Topic # 3 : YAQEEN MEIN MAZBOUTI (Day : 3 )

YAQEEN MEIN MAZBOUTI

Haq ky rahi ky dil ka yaqeen us ko her lamha larny main madad dyta hy. Jitna behtreen yaqeen andar hu ga utna hi uljhnoun main phansny ka moka kam hota hy. Hamary dil ka yaqeen kisi b mamly mainhamary wadam dagmagany nahi dyta. Bin dakhy per dil ka yaqeen hi asal main hum sy atta’at kerwata hy. Kiou ky dil k ehsas mazboot or pukhta hoty hyn. Jb ky damag ka dale’eloon sy pakra hua yaqeen danwaan dool ho sakta hy. Dil ka yaqeen hamari power bn jata hy.
Or ye yaqeen ki pukhtagi Haq ki raah my safar ko taizi sy aagy barhati hy. Yaqeen ky bygair aik qadam bhi uthaya nahi jaa sakta. Jb haq k rahi ko ye yaqeen hota hy ky her uth’ty qadam k nechy zameen zaroor ho gi tb hi tu wo qadam utha pay ga our tb hi to us ka safar aagy bharta hy.

Manzil tak jaty rasty ki taraf hamary qadam hamara yaqeen hi uthwata hy. Haq ki raah per yaqeen hi pehli serhi hy. Jis per aashiq qadam mazbooti sy jama kr Haq ki manzil ki trf bina kisi khoof o khatar ky bharta hy. Us k andar ye yaqeen hota hy ky us k sath haq hy or haq ki taqat hy jo us k her qadam ko manzil ki trf uthway gi. Or agar apni kisi lagzish ki bina per wo larkharay ga to wohi taqat us ko sahara dy gi or is tarah us k andar ka yaqeen kisi bhi kisam k zahiri o batni utar charhaou k bawajood usy haq per mazbooti sa khara rakhta hy.
SHAH Jee ny kis tarah sy apni zindgi k mamlat main apna yaqeen barhaya our aap ka yaqeen batadreej kin marahil sy guzra is bary main AAP ny farmaya:
Byshak myry yaqeen “ALLAH” ky sath hamaisha sy behtreen level ky rahy. Is yaqeen my din ba din izafa hota raha. Main aaj is yaqeen per nahi khari jis pa phly thi.

Ye waqt k sath her guzarty lamhy main bharta raha hy. Go ky phly b ALLAH ny andar yaqeen ka ehsas dall rakha tha. Magar batadrej main ny b daleelyn pakreen phir choreen or youn yaqeen per khari hoti gae or apny qadam mazbooti sa zameen pa jama liye. So aysa nahi hy ky my yaqeen ky is aala makaam per hamaisha sy thi jis per aj khari hun. Bulky batadreej is maqaam per pounchi hun or agar kuch din bad dakhoon gi tu ye level kaam lagy ga. Or is waqt ka bhara hu yaqeen dakh kr lagy ga keh ub myra yaqeen mazboot hua hy. Kiou ky hm ALLAH ki janib safar kr rahy hyn or wo rooz barooz aashanie ky dr khool raha hy. Jitny ziyada aashnaie k dr khulty hyn yaqeen mazboot hota jaa raha hota hy. Jitna ALLAH per yaqeen mazboot hota hy utna hi her moamla ka us ki janib sy behtreen hony per yaqeen mazboot hota jaa raha hy. Yahi yaqeen baki cheezoon per yaqeen ki jaar hota hy.

شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)


Exercise

Q1:- Fill in the blanks:
(i): Haq ki raah par yaqen hi pehli —— hai.

(ii): Andr ka yaqeen kisi b qisam k zahiri aur —- outaar charhao k bawajoud usy haq par mazboti sy khara rakhta hai.

Q2 :- MCQ’s
(i): Jitni ziada —– k Dar kholty hn yaqeen mazbout hota ja rha hota hai.
(a) Dil
(b) Ashnaie
(c) Demaagh

(ii): Haq k rahi k dil ka Yaqeen Usko har lamha—-mn madad daita hai.
(a) larny
(b) Sochny
(c) bhagny

Q3: short Question
Sawal:
Wqt k sath sath Kia Aap k yaqeen ka level b barha? Agr barha tw kaisy practical example k sath share karien…


 

Answer key

 Blanks
1: sehr’ri
2: Batni

Mcqs
1: b
2: a

Question:

Ye sabka apna
jawab hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *