Topic # 2 : ALLAH K PIAR AUR USK FAISLOON PAR YAQEEN (Day : 2)

ALLAH K PIAR AUR USK FAISLOON PAR YAQEEN

Asal yaqeen bin daikhy ka hi yaqeen hay. Yaqeen dil ka hota hay our dil kisi ko daikh kar man’ny ka paband nahi hay kiou keh daikh ker man lyna aasan hay. Behtreen yaqeen tou yahi hay keh apny malik ki shan us ki kebryaie ko dil ki aankh sy daikh ker us per eeman laya jay kiou keh yahi dil sy man lyna asal yaqeen hay. Jiss k liye kiou or kesy ki dale’eloon or saboot paish krny ki zaroorat nahi hoti. Dil ka yaqeen hi dil ki taqat hay. Our us ky liye kisi Zahir k kisi sahary ko pakar ker man’na zaroori nahi hota hy.

Dil ka yaqeen bin dakhy per hi qaim ho jata hay. Go ky zahir ki aankh sy daikh ker bhi yaqeen ko barhaya jata hay magar Haq bin daikha hay. Our us ki pehchan dil ki baseerat sy hi mumkin hay. Ye lamehdood hay or zahir ki aankh main sama nahi sakta. Ye kainaat per phaila hua hy. Hum ALLAH ki seefat ko mukamal nahi samajh paty… to us ki hadood ko kahan pounch sakty hyn. Dil ka yaqeen rakh ky hi hum darja badarja us ki qurbat ki manzil ki taraf bharty hain. Aysi soorat main k jub hum demag ki bejay dil ka yaqeen rakhty hain to darasal hum khud apny malik ky yaqeen per khary reh ker is bat say byneyaz ho jaty hyn ky koi saboot paish kiya jay jis ki bina per yaqeen ki seerhi per charhayn.

Dil ka yaqeen deemag ki dale’eloon sy mazboot ho to uljhan nahi rehti.
Batil ka kaam yaqeen ko mutzlazal krna hy. Our agar dil ko yaqeen mil bhi jay to bhi deemag mukhtalif sochoon main uljhta hy. Or youn yaqeen qaim hi nahi ho pata. ALLAH per yaqeen us k piyar per, us k faisloon per yaqeen hamary eman ko mazboot krta hy. Agar yaqeen kamzoor ho to ALLAH k faisly jin ko hamari aqal tasleem krny sy rokti hay, hamain mayousi sy do char kr dyty hyn our yaqeen kamzoor sy kamzoor tar hota jata hy. Jitna ALLAH per yaqeen mazboot ho ga, us k her faisly main mojood bhalaie or behtari per bhi hamara yaqeen utna hi mazboot ho ga. Dil agar byyaqeen hua to dalail main mily huy sawal jawab main ulajh jay ga. Is sy safar main rukawat aay to safar mutasir hony ka khadsha ho ga. Haq k safar per mazboot yaqeen hi mushkil sy mushkil rasty our rukawat ko paar lagany main madad dy ga.
شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)


 

 

Exercise

Q1:- Fill in the blanks:
(i): Dil ka yaqeen hi—–ki Taqat hai.

(ii): Haq k safar par mazbout—–hi mushkil sy mushkil rasty aur roukawat ko last lagany mn madad daita hy.

Q2 :- MCQ’s
(i): Dil ka yaqeen—– ki daleeloun sy mazbout ho tw uljan nae rehti.
(a) Dil
(b) Demaagh
(c) dono

(ii): Allah par yaqeen Usk —–par, Us k faisloon par Yaqeen hmray Eman ko mazbout banata hai.
(a) Namoun
(b) Sifaat
(c) piar

Q3: short Question
Sawal:
Allah k faisloon par Yaqeen ko ham kaisy mazbout bana sakty hein? Is hawalay sy practical example ki madad sy tips dain…


Answer key

Blanks
1: Dil
2: Yaqeen

Mcqs
1: b
2:c
Question:

Ye sabka apna jawab hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *