Topic # 9 : Hmari ana’a aur Ehsas se ghaflat (Day : 9 )

“Hmari ana’a, aur ehsas se ghaflat”

Nafs k hawale se mukhtalif zaviyon se kaam karna hota hai.. Roz maraah k maamlat aur mamoolat ko hi dekh len. Hum kahin logon k darmiaan bethay hon to baat kartay huay apni ana’a k za’am mein yun boltay hain k hmare alfaz, lehja, andaz, aankhon k taasuraat aur hath hilaana sab k sab hmari zaat ki aina daari kar rahay hotay hain
Jab hum kisi aam ghareeb aadmi se baat kr rahay hon ge to ye sab andaaz aur hon ge… aur jb hum kisi achay ameer aadmi se baat karen to tab ye andaaz mukhtalif hon ge…
Ab zara ghaur karen k jab hum mukhtalif status k bandon k darmiaan bethay hon; wahan hmaray andaaz , hmari ana’a ki ghamaazi kar rahay hon.. to us waqt hum kya zahir krna chah rahay hote hain?
Hum kis cheez ki tareef karwana chah rahay hotay hain?
Wahan hmaray kisi bhi ehsas mein ALLAH❤ hota hai?
Hmein kisi bhi hawalay se ALLAH❤ k saath ka ehsas hota hai?
Hum kis k liay wo dikhawa kar rahay hotay hain?

Wo sab dikhaawa , wo riyakaari aur us mein ana’a aur takabur ka muzaahira ALLAH❤ dekh raha hota hai… Wo hmari asliyat se waaqif hota hai aur khaamoshi se dekhta hai… aur hmein ehsaas tak nahin hota k hum jo kch kr rahay hain wo usko napasand hai. Darasal ye sab hum nafs ki andha dhund pairvi mein kartay hain kyun k hmein nafs ne apnay jaal mein phansaaya hota hai…

?”حق بات”
شاہ جی❤


 

Exercise

True / False (3 Marks)

1.Nafs kay hawaly se sirf aik he zawiye se kaam karna hota hai.

2.Allah hamara dikhawa, rayakaari, aur anna o takabur ka muzahira dekhraha hota hai.

3.Nafs ne hamain apne jaal mein phasayaa hota hai jis se ham nafs ki andha dhund pairvi karty hain.

Sawal :

1. Apni routine syy ekk aisa point share krein
Kay jiss mein Aaj Aaap kisii kay sath baat krtay huee yaa rawaiyaa ikhteyaar krtyy huee ” Annaa’ kay zo’am ( ghuroor ) mein aagaye …
Aurr un lamhat mein Allah kay ehsas sy ghaafil nafss ki andhaa dhun pairvi mein nikaltyy gayee …
Iss mein ap ny aisy share krna hai ..

?? mamlaa in short
?? kiss hawalay sy ” Annaa’ ” aayii andrr.. (wazeh point out krein ) aurr kis hudd tkkk iss Anaa mein nikalltay chalayy gaye ….
?? nafs kay iss jaal aur andha dhun pairvi ko aaj jannay kay baad kyaa ehsas bedar huaa
(Apnay point sy relate kr kay batayen )


Answer key

True/False

1. False
2. True
3. True

Question:

Ye sabka apna jawab hog


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *