Topic # 6 : ALLAH PAR YAQEEN SY KHUDATAMADI KA PAIDA HONA (Day:6)

ALLAH PAR YAQEEN SY KHUDATAMADI KA PAIDA HONA

Yaqeen Allah per hona chahye. Allah per yaqeen hi hamary andar khudaatmadi bydaar kr dyta hy. kabi bhi apni khudaatmadi sy hm Allah per yaqeen nahi kar sakty. agar hamary andar khudaatmadi hy… to ye nahi hu ga ky Allah per yaqeen bhar jay ga… lakin agar Allah per yaqeen hy… to us sy khud per yaqeen barhy ga jo khudaatmadi dy ga. Allah per yaqeen ki manzil sy apny per yaqeen ki manzil kitaraf safar kryn kiou ky khud per yaqeen aana ki surat my nikal aata hy. agar ham Allah ky yaqeen sy apny oper yaqeen our khudaatmadi pyda kryn gy to is surat main aajzi k sath yaqeen hu ga kiou ky hum ALLAH per yaqeen sy khud per yaqeen ki trf aay. agar hum barahy rast khud per yaqeen krny lagty hyn to wo humy aana or takabur ki janib ly jay ga.

Haq ky rahi ka aony Allah per yaqeen ka mazboot hona us k liye baki her shay sy byniyazi ka sabab bn jata hy kiou ku yaqeen hi wo power hy jo humy istiqamat sy is raah per aagy barhati hy. Yahan bun dakhy ka soda hy kiou ky zahir main to kuch hath nahi aata. Na hi dunya ki dolat, jaah o jalaal ya martaba hasil hota hy. Magar her haq ka rahi apny bun dakhy malik ky yaqeen per Qadam ba qadam aagy barhta hy ky wo mojoid hy our usi ky bin dykhy sahary per yaqeen rakhty huy wo mushkil sy mushkil mydan main bhi kood khara hota hy kiou ky us ka bin dykhy per yaqeen hi us sy amal kerwa lyta hy. Us ky dil ka yaqeen hita hy ky us ka malik kabi usy tanha na chory ga. Haq ka rahi ky liye her mahaz per kamk us ko muyas’sar hoti hy or wo kis had tak yaqeen rakhta hyusi per is kamk ki farahami ka ahnasar hota hy. jitna hamary ander yaqeen mazboot hu ga utna hi hum khud ko haq ki rah per her mahaz per mazboot tar mehsoos krty huy batil sy lar sakyn gy. Byshak hamara Malik her lamha hamari madad krta hy. Or hum jub us ko pukarty hyn to us ka jawab bhi hamary dil ka yaqeen hi wasool karta hy.

شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)


Exercise

Q1:-
Fill in the blanks:
(i): —– hi wo power hai jo hamay istaqamat sy is raah py agy baharti hai.

(ii): Allah par yaqeen hi hamray andr ——- baidaar karti hai.

Q2 :- MCQ’s
(i): Allah k yaqeen sy Apny ouper Yaqeen aur khudatamadi paida krn gy tw is surat mn —– k sath yaqeen hoga.
(a) Anna
(b) Aajzi
(c) Takabur

(ii): Haq k raahi k leay Apny Allah par yaqeen ka mazbout hona us k leay baqi har shy sy —– ka sabab ban jata hai.
(a) byniazi
(b) Muhabat
(c) Ta’aluq

Q3: short Question
Sawal:
Aksar ham Apny moamlaat ko Apny zor-e-bazo py suljhanay mn lag jaty hn aur Allah pay yaqeen ka daman hath sy choot jata hai Aaj ham apna sachaie sy jaiza ly k share krn gy k kia ham b aisa hi tw nai karty…???


Answer key

Blanks
1: Yaqeen
2: khudaitamadi

  Mcqs
1: b
2: a

Question:

Ye sabka apna jawab hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *