Step 5 – PIYARE AAQA S.A.W.W ki Hayat e Tayba (Day 65)


Piary Aaqa S.A.WW Ke Hayat E Tayyba

“MOAJZAAT”
 “VASSAL”


 Piary Aaqa S.A.WW k Moajzaat

Moajza Anmbiya karam sy oun ke nabuwat ke sadaqat ko zahir karny k leay kisi aisi ta’ajub angaiz cheeze ka zahir hona jo aadatan nai hoa krti or isi khilaaf aadat zahir hony wali cheeze ka naam moajza hy.
Har Nabi ka moajza ous ke nabuwat ka sabout or dalaail hota hy.
Har Nabi ko ous dour k mahool or ous ke ummat k mizaaj k mutabiq moajzaat sy nwaza geya.
Hazoor e Aqdas S.A.WW k moajzaat ke tadad ka shumaar karna intehaai dushwaar hy.
Yahan par chand aik moajzaat ka zikar keya jaye ga.
Msg 2

Ounglion sy Chashma Ke Tarah Pani Jari Hona

Hazrat Salim Bin Ja’ad riwayat karty hein k Khudaibiya k din logon ko piyas lagi lakin pani nai tha.
Aap S.A.WW k pass aik chagal thee Aap S.A.WW ny ous sy wazoo farmaya tou log pani ke taraf doury.
Aap S..A.WW ny poucha k tumy keya hoa arz keya k is pani k siwa na peeny ka pani hy na wazoo karny ka….
Aap S.A WW ny apna dast e mubarik chaghal par rakha tou Aap S.A WW ke ounglion sy chashmy ke tarah pani nikalny laga.
sub ny pehly wazoo keya
Msg 3

Hazrat Salim r a farmaty hein main ny Hazrat Jabir r.a sy poucha k tum kitny log thy kaha k dairh hazaar (1500) agar aik laakh bhe hoty tou wo pani kafi tha.
Aap S.A.WW sy muta’adid jaghon par yeh waqoo pazeer hoa. is k ravi Hazrat Jabir bin Abdullah r.a , Hazrat Anis bin malik r a,
Abdullah bin masood r.a
Hazrat Abdullah bin Abbas r.a
Hazrat Abu Ya’ala insari r.a hein
Msg 4

MURDA BAKRI KA ZINDA HONA

Ghazwa e khabar k baad Salam bin mashkam yahoudi ke bivi ny bakri ka zehar aaloud gosht bhoun kar Aap S.A.WW ke khidmat e aqdas mein bheija.
Aap S..A.WW bakri ka bazoo outha kar khany lagy tou bazoo bol para k mujh mein zehar mila hy. .
Yahoudiya ko bula kar poucha geya tou ous ny zehar milany ka aitraaf keya
Yeh moajza murdy k zinda krny sy bhe ziada hy kion k murda bakri k aik hissy ka bolna bohat bara moajza hy.
Msg 5

Aap S.A.WW ka Vasal

Maah e safar 11 hijri k aaghaz mein Aap S.A.WW aik roz Ouhad tashreef ly gy or shuhda e Ouhad k leay dua e maghfirat ki.
Wapis aa kar khutba farmaya,
“Logo…!!!
main tum sy pehly rukhsat hony wala hon or Allah k saamny tumhary leay shahadat dainy wala hon..
Wallah Main hoz e kousar ko yahan sy daikh raha hon, mujhy saltanaton k khazanon ke kunjiyan tafweez kar di gi hein.
Yanj mukhtalif mumalik dawat e islam qabool karny k nateejy mein khatam hony waly hein.
Mujhy yeh andaisha nai k mery baad mushrik ho jao gy dar yeh hy k duyavi mufaad mein na parr jao”
Aadhi raat ko jannat al baqee mein tashreef ly pgy, ehl e qaboor k leay dua e maghfirat farmaei or farmaya,
“Hum bhe tum sy jald aa milny waly hein”
Msg 6

Aap S.A.WW marz e mout mein bhe apni zima dariyan pouri farmaty rahy.
Tabouk or Mouta k ma’aarky abhe baqi thy k is halat mein bhe logon ko ghazwa e Room ke tayari ka hukm deya.
Agly din Hazrat Usama bin Zaid r.a ko is muhim ka sipah salaar muqarar keya
or farmaya Allah k naam sy apny baap k maqaam e shahadat tak pohancho or jo
khuda sy inkar kry ous par hamla kro phir apny hathon sy alam tayat farma kar Hazrat Bureeda aslami r.a ko ata farmaya.
Msg 7

Aik din zohar ke namaz k waqt marz mein kuch afaaqa hoa tou farmaya k pani ke saat (7) mashkein mery ouper dalein jab Aap S.A WW ny ghussal farma leya tou Hazrat Abbas r.a or Hazrat Ali r.a Aap S.A WW ka bazoo pakar kar masjid mein laaye Hazrat Abu Bakar r.a namaz parha rahy thy. Aahat paa kr Hazrat Abu Bakar r.a peechy hatny lagy.
Aap S.A.WW ny ishary sy rok deya or oun k pehloo mein baith kar namaz parhi.
Aap S.A.WW ke bimari k doran Hazrat Abu Bakar r.a amamat k faraaiz ada karty rahy.
Msg 8

Namaz k baad Aap S..A.WW ny khutba deya jis mein bohat si wasiyatein or ehkaam e islaam biyan farmaye.
Insaar k fazaail or oun k haqooq k bary mein biyan farmaya.
phir sorat Al-Asar or aik aayt tilawat farmaei.
Aap S.A.WW ny farmaya,
“Tum mein sy pehly aisy log guzry hein jinhon ny anmbiya ke qabron ko sajda gaah bana leya tum aisa na krna or meri qabar ko sajda gaah na banana.ous qoum par Allah ka sakht ghazab hoa jis ny anmbiya ke qabron ko sajda gaah banaya Main tumy aisa karny sy mana kar raha hon. Daikho main ny baat pohancha di.
Elaahi Too gawah rehna.
2 Shanmba k roz tabiyat achi thee hujry ka parda outha kar daikha tou log namaz parh rahy thy Aap S.A.WW ko daikh kar khush hoay
Msg 9

Sahaba r.a ny samjha k Aap S.A.WW masjid mein aana chahty hein magar Aap S.A.WW ny hujry mein dakhil ho kar parda gira deya. yeh aakhri mouqa tha k sahaba r.a ny jamal e nabuwat ke ziyarat ke ous k baad baar baar ghashi k doury party.
Vassal sy thori dair pehly Hazrat Ayesha r.a k bhai Hazrat Abdul Rehman r.a taza miswak ly kar hazir hoay Aap S..A.WW ny oun ke taraf daikha.
Hazrat Ayesha r.a ny samjh leya k miswak ke khawaish hy.
Ouno ny apny daanton sy miswak naram ke or Aap S.A.WW k dast e Aqdas mein dy di.
Aap S.A.WW ny miswak farnaei dopehar ka waqt tha k Aap k saans mein kharkharahat hony lagi, Aap S.A.WW k lab mubarik hily or yeh lafz ada hoay….
Namaz,
Loundi,
or
Ghulaam
Msg 10

Pass saaf pani ka aik lagan tha ous mein baar baat hath maarty or chehra e aqdas par malty or kalma parhty,
sar e aqdas Hazrat Ayesha r a k seena mubarik sy laga tha Aap S.A.WW ny oungli sy ishara keya or farmaya,
ALLAH HUMA FI RAFEEQ ALLAH ALAA.
or rooh pak jism e aqdas sy parwaz farma gi.
Sadmy sy sahaba r.a ka bura haal tha.
Hazrat Umer r.a gham sy nidhaal thy or talwar ly kar bahir nikly or kaha k jis ny kaha k Aap S.A.WW visal paa gy hein main ous ke gardan ourraa doun ga.
Msg 11

Hazrat Ali r.a ny Aap S.A.WW ko ghussal deya,
Hazrat Fazal bin Abbas r.a ny Aap S.A.WW ka pehloo badalny mein Hazrat Ali r.a ke madad ke.
Hazrat Qam bin Abbas r.a
Hazrat Usama r.a
or Hazoor S.A.WW ka ghulam Shakraan pani daal rahy thy.
siwaye Hazrat Ali r.a k sub ny aankhon par pat’ti bandh rakhi thee k jism mubarik par nazar na pary.
Aap S.A.WW k kafan mein teen souti kapry thy jin mein qameez or amama na thy.
Hazrat Abu Talha insari r a ny lehad mubarik khoudi, namaz hujry k andr bghair amamat parhi gi.
pehly
mardon ny
phir
aourton ny, .
bachon ny,
ghulamon ny namaz ada ke.
Aap S.A.WW ko ousi hujry mein dafan keya geya jahan Aap S.A WW ka vasaal hoa.
Msg 12

Aap S.A.WW ny batoar e miraas kuch na chora chunachy Aap S.AWW ka irshad hy k,
Hum (anmbiya) kisi ko waris nai banaty hum jo kuch chor gy wo sub ka hy we waqf hy.(bukhari sharif)
Hazoor S.A.WW ny vmiraas mein na koe deenar choura na dirham na koe ghulam na londi…
Magar jo kuch Hazrat Ayesha r.a k pass tha 6 ya 7 dirham wo bhe sadqa kar deya
Aap S.A.WW k tarky mein sufaid khachar (duldul) or kuch hathiyar thy.
Duldul or Zulfiqaar talwar Hazrat Ali r.a k pass thee wo oun k pass he rahe.
Msg 13


 

*~* Piary Aaqa S.A.WW or Sahaba r.a Ke Muhabbat*~*

Aap S.A.WW ny farmaya k,
Tum mein sy koe ous waqt tak momin nai ho sakta, jb tak k main ous k nazdeek, ous k walidain, aoulaad, or tamam logon sy ziada Mehboob na ho jaoun.
Or sahaba karaam r.a is silsily mein apni misaal aap thay, or oun ke muhabbat ke an’ginat misalain mojoud hein.
Msg 14

Hijrat k mouqa par jb Aap S.A.WW Yaar-E-Ghaar k sath Ghaar-E-Soor mein thay, or Hazrat Abu Bakar siddique r.a ke goud mein sar rakh kar so rahay thay, tou aik saanp ny hazrat Abu Bakar r.a k paoun ko kaat leya, magar muhabat ka yeh aalam tha k takleef bardasht kar li, magar Aap S.A.WW ko na jagaya…
riwayat hy k Piaray Aaqa-E-Do-Aalam S.A.WW apny baal katwaty tou zameen par na girny daity.
Aap S.A.WW ny farmaya,
“Mery sahaba r.a sitaron ke manind hein in mein sy jis ke pairvi kro gy hidayat pao gy”
Msg 15

Aa S.A.WW ny farmaya “Allah ny mera intakhab farmaya or meri suhbat k leay mery sahaba ka Intakhab farmaya”
Aap S.A.WW wazoo frrma rahay thay, or sahaba r.a ird gird jama hoay thay,
*Jism-E-Aqdas* sy wazoo ka aik qatra bhe juda na hota k yeh parwanay ousy apny hathon sy rok laitay,
or apny jism or chehron par mal laity.
Aik bar Hazrat Usman r.a ny AAp S.A.WW ke dawat ke, AAp S.A.WW oun k ghar janay lagay tou Hazrat Usman r.a
*Qadam Mubarik* gin’nay lagay…
AAp S.A.WW ny poucha tou arz keya, k aik aik aadam k sadqy mein aik aik ghulaam azaad karön ga.
Msg 16

Aap S.A.WW ke muhabbat is farman sy bhe zahir ho rahe hy.
“Haq ko paany k leay mery or mery sahaba r.a par aitamad zaroori hy”
Hazrat Abu Bakar r.a tamam sahaba mein mumtaz hein.
Aap S.A.WW ny Hazrat Abu Bakar Siddique r.a k baray mein farmaya,
“Main ny sab k ehsanaat ka badla chuka deya hy lakin Abu Bakar r.a k ehsanaat ka badla Allah qayamat k din chukaey ga”
Sababa r.a Aap S.A.WW ke mehfil mein hamesha khamosh rehty or jab tak Aap S.A.WW bolty koe or na bolta, kabhe Aap S.A.WW sy aagy na chlaty hamesha peechy chalty.
Msg 17

Piaray Aaqa S.A.WW ko Hazrat Ali r.a sy bohat muhabat thee farmaya:
“Main ilm ka shehar hon or Ali r.a is ka darwaza hy”
Aap S.A.WW ko apny sahabi abi Bin Ka’ab r.a sy is darja muhabt thee k quraan ka bra qaari honay ki waja sy in ko qariyon ka sardaar kehty or yeh keh kr apni muhabbat ka izhar farmaya k Allah ny tumhara naam lay kar mujhay quran sun’ny ka hukam deya hy.
Msg 18

Agar koe sahabi r.a 2, 3 din hazir e khidmat na hota tou Aap S.A.WW ous k bary mein daryaft farmaty or agar bimaar hota tou bimar pursi farmaty.
Badar k maidan mein Aap S.A.WW apni chari sy safein daruat fama rahy thy k aik sahabi line sy aagy nikal aaye.
Aap S.A.WW ny oun k pait par chari maar kar peechy hatny k leay kaha tou ouno ny badla lainy ka kaha, Aap ny badla lainy ka kaha tou wo Aap S.A.WW k jism e mubarik sy lipt gy or Aap S.A.WW k pait ko choumny lagy or kaha k main badly k bahany Aap S.A.WW ko piar karna chahta tha.
End



 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s/5

1. Moajza Nabi ke Nabuwat ke
a. daleel hota hy
b. aaghaz hota hy
c. izhar hota hy

2. Aap S.A.WW ny pani ke mashkein daalny ka farmaya,
a. 5
b. 7
c. 9

3. Aap S.A.WW ko dafan keya geya,
a. jis hujry mein vasaal hoa
b. jannat ul baqee mein
c. Makkah mein

4. Aap S.A.WW ny farmaya mery sahaba r.a hein,
a. frishton ke manind
b. sitaron ke manind
c. anmbiya ke manind

5. Sahabion r.a mein mumtaz sahabi hein,
a. Hazrat Umer r.a
b. Hazrat Usman r.a
c. Hazrat Abu Bakar r.s

Fill in the blanks /5 

1. Aap S.A.WW ke ___ sy chashma jari ho geya.
2. Hazrat ___ or ___ Aap S.A.WW ko masjid mein ly gy.
3. Aap S.A.WW ko ____ k dory parny lagy.
4. Sahaba Karam r.a Aap S.A.WW sy muhabat mein apni ___ aap thy.
5. Hazrat Uaman r.a ny Aap S.A.WW k qadam mubarik k brabar ___ azad krny ka kaha.

True / False /5 

1. Yahoudia ny zehar milany ka iqrar na keya.
2. Aap S.A.WW ke bimari k doran Hazrat Abu Bakar r.a ny amamat karwaei.
3. Aap Sahaba r.a ke mizaj pursi na farmaty.
4. Hazrat Abi Bin Ka’ab qarion k sardar thy.
5. Aap S.A.WW ke namaz e janaza sub ny bari bari ada ke.

Short Question / Answers /15

1. Moajza kisy kehty hein?
2. Aap S.A.WW k tarky mein kia tha or wo kis ko mila?
3. Aap S.A.WW ny apny aakhri khutby mein kin amour sy mutaliq baat ke?
4. Aap S.A.WW ny aakhri ilfaaz kia ada farmaye?
5. Aap S.A.WW Hazrat Abu Bakar r.a k bary mein kia farmaty?
End


 

ANSWER SHEET

MCQ’s /5

1. (a)
2. (b)
3. (a)
4. (b)
5. (c)

Fill in the blanks /5

1. ounglion
2. Hazrat Abbas r.a / Hazrat Ali r.a
3. ghashi
4. misal
5. gulam

True / False 

1. ✖
2. ✔
3. ✖
4. ✔
5. ✔

Short Answers

A1. kisi aisi ta’ajub angaiz cheeze ka zahir hona jo aadatan nai hoa krti or isi khilaaf aadat zahir hony wali cheeze ka naam moajza hy.

A2. Aap S.A.WW k tarky mein aik khachar (duldul) or aik talwar (zulfiqaar) thee
dono cheezain Hazrat Ali r.a ko milein

A3. Aap S..A.WW ny khutba mein bohat si wasiyatein or ehkaam e islaam biyan farmaye.
Insaar k fazaail or oun k haqooq k bary mein biyan farmaya.

A4. ALLAHA HUMA FI RAFFEQ ALLAH ALAA

A5. Aap S.A.WW ny Hazrat Abu Bakar Siddique r.a k baray mein farmaya,
“Main ny sab k ehsanaat ka badla chuka deya hy lakin Abu Bakar r.a k ehsanaat ka badla Allah qayamat k din chukaey ga”
End


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *