Step 6 – Teray Rang Rang

*~*Step 6 Krwanay K Maqasid*~*

 

1. Is step k 2 parts hein.

Part A ka naam hy,
“Tere Rangg Rangg.”

Or Part B ka naam hy,
“Har Jagah Mein Too Samaya Hy.”

Is step mein zindgi k mamoolat or moaamlaat mein Allah ke Shan/Sifaat ka ihsas e aashnai baidar kar k yeh pehchan karai jati hy k Oss ke yeh Shan/Sifaat kaisay har soo or har lamha is duniya mein ham par jalwa garr hein.

2. Is step mein Allah ke Sifaat ka ihsas e aashnai dil mein baidar hota hy k Allah apni tamam tarr siffat k sath hamari zindgi k har moamlay mein har lamha jalwa garr hy.

3. Allah ke siffat par emaan lana hamary Allah par emaan ka hissa hy.
(Jaisay k Eman e Mujamal mein bhe hy k Main Eman laya Allah par, Os k Namon or Siffat par jaisay k Wo hy)
Is step mein zindgi k roz marra mamoolat or moamlat mein ham par jalwa garr honay wali siffat ko jab har lamha talasha jata hy tou yeh talash ka amal hamein zabani kalami yaqeen sy nikaal kar haqeeqi taor par Allah par hamaray emaan ko mazboot sy mazboot karta ja raha hota hy.

4. Is step mein jab lamha lamha Allah ke siffat ke jalwa garri ka ihsas dil mein outar raha hota hy tou hamaray emaan k mazboot sy mazboot tarr honay ke wajah sy hamaray dil ke halat or ihsas o soch k badalny ke wajah sy zindgi k mamoolat o moamlaat mein wazeh tabdeeli anay lagti hy jo k hamein Allah ke qurbat ke tarf barhati hy.

5. Allah ke siffat par yaqeen hamaray dil mein outarta hy tou dil k Noor e Emani ko barhata hy jis sy hamaray andar emaan ke roshni barhti hy, zulmat k andheray dour honay lagtay hein or is ke wajah sy hamein haq ke rah wazeh or saaf nazar aanay lagti hy.
Dil sy dua :)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *