Topic # 13 : Nafs, chupa dushman (Day : 13)

Nafs, Chupa dushman” 

Nafs humara khamosh aur chupa hua dushman hai iska waar bhi samnay nazar nahi aata. Ye jab kisi ko phasata hai to pata bhi nahi chalnay deta aur iska waar kaam dikha jata hai. Nafs ki ek aur chalaaki ye hai kay ye nuqsan hotay waqt mehsus bhi nahi honay deta kay humara nuqsan ho raha hai. Ye bohat chalaki sy insan ko apnay saath mila kar saray kaam krata hai aur jab achi tarha koi phas jata hai to wo ussi phasay rehnay mein khush rehta hai kyun kay uskay jaal mein phasnay kay baaad us mein sy nikalnay mein takleef ho rahi hoti hai. Nafs zada tar humain humari zaat mein phasata hai kyun kay zaat sy azadi hi ALLAH❤ ki qurbat atta krti hai.Nafs apnay jaal mein phasa kay humain zinda hotay huay bhi murda dil yaani murda zameer banaye rkhta hai. Nafs har ulta kaam krata hai agar hum koi kaam seedha bhi kerna chahain to wo uskay liye humain do chaar ultay seedhay rastay dikhanay lagta hai. Ye nafs hi hai jo har us shakhs sy nafrat peda krta hai jis sy kbhi humari anaa par chot pari yaa jiski waja sy humara koi nuqsan hua ho yaa jo humain humari zaat mein phasay honay ka ehsas bedaar kraaye. Nafs hi humain apna matluba o mutawaqa nateeja haasil na honay par humain ALLAH ❤ ki Rehmat sy mayus krtaa haii.
?حق بات
شاہ جی❤


 

Exercise
(Objective only)

MCQ’s

1. Nafs hamara khamosh aur chuppa hua _______ hai.

a) dushman
b) sathi
c) pehlu

2.Nafs ziada tarr hamain hamari ______ mein phasata hai.

a) chaal
b) zaat
c) nazar

3.  Nafs hamain apna matlooba o mutawaqa nateeja hasil na honay par hamain ________ se mayus karta hai.

a) Allah ki rehmat
b) Logo kay yaqeen
c) zindagi

4.  Nafs apny jaal mein phansa kay hamain zinda hoty hue bhi _______ banaye rakhta hai.

(a) zinda dil
(b) murda zameer
(c) kaahil

5.______ ki chalaki ye hai k nuqsan hoty wakt mehsoos bhi nai hony deta kay hamara nuqsan horaha hai.

(a) Duniya
(b) nafs
(c) dimagh


Answer key

 MCQ’s

1. Dushman
2. Zaat
3. Allah ki rehmat
4. Murda zameer
5. Nafs


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *