Topic 5 : Andaaz e Guftagoo

*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Andaz E Guftagou”
Dilkash andaz e guftagu hamare shakhsiyat ke zeenat hy…
Jitna ham apne zaahiri zaibaaish kartay hein… Is sy kahein ziada husan hamare shakhsiyat ko sirf… hamaray andaz e guftagou dy sakta hy.
Think about it…!
Dil sy dua :)
1


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Andaz E Guftagou”
Koe shakhs os waqt tak khush ikhlaaq nai ho sakta… jab tak k os ka andaaz e guftagou apnaiyat or piar bhara na ho…
Allah hamein apnaiyat or piar bhara andaaz e guftagou atta karay.ameen
Dil sy dua :)
2


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Andaz E Guftagou”
Allah or Piaray Aaqa S.A.WW ko dheema pan or naram guftaari bohat pasand hy…
Shaaid isi leay zaban bina haddi k banaai gae hy…
Phir ham apnay andaz e guftagu mein is ka istamal itni sakhti sy kaisay kar laitay hein…??
Sochiyee..!!
Dil st dua :)
3


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Andaaz E Guftagou”
Thaher thaher kar araam araam sy alfaaz ko adda karein tou khubsurat or bamaani fiqray bantay hein or baat mukhaatib k dil mein outar jaati hy.
Lets try…!!
Allah hamein thaher thaher kar bamaani guftagu karnay ke taofeeq atta karay.ameen
Dil sy dua :)
4


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Andaz E Guftagou”
Jab ham cheekh cheekh k ghussay bharay lehjay mein boltay hein…
Os waqt aik kaam karein…
Isi haalat mein zara aainay mein apna chehra daikh lain k kaisa lag raha hy…??
Hamein khud ba khud he hansi aajaey ge…
Dil sy dua :)
5


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Andaz E Guftagou”
Ham itni ounchi aawaz mein kion boltay hein…
Jab k soun’nay wala ham sy qareeb he maojud hota hy….??
Sochiye…!!
Or aaj ye baat khud bhe yaad rakiye ga or dosron ko bhe piar sy yaad karaiye ga…
Dil sy dua :)
6


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Andaaz E Guftagou”
Baat kartay hoay hamaray lehjay ke mithaas or piar… hamarat aapas k ta’alouq ko bhe bohat meetha or piara bana daita hy.
Allah hamein meetha or piara andaz e guftagu atta karay.ameen
Dil sy dua :)
7


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Andaz E Guftagou”
Hamara andaaz e guftagu hamare shakhsiyat ka aainadar hota hy…
Jaisay hamein apne shakhsiyat ke or bohat se khaamiyaan dour karnay ke fikar hoti hy… aisay he apnay andaaz e guftagou ke bhe fikar karni chahiye…
Kia ham aisa kartay hein??
Dil sy dua :)
8


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Andaz E Guftagou”
Aaj k din jaaiza lain…
Par apna nahi dosron ka…
Kion k mukhtalif logon k mukhtalif andaaz e guftagu hamein apne islaah mein madad daitay hein…
Try it…!!!
Dil sy dua :)
9


*Ihsas ke subh*
Asalam 0 alikoum
“Andaz E Guftagou”
Zaban aik aisa ouzw hy jo bolnay ka kaam daita hy… Allah ny zaban mein haddi nai rakhi…
Kion k…
Allah ko zaban ke sakhti pasand nahi…
Laikin hamaray andaz e guftagou mein hamara lehja kion itna sakht ho jata hy…??
Sochiyee…!!
Dil sy dua :)
10


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Andaz E Guftagou”
Aap bolnay lagay hein…??
Thehriye…!!
Aaj ham ny dheemi aawaaz mein…
Piar bharay bol bolnay hein…
Lets try…!!
Dil sy dua :)
11


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *