Topic # 5 : YAQEEN K BA’AIS DIL KA PURSAKOUN HONA (Day:5)

 YAQEEN K BA’AIS DIL KA PURSAKOUN HONA

Jub bhi kisi mukaam per Allah k yaqeen per khary hoty hyn our wo cheaz hamy is surat my us maqaam per nahi milti to wo hamy apni raza my razi kr dyta hy. wo cheaz us sy bhi aala surat my milti hy jo hamari marzi hoti hy. isi liye us waqt hamary andar bychyni nahi rhti ky wo cheaz kiou hasil nahi hui jo hamari khawish thi. Magar jb bhi hamary yaqeeen k level kaam hoty hyn to andar bychani aati hy or us waqt phly hi lamha ye cheak krna chahye ky aaya aap ky andar yaqeen tha bhi ya nahi mehez khayali yaqeen tha. jis level ka yaqeen andar hota hy utny level ki power aap k dil ko milti hy. jub dil ko power nahi mili hoti or matluba shy hasil na hony ki waja sy dil main bysakooni hoti hy to jaan lyn ky aap ky andar yaqeen mazboot nahi tha. agar yaqeen ho to kam az kam itna zaroor milta hy jis level ka yaqeen ho. Allah aik ki bejay 70 gunah dyny wala hy our usi ki waja sy andar raza aajati hy. masla khatam na hu uski ehmiyat khatam hu jati hy. our ehmiyat tub khatam hoti hy jub us masly sy bara Allah hamary dil main aata hy. jub tak bara bara hy sumjhyn hamary andar Allah ka yaqeen chota hota hy. jb Allah bara hota hy masla chota ho jata hy. or youn masly ki ehmiyat khatam ho jati hy….

شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)


Exercise

Q1:- Fill in the blanks:
(i): Jis level ka yaqeen andr hota hai outny level ki —– ap k dil ko milti hai.

(ii): Allah aik ki baja’aye —– gunaa dainay Wala hai.

Q2 :- MCQ’

(i): Masla khtm na ho mgr uski —— khtm ho jati hai.
(a) Zarorat
(b) Ehmiyat
(c) chahat

(ii): Jab tk masla bara bara hai samjhain hmray andr Allah ka yaqeen —– hota hai.
(a) kam
(b) chota
(c) mazbout

Q3: short Question
Sawal:
Jab hmy hamari mazri ki cheez nai mil rhi hoti tw kia Tamara dil sakoun mn rehta hai yah bychain ho jata hai? Apna jaiza ly k practical example k sath share karien.


Answer key

 Blanks
1: Power
2: 70

Mcqs
1: b
2: b
Question

Ye sabka apna jawab hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *