Topic # 7 : Nafs ki jang Jaari rehti hai (Day : 7 )

“Nafs ki jang jaari rehti hai”

Nafs ki jang lamha lamha jaari hai.. Hum kabhi bhi aisay kaamil nahin ho saktay k ye da’awa karen k hmaray amdar bahar sab kch darust ho gaya hai aur ab hmein larrnay ki zaroorat nahin rahi.. Humein har waqt larrna parrta hai kyun k ye “khaalis pan” (purity) la safar hai jo ALLAH❤ ki jaanib barhaata hai aur ye safar kabhi khatam nahin hota..
Hum kabhi mukamal nahin ho saktay kyun k kaamil tareen zaat sirf AQA e do Jahaan S.A.WW? ki hai..
Lehaza hum nafs ki jang taa dam e aakhir larrtay rehtay hain.. Hum kabhi bhi kisi bhi maqaam per mukamal nahin kehla saktay..Hmaray andar kisi na kisi zaviye se jhol ya kami hoti hai… Aur jahan jhol ya kami hogi wahan us zaviye se nafs ki jang jaari rahay gi..
Is k liay har lamha har pal khud per nazar rakhna laazmi hai… Agar hum ghaur karen to hum bohat si choti choti cheezon mein phansay hotay hain.. Wo cheezein humein nazar tab ayen gi jab hum ne khud per nazar rakh kar un cheezon ko apnay andar se dhoond kar nikaala hoga aur phir us zaviye se nafs ki larrai aaghaz ki hogi.. Aur agar hum ne khud per nazar rakhna nahin seekha hoga to hum nafs ki jang jaari nahin rakh saken ge..
?حق بات
شاہ جی❤


 

Exercise
(Objectives Only)

MCQ’s (5 Marks)

1.Hamain har wakt nafs se larrna parrta hai, kyu k ye _______ ka safar hai jo Allah ki janib barhata hai.

(a) Marzi
(b) Shoq
(c) Khalis pann

2. Ham nafs ki jang _____ larrtay rehty hain.

(a)Ta’dam Aakhir
(b) Kabhi kabhaar
(c) Khaas muddat tak.

3.Agar hamne khud pe ______rakhna nai seekha ho to ham nafs ki jang jaari nai rakh skty.

(a) dabao
(b) nazar
(c) qaabu

4. Hamare andar kisi na kisi zawiye se _______ hoti hai.

(a) perfection
(b) Jhol ya Kammi
(c) itminan

5. Agar ham ghor karain tou ham hohat se choti choti cheezo’n _______ hoty hain.

(a) se dil nikal chuky
(b) mein phasay hoty hain
(c) se lutf andoz


 

Answer key

 MCQ’s

1. Khalis pan
2. Ta’dam aakhir
3. Nazar
4. Jhol ya kammi
5. Mein phasay hoty hain.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *