Topic # 12 : Nafs ka nachana (Day : 12)

“Nafs ka Nachana”

Hmari dunia ko khush krnay ki aadatein, hirs laalach, nafrat, ehsaas e bartari, khaandani hasab nasab ka fakhar o gharoor, khud gharzi, besabri aur zaati mufadaat ki khaatir ilzaam taraashi ya bugtaan laga dena nafs ki gandagi aur susti o kaahili ki wajaah se faraiz aur ehkaamat e deen se ghaflat baratna waghera wagera , ye sab nafs ki pasandeeda ghizaen hain..
Naf roz baroz mota taaza aur taaqatwar hota jata hai aur hum din badin us k shikanjay mein phans kr us se aazad honay mein kamzor hotay chalay jaatay hain..Hum ne nafs ko khud hi paala hota hai aur apni rooh ko uski ghizaa yaani amal e Saleh se mehroom rakh kr kamzor kr dia hota hai.. Afsos hai k jo apna dost aur saathi hota hai usko bhooka maartay hain aur dushman ko taaqatwar kar k uski khaatir madarat kartay hain..
Hum rohani taur per kamzor ho jatay hain aur is tarah mukhtalif tareeqon se nafs ka hmein phansana asaan ho jaata hai…
Aur phir nafs humein nachaata hai aur hum us k ishaaron per naachtay rehtay hain.. Aur hum nafs ki dugdugi per naachnay waalay bandar ban jatay hain..
?حق بات
شاہ جی❤


 

Exercise

True/False (3 Marks)

1. Nafs roz baroz kamzor hota jata hai.

2.Rooh ki ghaza amal saleh hai.

3. Khaandani hasb o nasb , nafs ki pasandeeda ghazaon mein se nai hai.

Question

1. Apni routine syy apny aaj ek point aisaa share krnaa hay kay jis mein Aap ny ” nafs ko uski pasandeeda ghazaa” faraham ki ..
Aurrrr ussyy taqatwarr banayeee usss kay nachanayy perrr nachtayyy rahayy….

?? mamlaa in short
?? kon sii ghazaa dii nafs ko (wazeh btana hai )
?? us point per aap ko nafs ny kaisay nachaayaa.. Aur is point kay samnay anay per ander kyaa ehsass huaa phir ?


 

Answer key

 True/False

1. False
2. True
3. False

Question:

Ye sabka apna jawab hoga


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *