Triangle

 “Triangle”

Dunia k moamlat koe Deen sy alug karna durust nahi… kion k ham ny har moamla Allah k hawaly sy he daikhna hy.

Allah ny he hamein is mahol mein or in rishton k beech mukhtalif mamoolat o moaamlat or faraiz nibhanay ko rakha hoa hy.

Jab bhe ham kisi bhe farz ya moaamlay ya rishtay ko one 2 one ke nazar sy daikhtay… amal kartay ya osay nibhatay hein k main or moaamla main or farz main or rishta tou agar waqti taor par nibha bhe lain tou os ka nateeja behtreen nahi nikalta…

Kion k ham one 2 one mein zaahir sy tawaquaat laga laitay hein jo pori nai hotein or is tara hamaray dil par is ka megative asar parrta hy or ham aainda acha karnay sy bhe jatay hein.

Par jab ham kisi bhe farz… moamlay ya rishtay ko aik

Triangle yani tikon mein aisay rakh k set kartay or chalay hein k…
1. Farz, moaamla ya rishta
2. Allah
Or
3. Main

or isko ko is leay behtareen taor pr kar hein k ye
(1) Allah ny ye (2) Farz, rishta ya moaamla nibhanay k leay (3) Mujhy select keya.

Or is ko ache tara best way mein ni hanay sy Allah mujh sy khush ho ga or Wohi is ke jaza dy ga tou hamare dunia sy umeeden khatam ho jati hen or wo amal khaalis Allah ke raza or khushi k leay ho jata or hamein faori os ka positive responc kisi sy na bhe milay ya koe hamaray os achay amal ke qadar na bhe karay tou tou ham mutmain rehtay hein k Jis ke khushi or raza panay k leay leay keya Wohi hamein jaza dy ga.

Aaj Apna jaiza len gy…
Or aisay points share karen gay jin mein moamlay ko triangle mein set kartay hoay Allah ke raza or khushi leay karnay ke koshish ke.

Yahan sath ye bhe bata saktay hein k is hawalay sy pehlay kis tara sy tawqouaat ya umeeden logon sy wabasta theen or ab kis tara sy jaza ke umeed Allah sy rakhi or koe amal

Kam az Kam 2 points karnay hein.
Is par apna point of view bhe daina hy.

Note :

Point mein pehlay moaamla bataya jaey.
Os mein apna zaviya e nazar k jab tak triangle mein nai set keya tou dosron k ravaiye kaisay asar andaz hoay dil par….
Or jab osay he triangle mein set keya tou jaisay sari tawaquaat Allah sy wabasta ho k dil mutmain hoa.

Aisa nhe bata saktay k moaamla paish aanay laga tou faoran osay triangl mein set keya or ache tara kaisay nibha leya.
End theme par karna k ye sab is tara karna kaisay mumkin hoa.

Jazba Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *