Step 5 – PIYARE AAQA S.A.W.W kai Hayat e Tayba (Day 60)

Hijrat e Madina

Continued…
Msg 15
Madeena k qareeb Bureeda Aslami, qabeela Banu Seham k sharr swaron k sath inaam ke lalach mein Aap S.A.WW ko giraftar karny aaya.
Aap S.A.WW ny poucha k too kon hy?
ous ny jwab deya main Bureeda hon.
Yeh soun kar Aap S.A.WW ny farmaya,
hamara kaam khushkun or darust ho geya.
Aap S.A WW ny farmaya,
kis qabeely sy ho?
Bureeda ny kaha,
Banu Aslam sy…
Aap S.A.WW ny frmaya,
hamary leay khair o salamti hy.
Aap S.A.WW ny poucha,
konsy Banu Aslam sy? ous ny kaha Banu Seham sy.
Aap S.A.WW ny farmaya,
too ny apna hissa islam mein sy outha leya.
Bureeda ny arz ke Aap S.A.WW kon hein….??
Msg 16

Aap S.A.WW ny farmaya,
Main Allah ka Rasool or Muhammad Bin Abdullah hon.
Bureeda ny kalma shahadat parha or musalman ho geya ous k 70 sathi bhe musalman ho gy. Bureeda ny arz ke Madeena mein Aap S.A.WW ka dakhila jhandy k sath ho ga.
ous ny apna amama outar kar naizy par bandh leya or aagy aagy rwana ho geya.
Bureeda ny arz ke Aap S.A.WW kahan outrain gy?
Aap S.A.WW ny frmaya jahan meri ountni baith jaye gi wohi meri manzil ho gi.
Aap S.A.WW ke tashreef aawri ke khabar Madeena pohanch chuki thee. log har subah shehar sy nikal kar Aap S.A.WW k intazar mein jama hoty dopehar hoti tou wapis chaly jaty.
Aik roz aik yahoudi ny apny qily sy daikha or zoor sy be sakhta pukar outha…
Aey Moashaar E Arab…
Tumhara maqsad o maqsood jis ka tum intazar kar rahy thy aa geya hy.
Musalmano ny Aap S.A.WW ka walehana istaqbal keya.
Msg 17

Quba mein Aap S.A.WW ke tashreef aawri 12 Rabi Ul Awal 2 shanmba ko hoe.
Hazrat Ali a.s jo Aap S.A.WW ke rwangi sy 3 din baad Makkah sy chaly thy yahan Aap S.A.WW sy aa mily.
yaheein Aap S.A.WW ny ous masjid ke buniyad rakhe, jis ke shaan mein Sorat Toaba aayt 108 mein Allah farmata hy….
“Albata wo masjid jis ke buniyad pehly din sy parhaizgari par rakhi gi hy ziada laaiq hy k Too is mein khara ho mein wo mard hein ho paak rehny ko dost rakhty hein or Allah pak rehny walon ko dost rakhta hy”
Maktoom Bin Khudaam ke kuch zameen thee jo Aap S.A.WW ny is masjid k leay ly li.
Baqi ashaab k sath sath Aap S.A.WW bhari pathar outha outha kar laaty ashaab aa kar arz krty k Aap S.A.WW chor dain hum outha laity hein lakin Aap S.A.WW ousi tarah kaam karty rehty.
isi masjid mein Aap S.A.WW ko Hazrat Jibreel a.s ny qibla ka rukh btaya….
Msg 18

*Madeena Rawangi*

Quba mein kuch roz qayaam k baad Aap S.A.WW juma k din Madeena sharif rawana ho gy.
Raasty mein muhajreein o insar k log jama thay.
Aap S.A.WW ny farmaya,
“Mera naqa mamoor hy is ka raasta chour dain”
Raasty mein Banu Salam k mohaly mein juma ka waqt ho geya Aap S.A.WW ny wadi Zee Sal’ab mein namaz e juma or khutba ada keya, yeh Aap S A.WW ka pehla juma or pehla khutba tha.
yeh masjid Madeena mein masjid e juma k naam sy mash’hoor hy.
Yahan sy Aap S.A.WW aagy rwana haoy, Aap S.A.WW ka naqa Hazrat Ayoub insari r.a k ghar k saamny baith geya. Aap S.A.WW ny farmaya,
“Yehi manzil hy”
Msg 19

Hazrat Ayoub insari r.a Aap S.A.WW ke ijazat sy Aap S.A.WW ka saman outha kar apny ghar ly gy.
Aap S.A.WW ke tashreef aawri sy Madeena k musalmano ko bohat khushi hoe or khushi o mussarat ka yeh aalam tha k parda nasheen larkiyan or aourtein chaton par or bahir nikal aaein or daff baja kar gany lageein,
Tarjuma..
Hum par chand nikal aaya Wadaa ke ghation sy hum par khuda ka shukr wajib hy jab tak aik dua maangny wala dua maangy.
Khushi sy zan o mard chouty bary gali kouchon mein pukarny lagy….
Ya Rasool Allah….
Ya Nabi Allah…..
Allah ka Rasool S.A.WW aa geya
Allah ka Nabi aa geya.
Msg 20

Habshi ghulam khushi sy apny hathiyaron sy khail kar tamasha dikha rahy thay.
Jab Madeena mein Aap S.A.WW k qayam ka intazam ho geya tou Aap S.A.WW ny Hazrat Zaid Bin Harisa r.a or apny ghulam Rafaa ko 500 dirham or 2 ount dy kar Makkah bheija k Aap S.A.WW k ghar walon ko Madeena ly aaein.
ousi waqt Hazrat Abu Bakar Siddiqe r.a ny Abdullah Areeqat jo ous waqt Makkah ja rahy thay, k hath apny baity Abdullah ko ruqaa deya k ghar walon ko Madeena ly aao.
Msg 21

Aap S.A.WW ke sahabzadion mein Hazrat Zainab r.a ko oun k shohar Abu Al Aas ny na aany deya. Hazrat Ruqiya r.a Habsha mein theein is leay Hazrat Zaid bin Harisa r.a or Abu Rafaa Hazrat Umm e kalsoom r.a or Hazrat Fatima Zahra r.a or Aap S.A.WW ke zoja mohtarma Hazrat Souda r.a, Zaid ke bivi Umm e Aiman or Usama bin Zaid r.a ko Madeena laaye.
Oun k saath Abdullah Bin Abi Bakar r.a, Hazrat Ayesha r.a oun ke walida Umm e Rooman r.a or Hazrat Asma Bint E Abu Bakar r.a bhe aaein.
Msg 22

Aap S.A.WW kuch maheeny Hazrat Abu ayoub Insari r.a k haan tashreef farma rahy or jab masjid e Nabvi k hujry tayar ho gy tou oun mein muntaqil ho gy.
Aap S.A.WW ny Madeena mein dou (2) yateemon Suhail or Sehal ke zameen masjid e Nabvi k leay khareedny ka irada zahir keya.
Ouno ny kaha k hum baghair qeemat k Aap S.A.WW ko yeh zameen daity hein magar Aap S.A.WW ny qeemat dy kar kahreedi.
Msg 23

Zameen hamwar ke gi. Aap S.A.WW bhe sath kaam karwa rahy thy. yeh masjid bohat sada c thee chhat par khajoor k pat’ty or satoon bhe khajoorke thee.
Qibla Baitul Muqadas ke taraf rakha geya, kion k Aap S.A.WW ko Baitul Muqadas ke taraf qibla ka Allah ny hukm deya tha.
jab qibla badal kar Ka’aba ke janib hoa tou Ka’aba ke janib ka darwaza bad kar deya geya.
Msg 24

*ASHAB E SUFFA* 

Masjid k sath aik saaiban tha jo suffaa kehlata tha in mein fuqraa, masakeen or jin ashab r.a k ehl o ayaal yahan nai raha karty thy wo raha karty thy oun ke tadaad kam ziada hoti rehti thee.
In mein bohat bary ashab jaisy Hazrat Abu zar Ghaffari r.a, Ammar bin yasir r.a, Salman farsi r.a, Suhaib romi r.a, Hazrat Bilal Habshi r.a or Hazrat Abu Huraira r.a jaisy ashab rehty thy.
In ke tadaad 100 tak bhe pohanch jati thee.
Masjid k sath Azwaaj e mutahiraat k leay hujry bhe banaye gy jin k darwazon par kambal ka parda para rehta tha.
Msg 25

Hazrat Fatima r.a ka doulat khana masjid ke taraf tha or Hazrat Ayesha r.a k hujry sy mut’tasil tha yeh wo jagah hy jahan Aap S.A.WW ke qabar e mubarik hy.
Jab Aap S.A.WW safar sy wapis tashreef laaty tou masjid mein 2 nafal ada krny k baad Hazrat Fatiam r.a k haan tashreef ly jaty or phir ous k baad azwaaj e Mutahiraat k pass tashreef ly jaty.
Msg 26

*MOUWAKHAAT* 

Muhajreen apny watan sy be sar o samani ke halat mein chhup kar nikly thay.
Aap S.A.WW ny muhajreein o insaar mein akhuwat ka rishta qaaim keya.
Muhajreen ke tadaad 45 ya 50 k qareeb thee. Aap S.A.WW aik muhajar or aik insar ko bula kar farmaty k aap bhai hein.
Is tarah insar ny apny ghar baar maal o doulat mein sy aadha hisaa apny muhajar bhai ko dy deya.
Hazrat Saad r.a ny kaha k mery pass sub sy ziada maal hy meri 2 bivian hein main apni aik bivi or aadha maal Hazrat Abdul Rehman r.a ko daita hon, lakin Hazrat Abdul Rehman r.a ny lainy sy inkar kar deya.
Msg 27

Hazrat Abu Huraira r.a farmaty hein muwahaat k baad insar e Madeena ny Rasool Allah S.A.WW sy darkhawast ke hamary nakhlistan hamary muhajir bhaion mein taqseem farma dain.
Aap S.A.WW ny inkar farmaya tou insaar ny kaha k muhajreein darakhton k saaye mein darakhton ko pani dainy ka kaam kr lain or phal hum dono taqseem kar leya krain gy is par sub ny itafaaq keya.
Jab 7 hijri mein Khaibar fatah hoa tou muhajreein k hissy mein itna maal aaya k oun ko insaar k nakhlistan ke hajat na rahe.
Msg 28

Piary Aaqa S.A.WW Makkah mein ka’aba ke taraf namaz parha karty thy.
Hijrat k baad Allah ny baitul Muqadas ko Aap S.A.WW ka qibla muqarar farma deya.
Chunachy Aap S.A.WW ny 16 ya 17 maah Baitul Muqadas ke taraf namaz parhi. .Yahoud Aap S.A.WW ko tana daity thy k Aap S.A.WW hamary qibla ke taraf munh kar k namaz parhty hein.
Aap S.A.WW ke bohat aarzoo thee k sunnat e Ibrahimi ke tarah mera ka’aba Ibrahimi yani Ka’aba ho.
Sorat Baqra aayt 17….
“Beshak hum daikhty hein Tery munh ka aasman kr taraf phirna or hum zaroor phairan gy tujhy ko ous qibla ke taraf k Too jisy pasand karta hy, pas phair apna munh masjid e haram ke taraf, pas Tum jis jagah hoa karo phairo munh apna ous taraf”.
Msg 29

Nisf Rajab ya nisf Shabaan Aap S.A.WW masjid Banu Salma mein namaz ada farma rahy thy.
Teesri rak’at mein wahi nazil hoe tou Aap S A.WW ny namaz he mein Ka’aba ke taraf munh phair leya, muqtadion ny bhe ny bhe apna rukh Ka’aba ke tara phair leya.
Is masjid ko Masjid Qiblatain kehty hein is ka baad musalman Baitullah ke taraf munh kar k namaz parhny lagy.



 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Aap S.A.WW Quba sy Madeena shareef tashreef ly gy,
a. peer k din
b. juma k din
c. jumerat k din

2. Aap S.A.WW ke sahabzadiyan Aap S.A.WW k pass Madeena tashreef laaein
a. Hazrat Ruqiya r.a or Hazrat Umm e Kalsoom r.a
b. Hazrat Fatima r.a or Hazrat Ruqiya r.a
c. Hazrat Umm e Kalsoom r.a or Hazrat Fatima r.a

3. Masjid e Nabvi k sath banaye gy,
a. madrisy
b. hujry
c. ghar

4. Aap S.A.WW ny pehla khutba or jumma ada keya,
a. Zee sal’ab mein
b. Madeena mein
c. Makkah mein

5. Khaibar fatah hoa,
a. 3 hijri
b. 5 hijri
c. 7 hijri

Fill in the blanks /5 

1. Bureeda or ous k ___ sathi musalman ho gy.
2. Masjid e Nabvi mein qibla ___ ke taraf rakha geya.
3. Aap S.A.WW ka naqa ___ k ghar k saamny baith geya.
4. Masjid e Nabvi k sath mojoud saaiban ___ kehlata tha.
5. Masjid Banu Salma ko ___ bhe kehty hein.

True / False /5 

1. Aap S.A.WW ny masjid ke tameer mein sub k sath barabar hissa leya.
2. Aap Safar sy wapsi par sub sy pehly azwaaj e mutahiraat k pass tashreef ly jaty.
3. Bureeda Aslami inaam ke lalach mein Aap S.A.WW k ta’aaqub mein aaya.
4. Aap S.A.WW ny insar e Madeena k nakhlistan taqseem farma deay.
5. Suhail or sehal ke zameen masjid e Quba k leay khareedi gi.

Short Question / Answers /15 

1. Qibla ke tabdeeli ka hukm kab or kaisy hoa?
2. Ehl e Madeena ny Aap S.A.WW ka Madeena tashreef par kaisy istaqbal keya?
3. Aap S.A.WW ny Masjid e Nabvi k leay zameen kis sy or kaisy khareedi?
4. Ashab e Sufaa kin ko kaha jata hy?
5. Aap S.A.WW ny insar o muhajreen mein muwahaat kaisy qaaim ke?
End


 

ANSWER SHEET

MCQ’s /5

1. (b)
2. (c)
3. (b)
4. (a)
5. (c)

Fill in the blanks /5

1. 70
2. Baitul Muqadas
3. Hazrat Abu Ayoub insari r.a
4. Suffaa
5. Masjid qiblatein

True / False

1. ✔
2. ✖
3. ✔
4. ✖
5. ✖

Short Answers

A1. Nisf Rajab ya nisf Shabaan Aap S.A.WW masjid Banu Salma mein namaz ada farma rahy thy.
Teesri rak’at mein wahi nazil hoe tou Aap S A.WW ny namaz he mein Ka’aba ke taraf munh phair leya, muqtadion ny bhe ny bhe apna rukh Ka’aba ke taraf phair leya is k baad musalman Baitullah ke taraf munh kar k namaz parhny lagy.

A2. yeh sub ka apna jwab ho ga

A3. Aap S.A.WW ny masjid e Nabvi k leay Sehal or Suhail sy qeematan zameen khareedi.

A4. Masjid k sath aik saaiban tha jo suffaa kehlata tha in mein fuqraa, masakeen or jin ashab r.a k ehl o ayaal yahan nai raha karty thy wo raha karty thy oun ke tadaad kam ziada hoti rehti thee in ko ashab e Suffaa kaha jata tha .

A5. Aap S.A.WW aik muhajir or aik insar ko bula kar famaty k aap bhai hein.
insar ny apny muhajir bhaion ko apny maal mein sy aadha maal bhe dy deya.
End


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *