Step 5 – PIYARE AAQA S.A.W.W ki Hayat e Tayba (Day 64)


*~*Piary Aaqa S.A.WW Ke Hayat E Tayyba*~* 

**AZWAAJ E MUTAHIRAAT**


Hazrat Khadija r.a Bint E khwaild

In ka silsila e nasab Qasaa mein Aap S.A WW k khandan mein milta hy.
Aap S.A.WW ke be’asat sy qabal aap r.a Tahira k laqab sy mash’hoor theein.
Un ke pehli shadi Haala bin jarara sy hoe jin sy 2 larky Hind or Haala paida haoy. yeh dono sahabi r.a hein
Khawind k intaqaal k baad dousri shadi Ateeq bin aaib sy hoe. in sy aik beiti paida hoe is k baad aap r.a ke shadi Saifi bin umiya makhdoumi sy kar di gi.
Msg 2

oun sy aik baita Muhammad bin Saifi hoa oun ke oulad ko Banu Tahira kehty hein.
Aap S..A.WW ke tamam oulaad siwaye Hazrat Ibrahim r.a k in pak bibi k batan sy hoe.
Aap S..A.WW sy nikkah k baad aap r.a 25 saal tak zinda raheein.
in ke zindagi mein Aap S.A.WW ny dousri shadi na ke.
Aap r.a bohat ameer theein ouno ny apny maal sy Aap S.A.WW ke maal sy madad farmaei.
Msg 3

Hazrat jibreel a.s ny aik din Aap S.A.WW k pass hazir ho kar arz keya k Kahdeeja r.a jab aaein tou oun ko oun k Rab ke taraf sy or meri taraf sy salam pohancha dain or jannat mein motion k mehal ke basharat dain.
Azwaaj e mutahiraat mein Hazrat Khadeeja r.a or Hazrat Ayesha r.a sub sy afzal theein.
Hijrat sy 3 saal pehly 65 saal ke umer mein aap r.a ny intaqaal farmaya.
Aap S.A.WW ny oun ko qabar mein outara.
Msg 4

Hazrat Sawda r.a

in ka silsila e nasab bhe Aap S.A.WW sy milta hy. Aap r.a qadeem ul islaam islaam theein.
in ka nikkah walid k chacha zaad bhai sy hoa wo bhe shuru sy qadeem ul islam thy.
In ka aik baita Abdulrehman tha jo aik jang mein 16 hijri mein shaheed hoa.
Msg 5

Hazrat Khadeeja r.a ke wafaat k baad Aap S.A WW ghar k intazam k leay pryshan rehny lagy tou Hazrat Khoula bint Asad r.a ny arz keya Aap S.A.WW nikkah farma lain.
Hazrat Khoula r.a ny Hazrat Ayesha r.a or Hazrat Sawda ka .naam leya.
Hazrat Khoula r.a k walid s y baat ke gi tou ouno ny kaha k nikkah k leay aa jaein.
Nabuwat k dasweein saal Hazrat Sawda r.a ka nikkah ho geya.
Aap r.a bohat sakhi theein.
aap r.a ny khilafat e Farooqi r.a k aakhri zaman mein intaqal farmaya.
Saal e wafaat 54 ya 55 hijri hy.
Msg 6

Hazrat Ayesha r.a

In ka nasab bhe Aap S.A.WW k khandaan sy milta hy.
Be’asat sy 4 baras baad paida hoein.
6 barss ke theein k Aap S.A.WW k nikkah mein aaein.
Hazrat Abu Bakar r.a ny maah e shawal 10 nabvi mein hijrat sy pehly Madeena mein 9 saal ke umer mein aap r.a ke rasm e aroosi ada ke.
Aap S.A.WW k wisal k waqt aap r.a ke umer 18 saal thee.
Aap r.a ny 66 baras ke umer mein 57 hijri mein intaqal farnaya,
aap r a ke wasiyat k mutabiq aap r a ko raat k waqt jannat ul baqee mein dafan keya geya .
Msg 7

Aap S.A.WW ko azwaaj e mutahiraat mein sy aap r.a sy bohat ziada muhabat thee.
Aap S.A.WW ka visal sharif aap r.a ke goud mein hoa or Oun k he hujry mein dafan hoay.
Hazrat Mousa aah’ari r.a ka biyan hy k sahaba ka koe masla aisa na hota his ka hal Hazrat Ayesha r.a k pasa na hota.
Hazrat Ayesha r.a Hazrat Umer r.a or Hazrat Usman r.a k dour e khilafat mein fatway deya karti theein.
20210 hadeesain aap r.a sy marvi hein.
Aap .r.a zahida theein or bohat sakhi theein
Msg 8

Hazrat Hafsa Bint Umer Farooq r.a 

Be’asat sy 5 baras pey paida hoeein.
Pehly Hazrat Hanees bin khazifaa r.a.k nikkah mein theein.
Oun k sath Madeena hijrat ke.
Hazrat Hanees r a ghazwa e badar mein shaheed hoay.
oun ke shahadat k waqt Hazrat Ruqiya r.a ka nikkah ho chuka tha.
Shabaan 3 hijri mein aap r.a ka nikkah Aap S.A.WW sy hoa.
Aap r.a ny shabaan 45 hijri mein Hazrat ameer Moavia k ehad mein intaqal farmaya.
Msg 9

Hazrat Umm E Salma Bint E Abi Ummiya r.a

Aap r.a ka naam Hind or umm e salma kuniyat thee.
pehly apny chacha zaad bhai abu salma jin ka naam Abdullah bin Asad tha oun k nikkah mein theein. Wo Aap S.A.WW k raza’ee bhai thy.
Abu Salma or oun ke walida qadeem ul
islam thy.
Umm e salma pehli aourat theein jo hijrat kar k Madeena aaein.
Abu Salma r a ny Jamadi ul ukhraa mein wafaat paaei tou Aap S..A.WW ny nikkah ka paighaam deya.
Azwaj mutahiraat mein sub k baad 83 baras ke umer mein wafaat paaei.
Msg 10

Hazrat Umm E Habiba r.a

Aap r.a ka aslai naam Ramla or kuniyat Umm e habiba thee.
Aap Abu sufiyan ke beiti or ameer moaavia ke behan theein.
Pehly Abdullah bin hajash k nikkah mein theein dono ny habsha ke taraf hijrat ke waheein oun ke beiti Habiba paida hoe.
aabdullah esaai ho kar Habsha mein mar geya.
Aap S.A.WW ny umme habiba ke halat or ghurbat daikh kar nikkah ka paigham bheija.
Nijashi ny 9 hijri mein in ka nikkah Aap S.A.WW sy kar deya.
Aap r.a ka intaqaal 14 hijri mein Madeena mein hoa or wahan he dafan keya geya.
Msg 11

Hazrat Zainab r.a

Aap r.a ke pehli shadi Hazrat Khadeeja k ghulam Zaid bin Harisa r.a sy hoe.
Aap S.A.WW ny nabuwat sy pehly oun ko azad kar k mutbana (baita) bana leya.
Log oun ko Zaid Bin Muhammad kaha karty thy.
Aap r.a ny Zaid r.a ka nikkah apni phoophi zaad Zainab bint e hajash sy karna chaha tou oun k bhai ny inkar kar deya is k baad quran mein aayt outri jis k baad Hazrat Zainab r.a nikkah par razi ho gaeein.
Hazrat Zaid r.a Hazrat zainab r.a ke aadat ko pasand na farmaty thy or Hazrat Zainab r.a bhe Hazrat Zaid r. a ko pasand nai farmati theein.
Mag 12

Hazrat Zaid r.a ny Hazrat Zainab r.a ko talaaq dy di .
Id’dat guzarny k baad Aap S.A.WW ny nikkah ka paighaam bheija tou yeh aayaat nazil haaein.
Sorat Al- Ahzaab
aayt 40
Tarjuma:-
“Pas Zaid r.a ny oun sy hajat pouri kar li hum ny is ko Tujh sy biyaah deya taky momino par oun k ly palkon ke bivion ke tangi na hoor jab oun sy hajat pouri ho jaye tou phir amar e elaahi ho kar rehta hy”
Msg 13

Hazrat Zainab r.a ka nikkah 35 baras ke umar mein hoa wo zikar keya karti theein k deegar azwaaj ka nikkah oun k bhai ya baap ny keya magar mera nikkah Allah ny aasman par kar deya.
Hazrat Zainab r.a Aap S.A.WW ke phoophi zaad behan hony k ilawa bohat haseen o jameel theein is leay Hazrat Ayesha r.a ke barabri ka dam bharti theein.
Aap r.a bohat raast gou or paarsa theein.
Hazrat Zainab r.a ny Madeena mein 50 ya 53 baras ke umer mein wafaat paaei.
Msg 14

Hazrat Zainab Bint E Khazeema r.a

Aap r.a maskeeno ko kasrat sy khana khilaya karti theein is leay aap r.a ke kuniyat Umm ul Masakeen thee.
Pehly Hazrat Abdullah bin hajash k nikkah mein theein.
Hazrat Abdullah r.a ny jang e ouhad mein 2 hijri mein wafaat paaei, isi saal Aap S.A.WW k nikkah mein aaein.
2 ya 3 maheeny Aap S.A.WW ke khidmat mein rehny k baad 30 saal ke umar mein intaqal farmaya or jannat ul baqee mein dafan hoeein.
Msg 15

Hazrat Maimoona Bint E Haris r.a

Aap r.a pehly Hazrat Masood bin Umroo r.a k nikkah mein theein.
Hazrat Masood r.a ny talaaq di tou Abu Reham Bin AAm sy shadi hoe.
Abu Reham k intaqaal k baad Hazrat Abbas r.a ny aap r.a ka nikkah Aap S.A.WW sy kar deya , 51 hijri mein aap r a ka intaqaal hoa.
Msg 16

Hazrat Jawaria r.a

Hazrat Jawaria r.a k walid Haris qabeela Banu Muataliq ka sardar tha.
Pehly Masafaa bin safwan k nikkah mein theein jo aik ghazwa mein 5 hijri mein qatal hoa.
is mein bohat c londiyan or ghulam musalmano k hath aaye.
Hazrat Sabit r.a ny 9 ouqiya par in sy kitabat kar li.
Hazrat Jawaria Aap S.A.WW ke khidmat mein hazit hoeein or arz keya k main Haris ke beiti jawaria hon. mera haal Aap S.A.WW sy posheeda nai.
Msg 17

9 ouqiya sona meri maqdoor sy zaaid hy.
Main Aap S.A.WW ke umeed par aaei hon.
Aap S.A.WW ny farmaya k Main tumhara zarr e kitabat ada karta hon or tum sy nikkah karta hon.
Aap S.A.WW ny Hazrat Haris r.a ko bulaya wo bhe razi ho gy is tarah 9 ouqiya ada kar k Hazrat Jawaria ko azaad kar k nikkah kar leya.
Nikkah k waqt Hazrat Jawaria r.a ke umer 20 saal thee or aap r.a ka naam Bira tha.
Aap S.A.WW ny oun ka naa Jawaria rakha.
Rabi ulAwal 50 hijri mein intaqaal farmaya or jannat ul baqee mein dafan hoeein.
Msg 18

Hazrat Hafsaa r.a 

Aap r.a k walid Haaei bin akhtab banu nuzair k sardar thy.
Maan banu qareeza k sardar le beiti theein.
Ghazwa khabar 7 hijri mein qilaa Qamous fatah hoa tou kananaa qatal hoa.
Hazrat Safia r.a k baap or bhaai bhe qatal hoay.
Jab Khaibar k tamam qaidi jama hoay tou Yahyaa kalbi ny aik loundi ke darkhawast ke.
Aap S.A.WW ny ijazat di tou ouno ny Safiya ko ly leya.
Aik sahabi r.a ny arz ke k Safia raees ke beiti hy wo Aap S.A.WW k he laaiq hy..
Aap S.A.WW ny yahyaa ko dousri loundi dy di or Hazrat Safia r.a ko azaad kar k nikkah kar leya.
Khaibar sy wapsi par rasm e aroosi ada ke.
Aap r.a ny 50 hijri mein intaqaal farmaya or jannat ul baqee mein dafan hoeein.
Msg 19


*~*Piary Aaqa S.A.WW Ke Hayat E Tayyba*~* 

**OULAAD E AKRAM**


Msg 19

Piary Aaqa S.A.WW ke Oulaad E Akraam

Siwaye Hazrat Ibrahim r.a k jo Maria Qabtiya k batan sy thy, Aap S.A.WW ke tamam oulaad Hazrat Khadeeja r.a sy thee.
4 sahabzadiyan,
jino ny zamana islaam paya or sharf e hijrat hasil keya.
or
3 sahabzady thy.

Hazrat Qasim r.a

Be’asat sy pehly paida hoay or be’asat sy pehly intaqaal kar gy. kuch riwayaat k mutabiq 2 saal, kuch mein 7 din or kuch mein 10 maheeny zinda rehny ka btaya jata hy.
Aap S.A.WW ke kuniyat Abu Qasim in k he naam par hy.

Hazrat Zainab r.a

Aap r.a sahabzadion mein sub sy bari theein.
Be’asat sy 10 saal pehly jab Aap S.A WW ke umer 30 baras thee tou Aap r.a paida hoeein, in ke shadi khala zaad bhai Abu Al’aas sy hoe
Jab Ap S.A.WW ko mansab e risalat ata hoa tou aap r.a islaam qabool keya jab k Abu Al’aas shirk par qaaim raha.
Hazrat Zainab r.a or Abu Al’aas mein tafreeq par chuki thee.
Yahan tak k hijrat e Madeena waqiya hoe. Jang e badar mein kuffar k sath abu al’aas bhe aaye or giraftaar hoay.
Msg 20

Oun k bhai ny oun ko fidiya dy kar aazad kara leya ous mein wo haar bhe tha jo Hazrat Khadeeja r.a ny deya tha.
Aap S.A.WW ny wo haar daikha tou Hazrat khadeeja r.a ka zamana yaad aa geya.or Aap S.A.WW par riq’qat tari ho gi.
Aap S.A.WW ny bghair fidiya k Abu Al’aas ko chorr deya magar wada leya k Makkah ja kar Hazrat Zainab r. a ko Madena bheij dain gy
Msg 21

Makkah ja kar aap ny Hazrat Zainab r.a sy kaha k aap apny walid k pass Madeena chali jaein chunachy Hazrat Zaid r.a or aik insari sahabi raat k waqt aap r a ko ount par swaar kar k Madeena ly aaye. Abu Al’aas samaan e tijarat ly kar aa raha tha k 6 hijri jamadi ul awal mein musalmano ny ousy giraftar keya or sara maal ly leya.
Hazrat Zainab r.a ny ous ko panah di.
Aap r.a ke sifarish par ous ka maal wapis kar deya geya.
Abu Al’aas Makkah gy tou sub sy poucha k mery zimmy kisi ka maal tou nai?
sub ny kaha k nai.
Kalma shahadat parha or phir Muharam 7 hijri mein Madeena aa kar izhaar e islaam keya.
Msg 22

Hazrat Zainab r.a ny 8 hijri mein intaqaal farmaya oun ke oulaad mein aik larka jo oun ke zindgi mein he chouti umer mein wafaat paa geya or aik larki Umama thee..
Aap S.A.WW ko apni nwasi Umama sy bohat muhabat thee.
Hazrat Fatima r.a ny marty waqt Hazrat Ali r.a ko yeh wasiyat ke thee k mery marny k baad Umama sy nikkah kar laina, is tarah Hazrat Zubair bin awaam r a ny Hazrat Umama r.a ka nikkah Hazrat Ali r.a sy kar deya.
Msg 23

Hazrat Ruqiya r.a

Aap r a ka nikkah Utba bin Abu lahab sy hoa .
Jab Aap S A.WW ny tableegh ka kaam shuru keya tou Aap S.A.WW ko takleef pohanchany k leay kuffar e Makka ny Aap S.A WW ke beiti ko talaaq dainy k leay kaha.
Abu lahab k baity ny Hazrat Ruqiya r.a ko talaaq dy de.
Msg 24

Hazrat Umm e Kalsoom r.a

Hazrat Umm e kalsoom r. a ka nikkah bhe Abu lahab k baity sy hoa tha oun ko bhe talaaq dainy k leay kuffar ny kaha tha tou ous ny talaaq dy di.

Hazrat Fatima r.a

Aap r.a ka naam Fatima Zahra r.a or Batool laqab tha.
Aap r.a apny husn o jamal ke wajah sy zahra kehlati theein
Hijrat k 2 saal baad Aap S.A.WW ny in ka nikkah Hazrat Ali r.a sy kar deya.
Aap S.A.WW ny Hazrat Ali r.a sy poucha k tumhary pass kuch hy?
Msg 25

aap r.a ny kaha k aik ghora or aik zirah hy.
Farmaya ghora jehad k leay rakho or zirah farokht kar do jo Hazrat Uaman r.a ny 480 dirham mein khareeedi.
Is tarah aap r.a ka nikkah Hazrat Ali r.a sy ho geya.
jehaiz mein aik lehaaf, aik chamry ka takiya jis mein khajoor ke chaal bhari thee, 2 chakiyan, 1 mashk, or 2 ghary thy.
Msg 26

Isi saal Maah e zil hajj mein rasm e aroosi ada ke gi.
Aap S.A.WW ko apny ehal mein Hazrat Fatima r.a sy sub sy ziada muhabat thee.
Aap S.A.WW safar par jaty tou apni piari beiti sy mil kar jaty or wapsi par sub sy pehly aap r a sy milty.
Aap S.A.WW ny farmaya,
“jis ny Fatima ko naraz keya ous ny mujhy naraz keya”
or Oun ke nisbat Aap S.A.WW ny farmaya k,
Sahabzadion mein Hazrat Fatima r.a sy silsila e nasal jari rahy ga or qayamat tak jari rahy ga.
Msg 27

Hazrat Abdulla r.a

Hazrat Khadeeja r.a ke oulaad mein sub sy chouty Hazrat Abdullah thy jo be’asat sy baad paida hoay or bachpan mein he intaqaal farmaya.
Tayab or Tahir aap k laqab hein.

Hazrat Ibrahim r.a

Aap S.A.WW ke sub sy aakhri oulaad Hazrat Ibrahim r.a jo Hazrat Mariya qabtiya k batan sy thy.
Hazrat Ibrahim r.a ka naam Khaleel Allah k naam par rakha geya.
Hazrat Ibrahim r.a ny Umm e Souf k haan intaqaal farmaya.
Aap S.A.WW ko khabar hoe k Ibrahim r a nazaa ke halat mein hein
Aap Hazrat AbdulRahman bin aouf r.a k sath wahan pohanchy.
Msg 28

Hazrat Ibrahim r.a ko Aap S.A.WW ny outhya aankhon sy aansoo jari ho gy.
Hazrat Abdulrehman ny arz keya,
Ya Rasool Allah Aap bhe…??
Aap S.A.WW ny farmaya k, yeh rona tashakur ka hy phir farmaya,
Ibrahim hum teri judaai sy ghamgeen hein aankhein ashkbaar hein magar hum kehty hein jis par hamara Rab razi.

Jannat al baqee mein namaz e janaza parhai or dafan farmaya.
Aap S.A.WW k ishary sy aik insari pani ke mashk ly aaya Aap S.A.WW ny qabar par chirki or shanakht k leay nishan laga deya.
Aik riwaya k mutabiq Hazrat Ibrahim ke umer 18 ya 19 maah thee. End



 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Allah ny salam bheija Aap S.A.WW ke zouja mohtarma,
a. Hazrat Hafsaa r.a
b. Hazrat Ayesha r.a
c. Hazrat Khadija r.a

2. Aap S.A.WW ko azwaaj e mutahiraat mein sub sy ziada muhabat thee,
a. Hazrat Ayesha r.a
b. Hazrat Sawda r.a
c. Hazrat Zainab r.a

3. Hazrat Ibrahim r.a ke walida theein,
a. Hazrat Khadija r.a
b. Hazrat Mariya qabtiya r.a
c. Hazrat Umm e Salma r.a

4. Hazrat Zainab r.a ka nikka hoa,
a. Utba sy
b. Abu Al’aas sy
c. Hazrat Ali r.a sy

5. Nikkah k waqt Hazrat Jawaria ke umer thee,
a. 16 saal
b. 18 saal
c. 20 saal

Fill in the blanks /5 

1. Aap S.A.WW ny ___ ke zindagi mein dousri shadi na ke.
2. Azwaaj e mutahiraat mein sub sy aakhir mein ___ ny wafaat paai.
3. Hazrat Zainab ka nikkah ____ ny Aap S.A.WW sy keya.
4. Aap S.A.WW ko apni oulaad mein sub sy ziada muhabat ____ sy thee.
5. Aap S.A.WW ny Hazrat Ibrahim r.a ke qabar par ____ chirka.

True / False /5 

1. Aap S.A.WW ke tamam oulaad Hazrat Khadija r.a k batan sy hoe.
2. Hazrat Zainab r.a ke pehli shadi Hazrat Khadija r.a k ghulam sy hoe.
3. Hazrat Ruqiya r.a ka nikkah Abu Jehal k baity sy hoa.
4. Hazrat Abdullah r.a Aap S.A.WW ke aakhri oulaad thy.
5. Hazrat Fatima r.a apny husn o jamal ke wajah sy Zahra kehlati theein.

Short Question / Answers /15 

1. Umm ul Masakeen kis ke kuniyat thee or kis wajah sy thee?
2. Kis zouja mohatarma r.a ka nikkah Nijashi ny Aap S.AWW krwaya?
3. Aap S.A.WW ke oulaad e karam ke tadaad kitni hy ??
naam btaein
4. Aap S.A WW ke oulaad mein sy Tayab or Tahir kis ka laqab tha?
5. Ap S.A WW ny apni kis sahabzadi sy nasal jari rehny ka frmaya or kia farmya?
End


 

ANSWER SHEET

MCQ’s /5

1. (c)
2. (a)
3. (b)
4. (b)
5. (c)

Fill in the blanks /5

1. Hazrat Khadija r.a
2. Umm e salma r.a
3. Allah ny
4. Hazrat Fatima r.a
5. Pani

True / False

1. ✖
2. ✔
3. ✖
4. ✖
5. ✔

Short Answers

A1. Hazrat Zainab Bint e khazeeima ke kion Aap r.a masakeen ko kasrat sy khana khilaya karti theein.

A2. Umm e Habiba r.a sy

A3. 7
1. Hazrat Qasim r.a
2. Hazrat Zainab r.a
3. Hazrat Ruqiya r.a
4. Hazrat Umm e kalsoom r.a
5. Hazrat Fatima r.a
6. Hazrat Abdullah r.a
7. Hazrat Ibrahim r.a

A4. Hazrat Abdullah r.a ka

A5. Aap S.A.WW ny farmaya k,
Sahabzadion mein Hazrat Fatima r.a sy silsila e nasal jari rahy ga or qayamat tak jari rahy ga.
End


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *