Step 5 B – Hkr k liay Messages

*Harawal Dasta 1*

*Step 5 B*
“~*Zara Chehra Tou Dikhaao*~”

  • Is step ka naam hy Zara Chehra Tou Dikhaao…
  • Is step mein bhe last step ke tara he ousi din ke routine mein sy koe bhe moamla laina hy…
  • Or ous mein chuppi hoe koe bhe Allah ke aik hikmat yani behtari ya bhalaai…
  • Jo k hamein zahir mein nazar nai aa rahe hoti…
  • Wo talash kar k batani hy…
  • Is k leay agar aap kisi aisay phansay hoay mushkil moamlay ya mouqy ka intakhaab karein…
  • Jis mein sy apnay leay os waqt behtari ya bhalaai nikaalni mushkil ho…
  • Par aap ous mein sy apny leay Allah ke taraf sy bhalaai ya kisi behtari ko dhoond lain gy tou he wohi hikmat kehlaye ge.

Note
●Daily 2 points bheijny hein or
●Har point k 2 parts hon.
1. Moamla ousi din ke routine sy…
2. Ous mein chupi hoe koe se 3 hikmatein.
Dil sy dua :)


 

*Sample Msgs*

●Point:- 1
●Background :
Sham ko laptop par kaam karnay lagi….
tou ous ki charging khatam thee….
kion k chouta bhai kafi dair sy istamal kar raha tha…..
light bhe nai the or koi generator bhe nai chala raha tha….
mujhy ghussa bhe aaya or dil mein chirr bhe paida hoe

●Hikmat :
1. Agar laptop istamal karti… tou namaz ka waqt guzar jata or main namaz waqt pa ada na kar sakti….
Allah ny charging khatam kar ka khud sy mulaqat ka mouqa deya.

2. Namaz parrh k mein nay kitchen mein ami k sath oun k kaam mein madad ki tou ami ny khush ho k dua di.

3. Har waqt laptop istamal karany ki wajah sy ghar waly naraz hoty hein jis sy maira dil ganda hota tha …
aaj laptop istamal na karany ki waja sy ghar walay khush hoay tou oun ko khush kar k dil khush hoa.


 

Point:- 2
●Backgroud :

Mujhy baithy baithy aisy khiyal aaya k, Allah kehta hy k mery har kaam mein hikmat hy tou ab jo mujhy farigh bihta rakha hy tou is mein keya hikmat hy.

●Hikmat :
1. Mujhy is mein yeh hikmat nazar aaei k Allah ny mujy is point py sochny ka mouqa deya hy.

2. Is hikmat py mein ny tafakar keya Allah ny mujhy is ka mouqa deya k mery andar ko aur wusat mily k mein is mein chupi hikmat dhoundon.

3. Yeh bhe hikmat thee k main yeh time kisi ghalat kaam mein ya nafs ke taskeen k kaam mein laga kr zaya kr deti jo sahi kam mein sarf howa.

Dil sy dua :)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *