Topic # 7 :HALAAT KA ALLAH K SAPURD BA’AIS E SAKOUN HONA (Day:7)

HALAAT KA ALLAH K SAPURD BA’AIS E SAKOUN HONA

Hamary dil ka bin dakhy Allah per yaqeen hi her mahaz per hamy larwata hy our kamyabi dilwata hy. Kiou ky ye yaqeen hi us waqt bhi humy mayous nahi hony dyta k jb koi rasta hi nazar na aa raha hu. ye yaqeen hi hy jo undahyroon main bhi roshni ki kiran dikhata hy. our yahi Allah per yaqeen hi band rasty kholta hy. Hum jis qadar apny mamlat ko apny malik ky sapurd krty jayn gy. hum is yaqeen main pukhtagi payeen gy ky wo jo krta hy behtreen krta hy. Is yaqeen ki bunyad per hi hum apny malik ki trf sy sadir huy her faisly main apni behtri dhund paty hyn. Allah ki sifa’at per yaqeen ka barhna hamary Allah per yaqeen ko barhata hy.
Hamary dil ky iman ka Allah ki sifa’at per mazboot hona humy her mamly main Allah ki tarf rajooh kerwata hy. Jis ki waja sy hm her lamha main Allah ki taraf palat’ty hyn.
Hamary halat o waqiyat kesy bhi hon jb un ko Allah sy joor kr un ki door ko yaqeen sy bhand lyty hyn to hum khud Allah ky sahary halat ki oonch neech sy guzar jaty hyn. Kiou ky hamara yaqeen hota hy ky mamly kesy bhi hon Allah ki sifaat ki jalwa ghari ham per her lamha hu rahi hy.Or ALLAH ki sifat per yaqeen ka mazboot hona humy is sb mamly sy behtreen tareeky sy guzarny main madad krta hy. Jesy k agar hum khud ko bysahara mehsos krty hon to Allah ky sahary ky mojood hony per hamary dil ka yaqeen hamy mazboot krta hy. Hum khud ko kisi hawaly sy by yaar o madadgaar mehsoos kren to Allah ky is yaqeen per ky…wo tanha nahi chory ga…zaroor madad bhajy ga…hum mayous nahi hoty. Kisi bhi mushkil main us ki mushkil kushaie per yaqeen hamy is mushkil ka samna kerwata hy. Hum kisi bhi mamly my khud ko tanha mehsoos keryn too us ki nazar main hony ka ehsas humy tanhaie sy aazad kerta hy or hum mehsoos krty hyn ky wo her lamha humy nazar my rakhy huy hy. Us ki her mamly my mojood hikmat ko dhund lyna bhi us per apny yaqeen ki mazbooti ki bina per hi mumkin ho pata hy.
شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)


Exercise

Q1:- Fill in the blanks:
(i): Allah ki —– par yaqeen ka barhna Hmaray Allah par yaqeen ko barhata hai.

(ii): Ham kisi b moamlay mn khud ko —– mehsos karn tw Uski nazar mn honay ka ehsas tanhaie sy azad karta hai.

Q2 :- MCQ’s
(i): Ham jis qadar Apny moamlaat Apny Malik k sapurd karty jain gy ham yaqeen mn —– pa’ain gy.
(a) pukhtagi
(b) Mazbouti
(c) Istaqmat

(ii): Hamray Halaat kaisy b houn jab Oun ko Allah sy joor k oun ki —– ko yaqeen sy band laity hn tw tw Allah k saharay Halaat mn sy guzar jaty hn.
(a) Taar
(b) Rasi
(c) Door

Q3: short Question
Sawal:
Halaat k outar charhao mn Apny halaat o waqiyaat ko Allah k hawalay kr k pursakoun hojanay mn kia ehsas madad day ga Apni routine mn sy example ki madad sy tips dain.


Answer key

 Blanks
1: Sifa’aat
2: Tanha

Mcqs
1: a
2: c

Question:

Ye sabka apna jawab hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *