Topic # 5 : Nafs ka uksana (Day : 5 )

“Nafs ka uksaana”

Nafs hmaray andar un napaak iraadon ko paida karta hai jinki wajah se humaray aamaal burai mein dhal kar samne aatay hain.. Ye nafs hi hai jo humein ALLAH❤ ki aashnai se door karta hai… Zaat ki pairvi per uksata hai.. Duniawi khwaishaat ko apnaaye rakhnay aur poora karnay per uksaata hai.. Is sab mein hi phnsay rehnay per majboor karta hai..
Is se haq ki taaqat se hi nabard aazma hua jaa sakta hai..Nafs ek aisi daldal ki tarah hai jis mein paon rakhnay k baad insan dhansta hi chala jaata hai.. Ye ghalat ko bhi sahi bana kar paish karta hai aur ALLAH❤ ki qurbat ki raah mein deewar ban jaata hai.. Nafs ki lagaam humaray apnay haath mein hai..
Ye hum per munhasir hai k is per sawaari kartay hain ya is ko khud per sawaar honay ka moqaah de detay hain..
?”حق بات”
شاہ جی❤


Exercise

Blanks (3 Marks)

1.Nafs hamare andar na’paaak irado’n ko paida karta hai jinki waja se hamare ______ burayi mein dhal kar saamny aaty hain.

2. Nafs hamain ______ ki pairvi par uksata hai.

3. (a)Nafs _____ ko sahee bana kar paish karta hai aur Allah ki qurbat ki raah mein dewaar ban jata hai.

3. (b) Nafs ki lagam _____ kay hath mein hoti hai.

Question

1. Aaj ek aisaa Point share krein kay jiss mein nafs ny Apko kisi ” duniaa khuahish ko pooraa krnay koo uksayaa.. aur us ko pooraa krny kay liye nafs ki daldal kis hud tk dhanstay chalay gaye..

?? short sa mamlaa btana hay
?? kon si duniavi khuahish uthi?
?? kiss hudd tkk dhansty gaye nafs ki is daldal mein .


Answer key

Blanks
1. Aimaal
2. Zaat
3. (a) Ghalat , (b) Humaray Apnay

Question:

Ye sabka apna jawab hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *