Topic # 14: Nafs, aur ALLAH k Rastay se door (Day : 14 )

“Nafs aur Allah kay rastay sy doori”

Aisay tamaam ehsas to ita’aat sy roktay hain aur aajzi ko khatam ker kay hadood sy tajawuz krnay par majbur krtay hain wo sab bhi nafs ki hi chaal hain. Nafs humain humaray hi haathon zaleel k khuwaar krata hai. Ye dil ko ALLAH❤ ki muhabbat kay ehsas sy khaali ker kay ALLAH❤ ki qurbat aur ashnayi sy dur rkhta hai. Nafs humesha saath deta hai har us mamlay mein, har us zarurat par, har us chahat aur khushi ko poora krnay kay liye jis mein waqti lazaton, rangeeniyon aur asaiyshon sy lutf andoz honay kay imkaan mojud hon.Aur ye nafs hi hai jo reh reh kr humain khof zada krta hai kay ALLAH❤ kay rastay par chalnay mein bhalaa kahan ye sab mazay milain gay aur is tarha har baar uskay samnay ham ghutnay taik ker apna aap paish ker detay hain. Har baar ye zehreela naag humain dass letaa hai. Par hum nadaan insaan uskay zehar kay haathon apnay zameer ko murda krtay hi rehtay hain aur nafs hum par raaj krtaa hai.
?حق بات
شاہ جی❤


 

Exercise

Blanks (3 Marks )

1. Aise tamam ehsasat jo ______ se rokty hain aur ______ ko khatam karty hain wo nafs ki he chaal hain.

2.Nafs dil ko Allah ki muhabbat k ehsasat se khaali kar k __________ se door rakhta hai.

3.Nafs har us mamlay mein hamara sath deta hai jismein ________ se lutf andoz honay kay imqaan mojood houn.

Question

1. Aaj aap nay aoni routine sy ek point share karnaa hai kay jiss mein nafs ny aap ko kisi mamlay mein “Allah kay ehsass sy ghafil ” kiaaa …aurr waqttii mazaay kay peechayy Allah Ky rastayy per chalnay kay mazzayy syy door rehnay per bahkaya.

?? in short mamla btana hay
?? kis “waqtii mazay” kii chahh mein phasyaa…aur Allah kay ehsass sy kaisy ghafil kiaa..
?? zehrelay nafs ki yee chaal khulnay perr apkay ander kyaaa ehsass bedaar huaa ..


 

Answer key

Blanks

1. Ataa’at, aajzi
2. Allah ki qurbat o aashnayi
3. Wakti lazato’n aur ranginiyo’n

Question:

Ye sabka apna
jawab hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *