Tip # 40 : Worker k liay manzil ki chah ki ehmiyat

“Worker k liay manzil ki chah ki ehmiyat” 

Worker ko har lamha ye ehsas hona zarooori hai k wo kis manzil ki chah mein khud ko jhuka raha hai….
Usky har amal k peeche kia niyat aur kia maqsad hai…..
Iska ehsas dil mein utra hua hona zaroori hai…..
Hamari manzil ki chah ham se sab karwati hai….
Chahay wo worker ki working ho ya uska zaat par kaam, kiun kah jab ham har amal kisi khaas maqsad k liye karty hain aur apny ehsas ki door ko manzil ki chah k sath bandh lety hain to hamara har amal aur us se jurray tamam ehsasat badal jaty hain..
.
Tab ham zaat se hath uthaty hain aur manzil ki chah mein har qadam zaat par rakh kar aagy barhty hain…
Har wo qadam manzil ki janib barhta hai jo zaat par parrta hai.
Jo qadam zaat par na parra, wo manzil ki janib na barha….
Aik worker k jhukny k liye zaroori hai k uska har qadam zaat par parray aur manzil k liye agay barhay…..
Tasleem na karna, na jhukna hamari zaat mein phasna hai aur zaat mein phasna hamary markaz se hamara fasla barha deta hai….
Or agar markaz ki ehmiyat ziada ho, to zaat kaatna mushkil nai aur agar zaat ki ehmiyat ho to manzil aur markaz se doori koi maani nai rakhti…..
Is liye aik worker hemesha apni zaat ko manzil ki chah mein kaat kar jhuk jata hai… Aur qurbat mein qadam agay barhaty hue zaat par kaam ka safar aur working jaari rakhta hai.

از : ❤ شاہ جی

? “حق کا علم تھامے رکھنا” ?
(محمدی حسینی سلسلہ )


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *