Topic 8 : Gheebat

“Ihsaas ke kiran”
Asalam-o-alikoum
*Gheebat*
Kisi k Pasay Pusht os ka zikar aisay karna k agar wo sounay tou boura manay… Byshak wo sab os k baray mein such he ho gheebat kehlata hy.
Aey Allah…!
Hamein gheebat ki buraai se nijaat atta farma dy.ameen
Dil sy dua :)
1


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Al Quraan…
Surat Al Humaza… Aayat 1
“Har us shakhs k leay kharabi hy jo rubarou tana zani karnay wala or pasay pusht aaib joee karnay wala hy”
Sochiye…!!
Aagr ham bhe gheebat kar rahay hein tou kahein apni zindagi ki kharabi or masaail k zimadaar ham khud tou nhi hein…??
Dil sy dua :)
2


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Ham sab bohat ehtiyaat kartay hein k haraam cheez na khaein, or gheebat jis k leay Allah farmata hy k…
Gheebat karnay wala apnay murda bhai ka gosht kha raha hota hy tou…
Os waqat ehtiyat ka daman kion chorr daitay hein…???
Waja pakrrein…!!
Dil sy dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Piaray Aaqa S.A.WW aik murdaar k pass sy guzar rahay thay, tou AAP S.A.WW ny Apnay sath Walon sy farmaya k is mein sy kha lo,
Sath walon ny arz keya k, murdaar kaisay khaein…?
AAP S.A.WW ny farmaya k…
“Gheebat kar k jo murda bhai ka gosht khatay ho wo is sy bhe bad’tar or najis hota hy”
Aaj khiyal rakhein gy k ham kia kha rahay…???
Dil sy dua :)
4


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Akhir ham kisi k leay aisi batain kion krtay hein…
K jo agar hamaray baray mein kahe jaein tou hamein boura lagay…???
Allah hamein gheebat jaisi bourai se bachnay mein madad dy.ameen
Dil sy dua :)
5


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Jab ham kisi k aaib biyaan kartay hein…
Tab hamari nazar mein apnay aaib nahi hotay…
Aey Allah..!
Hamari nazar mein apne aaib khol dy, takay ham har lamha apnay aaibon par sharminda ho kr Tujh se muafi mangtay rahein. Ameen.
Dil sy dua :)
6


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Apni pakbaazi ka ihsaas he asal mein hamein kisi ki bourai biyaan krnay ki himmat daita hy.
Sochiye….!!
Ham pakbaaz hein ya Sattar-Ul-Ayoub ny hamaray aaibon par parday dal rakhay hein…??
Dil sy dua :)
7


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“Gheebat nekiyon ko is tarah kha jati hy jis tarah aag khushk lakrion ko”
Sochiye…!!
Kahein aisa tou nahi k ham khud he apne nekiyon ko jala beithay hon or baqi reh gaey hon gunah…??
Allah hamein gheebat sy bacha kr hamari nekiyon ka palrra bhari kr dy.ameen
Dil sy dua :)
8


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Gheebat sun’nay walay bhe gheebat krnay walon k sath barabar k shareek hein…
kion k baaz aoqaat sun’nay walon ki dilchaspi ki waja sy bhe gheebat ho rahe hoti hy…
Check ur self..!!
Kahein ham bhe tou waja nai ban rahay…??
Allah hamein batain krtay hoey or sun’ntay hoey bhe gheebat se bacha lay.ameen
Dil sy dua :)
9


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Aap kuch bolnay lagay hein…??
Pehlay soch lejiye…!!
K kahein ham se gheebat na ho jaey…
Kion k…
Hadees e Mubarka mein hy k…” Gheebat aik aisa gunah hy jis ki waja sy log kaat kaat kar jahanum mein phainkay jaein gy”
Allah hamein gheebat sy apne panah mein rakhay.ameen
Dil sy dua :)
10


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Piaray Aaqa S.A.WW Ka farman hy k,
“Gheebat se bacho..
Is me 3 aafaat hein,
1. Os ke dua qabol nahi hote.
2. Os par gunahon ka dhab’ba lag jata hy.
3. Os ke koe neiki qabool nahi hote.
Kaash hamara dil gheebat ke in aafaat ke sangeeniyon ko smajh sakay.ameen
Dil sy dua :)
11


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Hazrat Ummar Farooq r.a ny farmaya.
“Logon k zikar sy bacho kion k ye aik beemari hy”
Allah hamein is zikar sy bchaey.ameen
Kion k logon k zikar ki beemari hamare naikion ko deemak ke tarah kha jati hy.
Roz e Qayamat jab amaal nama dea jaey ga tou banda kahay ga k meri ibadat or naikiyan kahan gaein…???
jawab milay ga k…
Logon ke gheebat karnay ki waja sy zaya ho gae hein.
Dil sy dua :)
12


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Hazrat Imam Ghazali r.a biyan krtay hein k,
Hazrat Adam a.a ko sajda na krne ki waja se Allah k hukam par iblees ko jab zameen par phainka geya tou wo smandar ki taraf geya,or machli ko btaya k,
Aadam zaad smandar or khushki k janwaron ka shikaar kray ga.
Ye baat machli ny sab samandri janwaron ko bata de.
Is gheebat ki waja sy machli ki zuban ghaaib kar de gae.
Sochiye…!!
Agar gheebat ki ye saza ham insano me jari kr di jati tou ham zuban walay hotay ya bina zuban…??
Dil sy dua :)
13


“Ihsas ke subh”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a sy riwayat hy k….
“Ham Piaray Aaqa S.A.WW K Sath thay k achanak badbo phail gae.
AAP S.A.WW ny pocha, kia tum badbo ka sabab jantay ho?
Arz kia… Jee nahi.
Farmaya… ye badbo inki hy jo logon ki gheebat krtay hein”
Yani gheebat sy badbo phailti hy…
Tou ham sb ko gheebat ke badbo kion nhe mehsoos hoti…??
Kia ham behiss hein ya aadii ho gaey hein gandagi k…??
Dil sy dua :)
14


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Jaisay makhi saaf jaga chorr kar hamysha gand par bethti hy… aisay he ham log kisi ki achaiyon ko nazar andaz kar k os k aibon ko discuss krtay hein…
Khud ko check karein…
Hamari nazar mein kisi ki khobiyan rehti hein ya aibb….??
Dil sy dua :)
15


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k..
Shab-E-Mairaaj aik aisi qaom ko daikha jo apne chehron ka gosht apnay nakhnon sy noch rahay thay.
Main ny pocha k ye kon log hein tou maloom hoa ye gheebat krnay walay hein.
Allah hamein is burai sy apne aman mein rakhay.ameen
Dil sy dua :)
16


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Kisi k aaib ko sirf in halaat mein isk pasay parda biyaan krnay ke ijazat hy k…
mazloom ka muamla ho jahaan sy isay insaf mil sakay…
Fatwa pochnay ya mashwara lainay k leay muamla biyan krna…
Zalim badshah o bad’dati or khulam khulla gunah krnay walay ke…
kion k ye log khud he in aaibon ko nahi chupatay…
Kisi fasad ya bourai ka zikar is shakhs sy karna jo larrai krnay walay ke islaah ya ahtasab par qaadir ho…
Par in sab halaat mein bhe baat kartay hoay ye khiyal rakhna hoga k hamari niyat sirf yehi honi chahiye
Dil sy dua :)
17


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Piaray Aaqa S.A.WW ny gheebat ko zana sy badtar qarar deya hy or is sy dour rehnay ka hukam deya hy…
kion k zana ke toba qabool ho jati hy…
magar gheebat ki toba is waqt tak qabol nahi hoti jab tak wo muaf na karay jis ke gheebat ke ho”
Allah hamein is gunah ke sangeeni ka ihsas atta farma dy.ameen
Dil sy dua :)
18


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Gheebat*
Allah ne Hazrat Mosa a.a ko wahe bhaije k…
“Gheebat sy toba kar k marnay wala sab sy aakhir mein jannat mein jaey ga…
Or baghair toba marnay wala sab sy pehlay dozakh mein jaey ga”
Allah hamein is gunah sy apni panah mein rakhna. Ameen
Dil sy dua :)
19


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *