Tip # 19 : Mashooq ke Pasand or Shoq Apnana.

 “Tip 19”

 Mashooq ke Pasand or  Shoq Apnana.

Mashooq k pasand or shoq ko apne pasand or shoq bana lo…
Mashooq k leay hamysha kisi bhe aashiq k yehi alfaaz hotay hein k…
Tere leay mere jaisay laakhon par mere leay tou aik bus Too…
Ab jahan Mashooq k leay laakhon ka yaqeen hota hy tou wahan Mashooq ke nazron mein aanay or tawaju paanay k leay aashiq bohat kuch karta rehta hy…
Is bohat kuch mein aik bohat khaas point hy k jisay agar aashiq pakarr ly tou wo bohat had tak Mashooq ke tawaju haasil karnay mein kamiyaab ho jata hy…
… Or wo hy Mashooq ke pasand or shoq ko apne pasand or shoq bana laina…
Is tara jab pasand or shoq aik jaisay hon gy tou khud bakhud…
Mashooq or Aashiq ke pasand or shoq ka markaz aik honay ke waja sy Mashooq k baki aashiqon ke nisbat kuch ziada tawaju haasil karna ke raah aasaan ho jaey ge…
Maslan agar kisi Mashooq ko Radio soun’na pasand hy… tou ab agar aashiq radio na sounta ho tou zaahir hy shoq ka markaz aik na honay ke waja sy tawaju haasil karna mushkil ho ga…
Laikin agar aashiq radio ko apna shoq bana k soun’na start kar dy tou Mashooq or aashiq ke pasand or shoq ka markaz aik ho geya…
… Ab is ke waja sy aapas mein baat cheet… achay buray programs par discussion…
Kisi baat par mil k hansna…
Os par aanay walay songs mein pasand napasand par baat karna… os par aanay wali news par baat karna or aisay he different baatein…
Different iqsaam k radio or oun k rates par baat karna…
Radio kharab honay par osay theek karaanay k leay mashwara weghira…
Aisay he Mashooq k kisi bhe shoq ya pasand ko apna shoq ya pasand bana laina aashiq k leay Mashooq ke qurbat paanay ka aik bohat barra zariye ban sakta hy…
Chahay Mashooq Allah ho, Piaray Aaqa S.A.WW ya koe bhe Allah wala…
Pasand or shoq ka markaz aik bananay ke koshish mein lagay rehna aashiq k leay intahaai zarori hy.
Note
Is tip ko aap kaisay samjhay…??
Kisi or example sy isay waazeh karein tou bohat acha lagay ga…
Ishq Salaamat:-)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *