Waqeya # 1: HAZRAT UMAR FAROOQ R.A

Waqeya

Hazrat Umer R.A ? kaa Dil Kooo ajzii sy Jhukaye rakhnay ka …
Akk din Ameer ul momineen Hazrat Umar Farooq (RA) sadqy k ountoun k badan py tail mal rahy thyy, Ak shakhs ny kaha Amer ul momineen ye kaam kisii ghulam syy liaa hotaa , boly muj sy barh k kon ghulam ho sakta hai ?
Jo shakhs musalmano k wali hai wo un k ghulam bhi hai..
? (Bahawala kitab Khulafaa e rashideen,tasneef shah moien ud deen ahmed nadvi , page 146)


 Hadees

Pyaray sathi ? Ny apnay AQAA S.A.WW ? ki muhabbat Koo Paya, jb pairvii mein hr adaa ko apnaya  ..
Rasool S.a.ww ? ny farmyaa:
Beshak Allah ny mujy wahii ki haii kk tawazu aur ajzii ikhtiyar kroo hataa k koi kisii pr zulm o zaidati naa kary or naa koi kisii pr fakhar kry …
?(Abu dawood)Kitab ul adab.


 Ehsas

Pyaray satheyo:
Humaray Rehnumaon ny Hr maqaam hr ohday kay bawajood Dil ko jhukaye rakhaa, Ajzii Aur jhukao itna kay Kiisii bhi kam ko chota na samjhaa. jb kay Hum apnay Standards banaaye zaat kay butt’ kharay kr lety hain ander jo humein Akar sy chalny aur apny Malik ki Ghulami kay ehsas sy ghafil kr dety hain. Humein bhi Ye standard tor kay Ab hr tarhan sy Jhukao lana hai, naa kisi ko na kisi kam ko haqeer janna hai .

 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *