Tip # 6 : Aashiq Hassa aur Behiss

“TIP 6”

Aaashiq jahan duniya k hasaas tareen insaan hota hy… waheen wo behiss tareen insaan bhe hota hy…

Aashiq intahaai hasaas hota hy par sirf apnay Mashooq k leay… Or behiss tareen bhe hota hy aisay k dunia k koe ihsas jis mein garmi sardi, bhook piyaas, khail kood, khushi ghamm, khubsurti badsurti…etc
Koe bhe is par apna ihsas nahi chorrta…
Os ka har ihsas Mashooq k ihsas sy shuru ho k osi par khatam ho jata hy…
Aashiq sardi garmi, khushi gham ya rona hansna…etc saray ihsasaat mein sirf aik Mashooq sy wabasta hotay hein or wo har ihsas mein Mashooq ke qurbat ka maza laita hy…
chahay wo bazaahir hans raha ho ya ro raha ho, sardi mein ho ya garmi mein… wo bus Mashooq ke qurbat k mazay mein hota hy…
Tou ab Aashiq behis hoa ba k os k ihsas bahir k masmon or halaat or nazaron k taghaira o tabadul k sath nahi badaltay… bulky os k ihsas bus jaamid ho chukay hotay hein aik Mashooq k ihsas k sath…
Or aashiq ko agar hassa tareen kahein tou wo aisay k…
Aashiq chalti hawa… Chamkta or garmi barsata sooraj ya thandi chaandni…
Har ihsas ko feel karta hy…
Wo sar sabaz maidano ke khubsurti ho ya pathrelay pahrron ke bulaindi…behtay dariyaaon ke taizi ho ya jheel ka pursakoon gerhri pani, aasmaan ke wusatein hon ya tang guzargahein…
Baadal barsaat baarish ke rim jhim ho ya taptay hoay dour dour tak phailay sehraon k saraab hon, aashiw oun sehraon k saraabon samait … har cheez ya mahaol or nazaray mein sy aashiq apnay mashooq ka ihsaas talaash laita hy…
Jab k baki log aisay har nazaray k ihsasaat ko kisi aik sy relat nai kar saktay…
Wo sabzay barishon or thandak mein khush hotay hein or garmi ougalta sooraj pathreelay paharron or srhraaon k saraabon sy upset or paryshan ho jatay hein…
Ab apna jaaizq laitay rehna hy k agar ham aashiq hein tou kis mahaol halaat or nazaron mein ham Mashooq k sath sy taskren oaatay hrin or kahan kahan miss kar jatay hein
Jitna miss kar jaatay hein outna hamara ishq ka level kam hy or osay fill karein…
Aisay ishq phailta jaaey ga or muheet hota jaaey ga zameeno aasmaano or is kaainaat ke wusaton ke tara…
Ab aashiq k apnay ikhtiyar mein hy k kitna phailata hy apnay ishq ko…
Note…
Ye jo nazaray main ny likhay hein na… yaqeen jaano k dil chahta tha k in k andar ke tafseel likhon…
Par mere pass itna time nahi…
Aap agar try karein tou aaj
Sehraaoun ke tapti rait os ke garmi or os k saraabon ko apnay ishq sy relatr kar k share karein…
Barra maza aey ga… :-)
Ishq Salamat :-)
Point 2 be noted..
Yahan rishton k ihsas nahi kahay gaey…
Jo point ka view dikhaya jaey osi ko pakrra karo.
Ishq Salamat?


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *