Tip # 13 : AIK k Ihsas Sy Wabasta Hona

“Tip 13”

AIK k Ihsas Sy Wabasta Hona

Aashiq k leay har ihsas Mashooq sy wabasta hota hy…
Ye baat har aashiq kehta bhe hy…
Par yahan par sirf alfaaz keh dainay ya kehtay rehnay sy kaam nahi chalay ga…
Yahan agar aashiq zindagi ke routine k mukhtalif maoqon par khud ko check karay tou osay khud ko bakhoobi andaza ho jaaey ga k kab kab kahan kahan or kitna kitna main sirf kisi aik k ihsas k sath kisi bhe situation sy nikalta hon…
Maslan….
Gham ka khushi mein dhal jana osi aik sy ho…
Beyaqeeni or mayousi sy nikal k yaqeen or umeed ke raah pakarrnay ke waja wohi aik ho…
Girtay hoay thaam lainay wala osi aik ko daikhna chahein…
Phansay hoay hon tou hath thaam k nikaal lainay k leay osi aik ka hath thamna chahein…etc
Aisay har maokay para agar aashiq ko sirf mashooq ke nazar aata hy tou he theek hy…
Or agar mukhtlif maoqon par mukhtalif hawalay nazar aatay hein tou samjho k aashiq aik jaga focus nai kar raha… os k ishq ke power idhar oudhar divert ho rahe hy…
Aashiq har maoqay par aik he jaga focus rakh k power batrha sakta hy… or ye wo power hoti hy jo aashiq oo Mashooq k sath mazbooti sy baandhay rakhti hy… ab agar isay divert kar deya tou power kam or Mashooq k bandhay honay mein bhe outni he kami rehti jaaey ge…
Ab khud ko is point par check karein or aagay bhe khud par is hawalay sy nazar rakhein k aik par he kharra rehtay hein zindagi k mukhtlif maoqon par ya nahi…???
Ishq Salaamat:-)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *