Topic # 15 : Hum aakhir kis k ghulaam (Day :15 )

“Hum akhir kis kay Ghulaam”

Jab hum apni khuwahishaat ki takmeel kay liye hadood sy tajawuz krtay hain… yaa unkay haasil na honay ki soorat mein mayus aur na umeed ho jatay hain… yaa haasil ho janay ki soorat mein apnay zor e baazu par bharosa yaa fakhar o gharur aa jata hai to aisay mein nafs kay shikanjay mein jaldi aa jatay hain kyun kay us waqt dil Allah kay ehsas sy aari hota hai. Asal mein humain zindagi mein nafs kay haathon honay walay nuqsan ka ehsas hi bohat kam hota hai. Bss nadani mein hum apni lagaamain nafs kay haath mein de kar ankhain bund ker kay chaltay jatay hain.Agar khush qismati sy kabhi ankhain khulti hain to smjh aati hai kay… us nafs nay humain kahan pohncha diya, aur humari manzil, humara iss duniya mein anay ka maqsad, humara matloob to koi aur tha….. ye hum itni dur kahan aa gaye….. kitni tabahi phelayi isa nafs ki ghulami nay….. aur tab hi ankhain khulnay par ye ehsas bhi bedaar hota hai kay hum nafs ki tabedaari krnay walay bunday aur nafs kay samnay haath baandhay ghulaam ban chukay hain. Jab kay humain to paida hi sirf ALLAH ❤ ka bunda ban kar USKI tabedaari, hukam bardaari aur Pyaray Aaqa e Do Jahaan (SAWW) ? ki ghulaami kay liye kiya gaya tha aur hum apni duniya ka nasb ul ainn bhulaa kar nafs ki ghulaami krtay huay uskay be daam ghulaam ban bethay.
?حق بات
شاہ جی❤


Exercise

Question

1.Aajj aaap nyy Apnayy Dill kaaa ehsass Share krnaa haii…
Abb tk kaa apnaa jaizaaa letay huee … kay kya ab sy pehlay humein yee ehsass thaaa kay hum ne apnii lagamain nafs kay hathon mein day rakhi hain .

Aurrr…

Abb Ehsass hoo janaayy payy anderr kyaaa iradaa aurrr ehsass o jazbaa bedaaar huaa hai
Kayy
Humm Aakhirr kisskii ghulaaamii mein apnayy dinn raat sarf krnaaa chaahtay hain…
Nafff ki…?
Yaaa

Apnay AAQA-e- Do ALAM S.A.WW ? ?? ki ghulaamii mein…UN ? ki pairviii mein… UNKI sunnat parrr amall kr kayy sanwarnaaa aur Sadaaa Nafs sy halat e jang mein rehna chahtay hain. ??


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *