Topic # 1 : Nafs kia hai (Day : 1)

Topic 1
“Nafs kya hai”

Nafs hmare andar maujood ek khudkaar aala hy, jis ki wajah se khwaishaat janam leti hain. Ye khwaishaat musbat bhi hoti hain aur manfi bhi.
Musbat khwaishaat ALLAH❤ k rastay per aagay barhne ki taraf raaghib karti hain.
Aur manfi khwaishaat ka ta’aluq dunia aur uski lazaton se hota hai…Nafs ka manfi pehlu phansata hai. Aur agar musbat khwaishaat ghalba paati rahen , to hum nafs k hathon maghloob nahin hotay, balkay us per ghalba paa k haq ki raah pe aagay barhtay chalay jatay hain.
Nafs 3 qisam ka hota hai :
1. Nafs e Ammara
2. Nafs e Lawama
3. Nafs e Mutma’ina
?”حق بات”
شاه جى❤


Exercise

Blanks / 3 marks

1. Nafs hamare andar mojood aik khud kaar aala hai jis ki waja se ________ janam laiti hain.

2.______ khwahishaat Allah kay raasty par aagay barhny ki taraf raghab karti hain.

3. _____ khwahishaat ka taluq duniya aur uski lazato’n se hota hai.

Question

1.  kyaa Nafs syy agaahi honii chahiye ? Agrrr haan too kyun eham hai ye agahi hona ?


Answer key

 Blanks

1. Khwahishaat
2. Masbat
3. Manfi

Question:

Ye sabka apna jawab hoga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *