Topic # 11 : Nafs per qaaboo pana ( Day : 11)

“Nafs per Qaaboo Paana”

Nafs ko hum kabhi khatam nahin kr saktay per us per hum qaaboo paa saktay hain.. Jis tarah kisi sarkash ghorray ko tarbiyat de kr qaaboo kia jaata hai aur usko lagaam daal kar us se apni marzi k mutaabiq kaam lia jaata hai bilkul usi tarah nafs ko lagaam daali ja sakti hai..
Beshak ye kaam bohat hi mushkil hota hai magar naa mumkin to nahin hota hai.. Jo log nafs per qaaboo paa letay hain wo bahaadur aur bebaak log hotay hain…
Dunia bahar se jab k nafs behkaata hai aur beemaar karta hai..Aur androoni bemaari bairooni bemaari se khatarnaak hoti hai… Kyun k ye bemaari andar hi andar phailti hai aur phir ahista ahista iskay asraat zaahir honay lagtay hain.. Nafs bhi aisay hi apnay jaal phailaata hai..pehlay ek soch bedaar hoti hai phir us per amal hota hai.. Is liay ye pehla kaam to ghalat soch ko hi tokna hua k iska nateeja kya hoga… Agar hum ghalat soch ko rok nahin saktay to phir us per amal na kar k uskay nateejay ko to kam az kam tabdeel kia ja sakta hai aur agar hum aisa bhi nahin kartay to phir nafs apnay maqsad mein kamyaab ho jaata hai aur uska nateeja hmaray samne hota hai…
?”حق بات”
شاہ جی❤


 

Exercise
(Objective only)

Blanks. ( 5 Marks )

1. Nafs ko ham kabhi khatam nai kar skty par uspar ham ______ paa skty hain.

2.Duniya bahir se jabkay nafs hamain _______ se behkata aur bimar karta hai.

3.Nafs pehle aik soch baidar karta aur phir uspar ______ hota hai, tou pehla qadam _____ ko rokna hai.

4. Androoni bimari, baironi bimari se ziada _______ hoti hai.

5.Nafs ko ______ daali ja skti hai.


 

Answer key

Blanks

1. Qaabu
2. Andar
3. Amal, soch
4. Khatarnaak
5. Lagam


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *