yeh hamari insaniyat ko kamil kar daita hy.
Agar hum hamsaye sy husn e salook karny waly nai hein tou hum kamil insan nai ho sakty…
or aik hum hein k har waqt khud ko mukamal hony ka dhandora peet’ty rehty hein or yeh maloom nai k tab tak kamil insan nai ho sakty jab tak hamsaye sy acha salook na krain.
Aik hadees mein aata hy,
“Allah ke qasam, wo shakhs musalman nai,
Allah ke qasam, wo shakhs musalman nai, jab baar baar yeh ilfaaz dohraye tou sahaba r.a ny poucha k wo shakhs kon hy?
Aap S.A.WW ny farmaya, jis k parosi ous ke buraion or ous k sharr sy mehfooz o mamoon or be khouf na hon”
Allah hamein moaaf farmaye k hamein bilkul bhe aashnai nai hy k hum khud ko momin or musalman kehty or samjhty hein magar hum ny is baat k taqazy poury krny ka kabhe ehsas nai keya.
Msg 10

yeh emaan ke ilamat hy k logon k saath khush asloobi wala moamlaa kry or parosi is ka ziada haqdaar hy k aik dousry k ma’bain achy ta’aluqaar rahein.
Parosion k saath achy bartao ka acha injaam hy, dousron ka dil khush krny sy Allah ke khushi hasil hoti hy or Allah ke khushi in cheezon ka baes banti hy.
Parosi k haqooq k silsily mein yeh bari jaamy hadees hy jis mein parosi k bohat sy haqooq ke wazahat ke gi hy bunyadi haqooq ka zikar keya geya hy.
Hazrat Behaz Bin Hakeem r.a ke riwayat hy k oun k dada ny Aap S.A.WW sy poucha k mery parosi ka mujh par kia haq hy?
Aap S.A.WW ny famaya,

i. Agar wo bimar ho jaye tou ous ke ayadat kro.

ii. Intaqal kar jaye tou janazy mein shareek ho.

iii. Qarz chahy tou qarz do.

iv. Agar ousy kapry ke zaroorat ho tou ousy kapry ke sahoolat do.

v. Agar ousy khushi ho tou mubarikbaad do.

vi. Museebat or mein hon tou taziyat kro.

vii. Ous k makan par apna makan band na kro k hwaa ke aamad o raft ruk jaye.
Is hadees e mubarika ke roshni mein hum apna mwazna krain k hum sy yeh haqooq ada ho rahy hein k nai.
Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya,
“Wo shakhs jannat mein dakhil na ho saky ga jis ke shararaton sy ous ka parosi mehfooz nai”
Msg 11

Allah hamein maaf farmaye k hum tou zara bhe is baat sy aashna nai hein k hamsaye sy husn e salook ke is qadar ehmiyat hy k jannat mein dakhil na ho sakein gy k agar kisi hamsaye ko tang keya.
Allah Too hamein apny ehkamaat ke roshni mein hamsaye sy husn e salook ke tofeeq ata farma dy.
Aameen
Aik aourat ka waqiya kuch youn hy…
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k aik shakhs ny arz keya k falan aourat aisi hy k ous ke namaz, roza, sadqa bakasrat kati hy magar apni zaban sy parosion ko takleef daiti hy.
Aap S.A.WW ny farmaya k,
“wo jahanam mein ho gi”
Phir ous ny kaha,
Ya Rasool Allah S.A WW..!!!
Falan aourat namaz roza kam krti or thora bohat paneer ka tukra sadqa krti hy lakin hamsayon sy acha salook krti hy,
Aap S A WW ny farmaya,
“Wo jannat mein jaye gi”
Parosi ko takleef pohanchana ghaiz o ghazab ke baat hy k ous ka bura asar ibadat par bhe ghalib aa jata hy.
Is hadees e mubarika ko parh kar haqeeqi toar par yeh ehsas hota hy k kisi bhe hamsaye sy naik salook ki kis qadar ehmiyat hy magar hum kitny ghafil hein in baton or amal sy bhe….
End



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Allah ny tamam makhlooqat k sath hukm deya hy,
a. reham
b. ra’aiyat
c. dono

2. Hussan e salook farakhi ka baes hy,
a. rizq mein
b. umer mein
c. dono mein

3. Allah ny parosion sy hussan e salook k bary mein takeed sy farmaya,
a. sorat Nisa mein
b. sorat Baqra mein
c. sorat Al-Imran mein

4. Aap S.A.WW bourhi aourat ke baat soun kr,
a. ghussa hoay
b. muskraye
c. naraz hoay

5. Allah ny darja ba darja tamam insano k leay biyan kar deay,
a. ehkaam
b. haqooq
c. faraiz

 Fill in the Blanks  /5

1. Maizan e amal mein ___ ka amal sub sy wazni ho ga.
2. Behaisht mein aik darwaza waldain k ___ k leay ho ga.
3. Parosion sy hussan e salook ___ ko kamil karta hy.
4. Rishty daron sy hussan e salook na karny par sakht ___ aaei hy.
5. Hussan e salook ka hukm musalman parosion k leay he nai balky ___ k leay bhe hy.

True / False /5

1. Waldain ko oulaad sy hussan e salook ka hukm nai hy.
2. Allah ke makhlooq Allah ke ayaal hy.
3. Parosion sy hussan e salook na krny wala jahanami hy.
4. Islam ny parosion k haqooq muqarar nai keay.
5. Parosion sy achy bartao ka acha injaam hy.

Short Answer Questions /15

1. Ehl o ayaal sy husaan e salook k bary mein Aap S.A.WW ny kia frmaya?

2. Waldain sy husaan e salook k bary mein Allah ka kia farman hy?

3. Islam mein haqooq ul ibaad k bary mein keya hukm aaya hy?

4. Parosion k kia haqooq muqarar keay gay hein?

5. Share krain…
kia hum parosion k
haqooq aisy ada krty hein jaisa k hukm deya geya hy??


 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (a)
3. (a)
4. (b)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Hussan e salook
2. Khidmatgaron
3. Insaniyat
4. Wa’eid
5. Aam insan

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1.Koe aik hadees e mubarika

2. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.

3. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.

4. Jawab:
i. Bimar hy tou ayada ke jaye
ii. Inteqaal kar jaye tou janazy mein shareek hon.
iii. Qarz chahy tou qarz dain.
iv. Kapry ke zaroort ho tou ous ko kapry ke sahoolat di jaye.
v. Khushi ho tou mubarik baad dain.
vi. Gham ho tou taziyat krain.
vii. 9us k leay apna makan band na krain.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *