Topic 10 : Bohtaan

“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Bohtaan*
Piaray AAQA S.AWW nay Sahaba karaam r.a.a ko gheebat or bouhtan ka faraq samjhatay hoay farmaya…
“Agar jo baat kisi mein paae jate hy or tum os ka zikar kartay ho tou tum ny os ke gheebat ke… or agar aisi baat ka zikar kea jaey jo os mein paae he nahi jaey tou tum ny os par bouhtan baandha”
Allah hamein in buraaioun ke pahchan or in sy bachnay ke taofeeq atta karay.ameen
Dil sy dua :)
1


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Bohtaan*
Hazrat Abu Zar Ghafare r.a sy riwayat hy k Piaray AAQA S.A.WW ny farmaya…
“Jis nay kisi musalman k khilaaf ghalat baat phailaa k osay badnaam karay… Allah osay qiymat k din aag mein zaleel karay ga”
Allah hum sub ko jahanum ke aagg sy bachaey.ameen
Dil sy dua :)
2


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Bohtaan*
Khiyal rakhiye ga k…
kahein kisi k baray mein hamare raey ka izhaar bhutaan he na bann jaey…
kion ka ham ziada tar souni sounai baat par ya apne soch k mutabik kisi k baaray mein raaey ka izhaar kartay hein
Check ur self…!!
Dil sy dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Bohtaan*
Kisi shakhs k sath koe aisi baat ya amal mansoob kar k biyaan karna… jo k is mein na ho is shakhs par bouhtan lagana kahlata hy…
Aaj apna jaaiza lain k kia ham ny tou kabhe aisa kuch sarzad nahi ho geya…??
Dil sy dua :)
4


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Bohtaan*
Allah khud apnay bandoun mein moujhoud aaiboun ki parda poshe karta hy… or aisa karnay walon ko bhe pasand karta hy…
Sochiye…!
K agar hum kisi mein moujhoud aaiboun ki parda poshe karnay ke bajaey oultaa os par bohtaan lagaein gy tou kia Allah k pasandeda ban sakein gy…??
Dil sy dua :)
5


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum*
*Bohtaaan*
Jab Hamare raey ka izhar kisi paar bohtan ke surat lagta hy tou kabhe hum ny soucha k…
Log is shakhs ko kis nazar sy daikhnay lagtay hain or hamare chouti se baat ke waja sy os ke zindage kaisay ajeran ho sakte hy…
khiyal rakhiye ga k…
Kahein hamare kahe hoe be’buniaad batoun ke waja sy koe shakhs mushkil ya parshane ka shikaar tou nai ho geya…??
Think about it…!!
Dil sy dua :)
6


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *